"aarzu-e-davaam ne maaraa jalva-e-subh-o-shaam ne maaraa sar-kashi gaam gaam par mujh se is dil-e-bad-lagaam ne maaraa ibtidaa ki na intihaa ki khabar qissa-e-naa-tamaam ne maaraa aql khud hi shikaar-e-jazba hui ghaznavi ko ghulaam ne maaraa hirs ne kuchh bhi dekhne na diyaa daana-e-zer-e-daam ne maaraa sach to ye hai ki ibn-e-aadam ko jazba-e-intiqaam ne maaraa main 'amin' kab fareb khaataa thaa dahr ke ehtimaam ne maaraa"
tamanna muddaaa armaan dil ke — Ameen Hazin
"tamanna muddaaa armaan dil ke azal se hain yahi saamaan dil ke ilaahi is dil-e-be-chain ki khair jo qaabu mein hai ik anjaan dil ke jafaa sahnaa magar uf tak na karnaa jigar ke main fidaa qurbaan dil ke nahin aate na aaein vo mire ghar tasavvur mein to hain mehmaan dil ke kisi kaa huun kisi kaa main abad tak ye hain vaade ye hain paimaan dil ke nabard-e-zindagi mushkil nahin hai khataa lekin na hon ausaan dil ke agar hai zindagi ke raag kaa shauq 'amin' khole raho tum kaan dil ke"
تمنا مدعا ارمان دل کے ازل سے ہیں یہی سامان دل کے الٰہی اس دل بے چین کی خیر جو قابو میں ہے اک انجان دل کے جفا سہنا مگر اف تک نہ کرنا جگر کے میں فدا قربان دل کے نہیں آتے نہ آئیں وہ مرے گھر تصور میں تو ہیں مہمان دل کے کسی کا ہوں کسی کا میں ابد تک یہ ہیں وعدے یہ ہیں پیمان دل کے نبرد زندگی مشکل نہیں ہے خطا لیکن نہ ہوں اوسان دل کے اگر ہے زندگی کے راگ کا شوق امیںؔ کھولے رہو تم کان دل کے
तमन्ना मुद्दआ अरमान दिल के अज़ल से हैं यही सामान दिल के इलाही इस दिल-ए-बे-चैन की ख़ैर जो क़ाबू में है इक अंजान दिल के जफ़ा सहना मगर उफ़ तक न करना जिगर के मैं फ़िदा क़ुर्बान दिल के नहीं आते न आएँ वो मिरे घर तसव्वुर में तो हैं मेहमान दिल के किसी का हूँ किसी का मैं अबद तक ये हैं वा'दे ये हैं पैमान दिल के नबर्द-ए-ज़िंदगी मुश्किल नहीं है ख़ता लेकिन न हों औसान दिल के अगर है ज़िंदगी के राग का शौक़ 'अमीं' खोले रहो तुम कान दिल के

More by Ameen Hazin
View all →"chashm-e-maigun-e-yaar ke sadqe nigah-e-sehr-kaar ke sadqe nok-e-mizhgaan ki hai khalish pur-kaif nargis-e-khaar-daar ke sadqe ye adaa bhi hai kis qadar dilkash chashm-e-jaanaan ke pyaar ke sadqe hai takallum ki raqs-e-barq-e-shafaq hai dur-e-shaahvaar ke sadqe us khiraamaan-nihaal ke qurbaan aur us ki bahaar ke sadqe husn hi husn sar se paanv tak main saraapaa-nigaar ke sadqe main 'amin' un ki tamkanat pe fidaa vo mire inkisaar ke sadqe"
"jiinaa hai agar tujh ko khugar ho tamanna kaa andaaz khalili hai maslak hai ye muusaa kaa be-aab-e-tamanna dil jazbaat se aari hai manzar kabhi dekhaa hai sukhe hue dariyaa kaa mahbub hai mai-kash ko rindon ki baghal mein hai lekin ye taqarrub hai baada hi se miinaa kaa thaa jazb-o-kashish jis mein vo shama-e-tajalli thi zaaer koi kyunkar ho ab vaadi-e-sinaa kaa chaDhte hue suraj ke tevar kabhi dekhe hain aaghaaz hai aaina anjaam-e-tamannaa kaa islaah ki duniyaa mein us dil kaa khudaa-haafiz paidaa na huaa jis mein ehsaas hi tauba kaa sikhaa hai 'amin' main ne haatif se ghazal kahnaa ye naghma-e-jaan-parvar hai bulbul-e-sidra kaa"
"junun ke faiz se haasil hai ye kamaal mujhe na aastin kaa na daaman kaa hai khayaal mujhe banaa ho jab ki miraa siina aaina-khaana shikast-e-shisha-e-dil kaa ho kyon malaal mujhe miri balaa se koi laakh haatim-e-tai ho ki ibtidaa se nahin aadat-e-savaal mujhe ye bad-lagaam sahi main bhi kam savaar nahin zamaana kar nahin saktaa hai paaemaal mujhe kamaal-e-ishq kahun kyon na is tasavvur ko ki jis ke faiz se ho hijr bhi visaal mujhe main saaf-go huun ki dil mein nahin hai mail koi main raast-rau huun ki bhaati nahin hai chaal mujhe adab navaaz kahaa karte hain ‘amin-e-hazin' magar avaam mohammad masih paal mujhe"
"aankhon mein chhalakte hain ham-rang-e-hinaa aansu mahjur ke aansu bhi hote hain balaa aansu be-saakhta rone se taskin si hoti hai dard-e-dil-e-mahzun ki hain kuchh to davaa aansu ik khasta-jigar aashiq ro ro ke ye kahtaa thaa aasaan hai har mushkil gar dein na daghaa aansu sar khaak pe dhar dhar kar dete hain duaa dil se hain aashiq-e-saadiq ke paaband-e-vafaa aansu iksir-e-mujarrab hain kar zabt inhein yaani dil hi kaa ye jauhar hain dil hi ko pilaa aansu majbur hon bahne par be-saakhta gir jaaein qaanun-e-mohabbat mein hain jab hi ravaa aansu naasur-e-mohabbat kaa hotaa na 'amin' charchaa ghammaaz na ban jaate gar laal-numaa aansu"
"main khud saaqi huun apnaa mere pahlu mein hai paimaana vo paimaana ki khud miinaa bhi hai aur khud hi mai-khaana agar sham-e-haqiqat ki ziyaa-baari nahin har-su takhayyul ko kahaan se aa gae aadaab-e-parvaana par-e-parvaaz bakhshe mujh ko mere ishq-o-masti ne haqiqat se jabhi dilchasp-tar hai meraa afsaana maqaam-e-haif-o-hairat hai ki us ko hi masal Daalaa numu sidra ki apne siine mein rakhtaa thaa jo daana vahi is bazm-e-hasti se surur-andoz hote hain nigaahein jin ki hon bebaak aur atvaar mardaana mujhe ahl-e-nazar ki aankh hi pahchaan sakti hai ki surat to hai rindaana magar sirat hakimaana 'amin' hai daad ke qaabil vasi'-ul-mashrabi meri ki farzaanon mein farzaana huun divaanon mein divaana"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"khaamushi ke batn se ye guftani paidaa hui main ba-zaahir chup huaa aur shaaeri paidaa hui is tarah saabit huaa gham aur khushi kaa imtizaaj hanste hanste us ki aankhon mein nami paidaa hui jurm ki paadaash mein ham khaak par pheinke gae so yahaan par intiqaaman zindagi paidaa hui khauf ne hi maslahat ki raah bhi ijaad ki main andheron se Daraa aur raushni paidaa hui dil mein kab utri kisi ke be-maaani guftugu baat karne se to bas aavaaz hi paidaa hui"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"