"sharik-e-gham miraa saaya nahin thaa vagarna dastaras mein kyaa nahin thaa sar-e-sahraa-e-gham tishna-labi thi lab-e-dariyaa koi pyaasaa nahin thaa ujaale duur tak phaile hue the pas-e-parda koi chehra nahin thaa vo chehre hi tamaazat kho chuke the ghubaar-aaluda aaina nahin thaa mire khvaabon mein kaise Dhal gayaa hai jise main ne kabhi sochaa nahin thaa mujhe bhi bad-gumaani ho gai thi tiraa lahja bhi shaaista nahin thaa andhere mein nishaan gum ho gae the musaafir raasta bhulaa nahin thaa"
tirgi shoala-e-nafrat ko havaa deti hai — Akhtar Saeedi
"tirgi shoala-e-nafrat ko havaa deti hai raushni zauq-e-yaqin fikr-e-rasaa deti hai tirgi baais-e-aazaar musaafir ke liye raushni shokhi-e-raftaar-e-sabaa deti hai tirgi sarhad-e-auhaam se aage na baDhi raushni qarya-e-shab mein bhi sadaa deti hai tirgi rang-e-alaamat ke sivaa kuchh bhi nahin raushni aks-e-shafaq rang-e-hinaa deti hai tirgi jahl ko rakhti hai dil-o-jaan ki tarah raushni ilm ki raahon kaa pata deti hai mukhtasar ye ki shab-e-gham ki sahar hone tak raushni nuur kaa ik jaal bichhaa deti hai raushni surat-e-paighaam-e-sahar hai 'akhtar' raushni hi sila-e-ahd-e-vafaa deti hai"
تیرگی شعلۂ نفرت کو ہوا دیتی ہے روشنی ذوق یقیں فکر رسا دیتی ہے تیرگی باعث آزار مسافر کے لئے روشنی شوخئ رفتار صبا دیتی ہے تیرگی سرحد اوہام سے آگے نہ بڑھی روشنی قریۂ شب میں بھی صدا دیتی ہے تیرگی رنگ علامت کے سوا کچھ بھی نہیں روشنی عکس شفق رنگ حنا دیتی ہے تیرگی جہل کو رکھتی ہے دل و جاں کی طرح روشنی علم کی راہوں کا پتہ دیتی ہے مختصر یہ کہ شب غم کی سحر ہونے تک روشنی نور کا اک جال بچھا دیتی ہے روشنی صورت پیغام سحر ہے اخترؔ روشنی ہی صلۂ عہد وفا دیتی ہے
तीरगी शो'ला-ए-नफ़रत को हवा देती है रौशनी ज़ौक़-ए-यक़ीं फ़िक्र-ए-रसा देती है तीरगी बाइस-ए-आज़ार मुसाफ़िर के लिए रौशनी शोख़ी-ए-रफ़्तार-ए-सबा देती है तीरगी सरहद-ए-औहाम से आगे न बढ़ी रौशनी क़र्या-ए-शब में भी सदा देती है तीरगी रंग-ए-अलामत के सिवा कुछ भी नहीं रौशनी अक्स-ए-शफ़क़ रंग-ए-हिना देती है तीरगी जहल को रखती है दिल-ओ-जाँ की तरह रौशनी इल्म की राहों का पता देती है मुख़्तसर ये कि शब-ए-ग़म की सहर होने तक रौशनी नूर का इक जाल बिछा देती है रौशनी सूरत-ए-पैग़ाम-ए-सहर है 'अख़्तर' रौशनी ही सिला-ए-अह्द-ए-वफ़ा देती है

More by Akhtar Saeedi
View all →"didani jism-o-jaan kaa rishta hai ye samundar bhi kitnaa gahraa hai ghar ho yaa ho nagar bahar-surat aadmi to safar mein rahtaa hai log to ajnabi nahin lekin raasta ajnabi saa lagtaa hai saamne sar-phiri havaaon ke kab kisi kaa charaagh jaltaa hai DhunDhti hain tujhe miri aankhein jab koi qaafila guzartaa hai log to aaine se Darte hain aaina kab kisi se Dartaa hai koi aalam ho in dinon 'akhtar' ek chehra nazar mein rahtaa hai"
