SHAWORDS

tumhaari yaad kaa saavan kahaan se aataa hai — Ikram Arfi

HomeIkram ArfiGhazal
"tumhaari yaad kaa saavan kahaan se aataa hai ye meri jaan kaa dushman kahaan se aataa hai sharik-e-jaam nahin huun magar ye sochtaa huun tiraa bharaa huaa bartan kahaan se aataa hai ye paaelein to miri tab’-zaad hain lekin mire kalaam mein kangan kahaan se aataa hai falak ko dekh rahaa huun savaal karte hue sitaara-e-rukh-e-raushan kahaan se aataa hai"
Urdu

تمہاری یاد کا ساون کہاں سے آتا ہے یہ میری جان کا دشمن کہاں سے آتا ہے شریک جام نہیں ہوں مگر یہ سوچتا ہوں ترا بھرا ہوا برتن کہاں سے آتا ہے یہ پائلیں تو مری طبع زاد ہیں لیکن مرے کلام میں کنگن کہاں سے آتا ہے فلک کو دیکھ رہا ہوں سوال کرتے ہوئے ستارۂ رخ روشن کہاں سے آتا ہے

Hindi

तुम्हारी याद का सावन कहाँ से आता है ये मेरी जान का दुश्मन कहाँ से आता है शरीक-ए-जाम नहीं हूँ मगर ये सोचता हूँ तिरा भरा हुआ बर्तन कहाँ से आता है ये पायलें तो मिरी तब'-ज़ाद हैं लेकिन मिरे कलाम में कंगन कहाँ से आता है फ़लक को देख रहा हूँ सवाल करते हुए सितारा-ए-रुख़-ए-रौशन कहाँ से आता है

tumhārī yaad kā sāvan kahāñ se aatā hai
Ikram Arfi
Ikram Arfi
Ikram Arfi
poet13 quotes

More by Ikram Arfi

View all →
Quote
"dar-e-havas pe sharaafat ne ghuTne Tek diye gharib ghar ki zarurat ne ghuTne Tek diye havas-nazhaad professoron ne zulm kiyaa kitaab chhoD ke 'iffat ne ghuTne Tek diye sunaa hai aaj kisi mafiyaa ki peshi thi sunaa hai aaj 'adaalat ne ghuTne Tek diye qarib thaa ki mire haq mein boltaa insaaf muqaddame ki samaa'at ne ghuTne Tek diye ghulaam dekh ke shahzaadi ne salaam kiyaa to baadshaah salaamat ne ghuTne Tek diye hamaare dam se mohabbat kaa bol-baalaa thaa hamaare baa'd mohabbat ne ghuTne Tek diye hamaari pyaar ki 'aadat nahin gai 'ikraam' hamaare saamne 'aadat ne ghuTne Tek diye"
Ikram ArfiIkram Arfi
Quote
"ye mire ghar ke tiin chaar darakht hain disaavar ke tiin chaar darakht phir havaa shaakh shaakh se lipTi aashnaa kar ke tiin chaar darakht jaise kaaghaz ki ek do kaliyaan jaise patthar ke tiin chaar darakht dasht darpesh hai so chaltaa huun aankh mein bhar ke tiin chaar darakht shaah ne baagh mein ugaae hain sang-e-marmar ke tiin chaar darakht dasht-e-dil is qadar phalaa-phulaa dekhe mar mar ke tiin chaar darakht aakhiri vaqt bas havaaein thiin aur sanobar ke tiin chaar darakht"
Ikram ArfiIkram Arfi
Quote
"shab ki hairaan kar gae mire uunT subh sahraa se bhar gae mire uunT ret mahki to gungunaane lage chalte chalte Thahar gae mire uunT jabl-e-taariq pe dekh kar ghoDe paaniyon mein utar gae mire uunT sajne vaalaa thaa kumbh kaa mela aaina dekh kar gae mire uunT khushk honTon se maa'zarat kar li dil ke sahraa mein mar gae mire uunT ret ke is qadar shanaavar the nakhl dekhe to Dar gae mire uunT aur bhi raaste the ghar ki taraf ret par chal ke ghar gae mire uunT ek bhi sidhi kal nahin 'ikraam' apne ajdaad par gae mire uunT"
Ikram ArfiIkram Arfi
Quote
"pahle pahle bulaayaa gayaa Daakiyaa phir kai baar aaya gayaa Daakiyaa kachche raston se niklaa to khat gir paDe ek patthar se Takraa gayaa Daakiyaa log divaar-o-dar se lipaTne lage ek din gaanv mein aa gayaa Daakiyaa kachche ghar ki pahunch se bahut duur thaa baad-o-baaraan se ghabraa gayaa Daakiyaa dil pe dastak sunaai na di phir kabhi aankh se duur hotaa gayaa Daakiyaa haath malti rahi khvaahish-e-khvaandagi jo bataayaa vo likhtaa gayaa Daakiyaa aakhiri khat liye aakhiri moD par aakhiri baar dekhaa gayaa Daakiyaa"
Ikram ArfiIkram Arfi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi