SHAWORDS

tujhe yaad kar ke bhulaane se pahle — Aadil Rahi

HomeAadil RahiGhazal
"tujhe yaad kar ke bhulaane se pahle main royaa bahut muskuraane se pahle ki ro-ro ke sonaa to hans-hans ke uThnaa ham aise na the dil lagaane se pahle mire khvaab rah jaaein na phir adhure jabin chuum lenaa jagaane se pahle tum apni tabaahi kaa maatam to kar lo mire haal pe muskuraane se pahle bahut yaad aaegi paagal si laDki ye sochaa nahin thaa bhulaane se pahle main TuuTaa main bikhraa huaa reza-reza miri jaan tire khat jalaane se pahle tumhein sirf ranj-o-alam hi mileinge zaraa soch lo dil lagaane se pahle ghazal pesh-e-khidmat hai 'raahi' ki sun lo kahaa us ne sab ko sunaane se pahle"
Urdu

تجھے یاد کر کے بھلانے سے پہلے میں رویا بہت مسکرانے سے پہلے کہ رو رو کے سونا تو ہنس ہنس کے اٹھنا ہم ایسے نہ تھے دل لگانے سے پہلے مرے خواب رہ جائیں نہ پھر ادھورے جبیں چوم لینا جگانے سے پہلے تم اپنی تباہی کا ماتم تو کر لو مرے حال پہ مسکرانے سے پہلے بہت یاد آئے گی پاگل سی لڑکی یہ سوچا نہیں تھا بھلانے سے پہلے میں ٹوٹا میں بکھرا ہوا ریزہ ریزہ مری جاں ترے خط جلانے سے پہلے تمہیں صرف رنج و الم ہی ملیں گے ذرا سوچ لو دل لگانے سے پہلے غزل پیش خدمت ہے راہیؔ کی سن لو کہا اس نے سب کو سنانے سے پہلے

Hindi

तुझे याद कर के भुलाने से पहले मैं रोया बहुत मुस्कुराने से पहले कि रो-रो के सोना तो हँस-हँस के उठना हम ऐसे न थे दिल लगाने से पहले मिरे ख़्वाब रह जाएँ न फिर अधूरे जबीं चूम लेना जगाने से पहले तुम अपनी तबाही का मातम तो कर लो मिरे हाल पे मुस्कुराने से पहले बहुत याद आएगी पागल सी लड़की ये सोचा नहीं था भुलाने से पहले मैं टूटा मैं बिखरा हुआ रेज़ा-रेज़ा मिरी जाँ तिरे ख़त जलाने से पहले तुम्हें सिर्फ़ रंज-ओ-अलम ही मिलेंगे ज़रा सोच लो दिल लगाने से पहले ग़ज़ल पेश-ए-ख़िदमत है 'राही' की सुन लो कहा उस ने सब को सुनाने से पहले

tujhe yaad kar ke bhulāne se pahle
Aadil Rahi
Aadil Rahi
Aadil Rahi
poet23 quotes

