Quote
"jab se main khud ko kho rahaa huun karvaT badal ke so rahaa huun ye jaagnaa aur sonaa kyaa hai aankhon mein jahaan samo rahaa huun duniyaa se ulajh ke sar pe shaayad apni hi balaa ko Dho rahaa huun ye laag aur lagaav kyaa hai apnaa vujud hi Dubo rahaa huun ab tak jo zindagi hai guzri kaanTe nafas mein bo rahaa huun hai kuchh to apni parda-daari na jaagtaa huun na so rahaa huun itnaa hai khoT mere man mein paani mein duudh bilo rahaa huun ai dil-e-figaar be-sabaat hasti teri hi jaan ko ro rahaa huun jitni hai duur maut mujh se itnaa hi qarib ho rahaa huun kis raaste par jaa rahi hai duniyaa ye dekh ke hi to ro rahaa huun jaane 'hamesh' khud ko kab se be-vajh lahu mein Dubo rahaa huun"