"hisaar-e-chashm se baahar nahin milaa koi main DhunDhtaa hi rahaa par nahin milaa koi mire vajud mein khushbu kahaan se aaegi bahut dinon se gul-e-tar nahin milaa koi fasil-e-jism se baahar bhi jhaank kar dekhaa mujhe to mere baraabar nahin milaa koi pas-e-ghubaar bhi main aaina-ba-dast rahaa magar nigaah ko manzar nahin milaa koi hain tere dast-e-tasarruf mein anfus-o-aafaaq mujhe khulus kaa paikar nahin milaa koi havaa chali to makaan tirgi mein Duub gae charaagh raahguzar par nahin milaa koi ye khud-sari kaa ajab daur hai ki 'akhtar' se gharib-e-shahr samajh kar nahin milaa koi"
"Dubti nabz chalti havaa dekhnaa mausam-e-hijr mein aur kyaa dekhnaa rut badalte hue vaqt lagtaa nahin ghar se niklo to pahle fazaa dekhnaa zindagi ik safar hai musalsal safar TuTnaa hai kahaan silsila dekhnaa chhin legi mataaa-e-gham-e-ishq bhi ek din mujh se meri anaa dekhnaa mashghala ban gayaa zindagi kaa miri ek hi shakhs kaa raasta dekhnaa khvaab taskin bhi hai aziyyat bhi hai khvaab ke baa'd taa۔bir kyaa dekhnaa ab kisi ki bhi pahchaan mushkil nahin aa gayaa hai mujhe aaina dekhnaa sochnaa shahr mein amn kaa raaj hai jab bhi 'akhtar' koi dar khulaa dekhnaa"
"hamesha mausam-e-gul haae tar nahin rahtaa tamaam umr koi ham-safar nahin rahtaa junun-e-ishq mein kyaa teraa ghar talaash karun miri nigaah mein khud meraa ghar nahin rahtaa ajiib raabta-e-husn-o-ishq hai jis mein khayaal-e-saaya-e-divaar-o-dar nahin rahtaa ye aur baat ki teri khabar na ho mujh ko magar main khud se kabhi be-khabar nahin rahtaa bataa rahaa hai ye meraa mushaahida mujh ko rafaaqaton kaa shajar be-samar nahin rahtaa hamaare pesh-e-nazar aaine to rahte hain magar nigaah mein aaina-gar nahin rahtaa jo eatibaar ki had se guzar gayaa 'akhtar' kisi nazar mein bhi vo mo'atabar nahin rahtaa"
"nashaat-e-duniyaa ko khvaab likhnaa masarraton ko saraab likhnaa jo ho sake to gham-o-alam ki hikaayat-e-pur-kitaab likhnaa main sarguzisht-e-hayaat apni sahifa-e-dil pe likh rahaa huun tu ahd-e-rafta ke mausamon ko nae dinon kaa azaab likhnaa main apni tahzib ke havaale sipurd-e-qirtaas kar chukaa huun tire muqaddar mein kyaa nahin hai koi darakhshanda baab likhnaa hain meri aankhon mein khvaab tere isi liye to hain zakhm gahre kisi ke bas mein nahin hai shaayad hikaayat-e-iztiraab likhnaa main apni chashm-e-mushaahida se jo dekhtaa huun vahi likhungaa khilaaf-e-shaan-e-sukhanvari hai qasida-e-aab-o-taab likhnaa ye dasht-e-imkaan-e-aarzu hai yahin khayaabaan-e-justuju hai yahaan ke mausam ki sar-kashi ko alaamat-e-inqalaab likhnaa dayaar-e-ehsaas ke makinon ke sar pe taaj-e-sukhanvari hai to aise zinda dilon ko 'akhtar' hamesha izzat-maaab likhnaa"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"