More by Aadil Rahi

View all →
Quote
"gard jam jaae to shisha nahin dekhaa jaataa yaani tasvir ko dhundlaa nahin dekhaa jaataa tishnagi aa tujhe dariyaa ke havaale kar duun tujh ko is haal mein pyaasaa nahin dekhaa jaataa tum miraa naam-o-nasab puchh rahe ho sab se ishq ho jaae to shajara nahin dekhaa jaataa lauT aane ki tasalli tiri jhuTi hi sahi ab to muD-muD ke yuun rasta nahin dekhaa jaataa sher achchhe jo bure lagte hain duniyaa ko mire ho ghazal mein tiraa charchaa nahin dekhaa jaataa log milte hain bichhaDte hain magar kyon mujh se yuun tiraa chhoD ke jaanaa nahin dekhaa jaataa izz-o-tauqir kaa ye haal hasad mein ham se qad kisi kaa bhi ho unchaa nahin dekhaa jaataa"
Aadil RahiAadil Rahi
Quote
"gulaab rangon ko zaa'fraani nahin karungaa main aise paudon ki baaghbaani nahin karungaa kisi ki khaatir ghalat-bayaani nahin karungaa main jhuTe logon ki tarjumaani nahin karungaa sunaa hai ab vo khilaaf mere gavaahi degaa jo kah rahaa thaa ki bad-gumaani nahin karungaa sazaa main khud ko kabhi na dungaa tire kiye ki jigar ko chhalni lahu ko paani nahin karungaa tumhaare gham kaa tumhaari yaadon kaa main amiin huun kahaa thaa tum se ki be-imaani nahin karungaa mu'aaf tujh ko main pahle bhi kar chukaa huun lekin dubaara tujh par ye mehrbaani nahin karungaa ye ghair-mumkin hai phir bhi haakim banaa to 'aadil' sitam-rasidon pe hukmraani nahin karungaa"
Aadil RahiAadil Rahi
Quote
"kasak dil ki miTaane mein zaraa si der lagti hai kisi kaa gham bhulaane mein zaraa si der lagti hai kisi ko chaah kar apnaa banaanaa Thiik hai lekin mohabbat aazmaane mein zaraa si der lagti hai tumhein paane ki khvaahish mein huaa ehsaas ye mujh ko muqaddar aazmaane mein zaraa si der lagti hai jise minnat muraadon se baDi mushkil se paayaa ho use dil se bhulaane mein zaraa si der lagti hai ki jis dil ki zamin barson se banjar ho to phir us par nai chaahat ugaane mein zaraa si der lagti hai ghazal paDh kar to aasaani se mahfil luuT sakte ho magar izzat kamaane mein zaraa si der lagti hai dil-e-muztar ko aakhir kaun samjhaaegaa ai 'raahi' sukun-e-qalb paane mein zaraa si der lagti hai"
Aadil RahiAadil Rahi
Quote
"use tum se mohabbat hai ghalat-fahmi mein mat rahnaa ye bas dil ki sharaarat hai ghalat-fahmi mein mat rahnaa tumhi ko dekh kar vo muskuraataa hai to hairat kyaa use hansne ki aadat hai ghalat-fahmi mein mat rahnaa hue barbaad to ab aah-o-zaari kar rahe ho tum kahaa bhi thaa siyaasat hai ghalat-fahmi mein mat rahnaa main tujh ko chaahtaa huun baat ye sach hai magar phir bhi mujhe teri zarurat hai ghalat-fahmi mein mat rahnaa hi jhuki nazron se taknaa aur khamoshi se guzar jaanaa mohabbat ki rivaayat hai ghalat-fahmi mein mat rahnaa kiyaa kartaa huun 'raahi' us ki taarifein sabab ye hai vo mujh se khubsurat hai ghalat-fahmi mein mat rahnaa"
Aadil RahiAadil Rahi
Quote
"hijr kaa sog manaanaa kabhi dariyaa ronaa yaad kar ke tujhe hansnaa kabhi ronaa ronaa kyaa bataaun use kis baat pe hanste dekhaa kyaa bataaun mujhe kis baat pe aaya ronaa kaise bhulungaa vo bebaak adaaein us ki us ki baatein to vo hansnaa vo lipaTnaa ronaa baat auron ki nahin tu to miraa apnaa thaa kaash tujh ko nazar aataa mire dil kaa ronaa koi to baat use itnaa rulaati hogi achchhaa lagtaa hai kise TuuT ke tanhaa ronaa tum to khush the na mujhe chhoD ke jaate-jaate vaqt-e-rukhsat tumhein kis baat pe aaya ronaa muddaton baad ye ehsaas huaa hai 'raahi' muddaton baad phir aaya mujhe itnaa ronaa"
Aadil RahiAadil Rahi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer