Quote
"ye manzar dekh kar saahil ki hairaani nahin jaati mujhe chhu kar bhi koi mauj-e-tufaani nahin jaati pareshaani agar hai to pareshaani kaa hal bhi hai pareshaan-haal rahne se pareshaani nahin jaati ye kaise log hain jo aaina pahchaan lete hain ki ab ham se to apni shakl pahchaani nahin jaati bahut kanjus hain aankhein miri aansu bahaane mein agarche daulat-e-gham ki faraavaani nahin jaati gham-e-duniyaa se pahlu to miraa aabaad rahtaa hai magar dil hai ki is ki khaana-viraani nahin jaati"
