SHAWORDS

tamaashaa phir sar-e-baazaar karnaa — Fayyaz Tahseen

HomeFayyaz TahseenGhazal
"tamaashaa phir sar-e-baazaar karnaa phir apne ahd se inkaar karnaa yahi hai mashghala kaar-e-junun mein banaanaa phir use mismaar karnaa fareb-e-aarzu hi zindagi hai saraabon mein safar be-kaar karnaa jise paane ki khvaahish mein jiye the usi ki zaat kaa inkaar karnaa jazire khvaahishon ki raah mein hain magar laazim samundar paar karnaa jise ik umr ki kaavish se bhule usi ki yaad pur-asraar karnaa darichon se lagi aankhon ki surat kabhi chhupnaa kabhi izhaar karnaa abhi ik aakhiri sach bolnaa hai khushi se phir supurd-daar karnaa"
Urdu

تماشا پھر سر بازار کرنا پھر اپنے عہد سے انکار کرنا یہی ہے مشغلہ کار جنوں میں بنانا پھر اسے مسمار کرنا فریب آرزو ہی زندگی ہے سرابوں میں سفر بے کار کرنا جسے پانے کی خواہش میں جئے تھے اسی کی ذات کا انکار کرنا جزیرے خواہشوں کی راہ میں ہیں مگر لازم سمندر پار کرنا جسے اک عمر کی کاوش سے بھولے اسی کی یاد پر اسرار کرنا دریچوں سے لگی آنکھوں کی صورت کبھی چھپنا کبھی اظہار کرنا ابھی اک آخری سچ بولنا ہے خوشی سے پھر سپرد دار کرنا

Hindi

तमाशा फिर सर-ए-बाज़ार करना फिर अपने अहद से इंकार करना यही है मश्ग़ला कार-ए-जुनूँ में बनाना फिर उसे मिस्मार करना फ़रेब-ए-आरज़ू ही ज़िंदगी है सराबों में सफ़र बे-कार करना जिसे पाने की ख़्वाहिश में जिए थे उसी की ज़ात का इंकार करना जज़ीरे ख़्वाहिशों की राह में हैं मगर लाज़िम समुंदर पार करना जिसे इक उम्र की काविश से भूले उसी की याद पुर-असरार करना दरीचों से लगी आँखों की सूरत कभी छुपना कभी इज़हार करना अभी इक आख़िरी सच बोलना है ख़ुशी से फिर सुपुर्द-दार करना

tamāshā phir sar-e-bāzār karnā
F
Fayyaz Tahseen
Fayyaz tahseen
poet6 quotes

More by Fayyaz Tahseen

View all →

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi