SHAWORDS

teraa har gham churaa liyaa hotaa — Beena Goindi

HomeBeena GoindiGhazal
"teraa har gham churaa liyaa hotaa kaash meraa pataa liyaa hotaa zindagi dhuup mein guzaari hai saae mein hi chhupaa liyaa hotaa kuchh to kam hote shab ke andhiyaare dil kaa dipak jalaa liyaa hotaa yaa samundar ki tah mein rakh aate yaa bhanvar se bachaa liyaa hotaa chal diye mere muskuraane par parda-e-gul haTaa liyaa hotaa ashk 'binaa' bikhar hi jaataa hai tu ne moti banaa liyaa hotaa"
Urdu

تیرا ہر غم چرا لیا ہوتا کاش میرا پتا لیا ہوتا زندگی دھوپ میں گزاری ہے سائے میں ہی چھپا لیا ہوتا کچھ تو کم ہوتے شب کے اندھیارے دل کا دیپک جلا لیا ہوتا یا سمندر کی تہ میں رکھ آتے یا بھنور سے بچا لیا ہوتا چل دئے میرے مسکرانے پر پردۂ گل ہٹا لیا ہوتا اشک بیناؔ بکھر ہی جاتا ہے تو نے موتی بنا لیا ہوتا

Hindi

तेरा हर ग़म चुरा लिया होता काश मेरा पता लिया होता ज़िंदगी धूप में गुज़ारी है साए में ही छुपा लिया होता कुछ तो कम होते शब के अँधियारे दिल का दीपक जला लिया होता या समुंदर की तह में रख आते या भँवर से बचा लिया होता चल दिए मेरे मुस्कुराने पर पर्दा-ए-गुल हटा लिया होता अश्क 'बीना' बिखर ही जाता है तू ने मोती बना लिया होता

terā har ġham churā liyā hotā
Beena Goindi
Beena Goindi
Beena goindi
poet12 quotes

More by Beena Goindi

View all →
Quote
"un ki aamad se jo armaan machal jaate hain khud-bakhud raah ke aasaar badal jaate hain ham to un logon mein shaamil hain hamaaraa kyaa hai jo umidon ke sahaare hi bahal jaate hain meri aankhon mein tire hijr ke aansu hain jame vo mire jazbon ki hiddat se pighal jaate hain subh-e-saadiq ki tarah ujle hain jazbe un ke jo bure vaqt mein gir ke bhi sambhal jaate hain aisaa insaan ki jis kaa koi gham-khvaar na ho aise insaan ko haalaat nigal jaate hain meri aankhon se bhalaa khushk hon aansu kaise kyaa kabhi chhoD ke paani ko kanval jaate hain"
Beena GoindiBeena Goindi
Quote
"jise nazron ki surat apni aankhon mein basaayaa thaa usi ik khvaab ne har moD par mujh ko rulaayaa thaa tire ik qahqahe ne jis ko ik pal mein giraa Daalaa gharaundaa vo to main ne apne ashkon se banaayaa thaa khushi se uDte uDte aa gae is shaakh par bhanvre jahaan kaanTon ne us ki maut kaa saamaan sajaayaa thaa sitaaraa ye zamin bhi aasmaan kaa ek TukDaa hai jise roz-e-azal shaayad khudaa ne aazmaayaa thaa mere honTon pe 'binaa' muskuraahaT yuun machalti thi ki main ne hasraton ko apne sheron mein chhupaayaa thaa"
Beena GoindiBeena Goindi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi