SHAWORDS

udaasi jaan le legi — Nasir Amrohvi

HomeNasir AmrohviGhazal
"udaasi jaan le legi hamaari jaan le legi ye pankhaa jaan kaa dushman hai ye rassi jaan le legi o mere aasmaan vaale ye dharti jaan le legi khudaa ke vaaste bolo khamoshi jaan le legi main aadi huun asiri kaa rihaai jaan le legi"
Urdu

اداسی جان لے لے گی ہماری جان لے لے گی یہ پنکھا جاں کا دشمن ہے یہ رسی جان لے لے گی او میرے آسماں والے یہ دھرتی جان لے لے گی خدا کے واسطے بولو خموشی جان لے لے گی میں عادی ہوں اسیری کا رہائی جان لے لے گی

Hindi

उदासी जान ले लेगी हमारी जान ले लेगी ये पंखा जाँ का दुश्मन है ये रस्सी जान ले लेगी ओ मेरे आसमाँ वाले ये धरती जान ले लेगी ख़ुदा के वास्ते बोलो ख़मोशी जान ले लेगी मैं आदी हूँ असीरी का रिहाई जान ले लेगी

udāsī jaan le legī
Nasir Amrohvi
Nasir Amrohvi
Nasir Amrohvi
poet24 quotes

More by Nasir Amrohvi

View all →
Quote
"tanhaaiyon mein shor-e-qayaamat bapaa hai khair kis ki kami hai yaad nahin aa rahaa hai khair laazim hai ham ko dekhnaa jo kuchh falak dikhaae ik bevafaa ke honTon pe lafz-e-vafaa hai khair tujh se bichhaD ke ziist kaa imkaan hi nahin tu chhoD jaan-e-jaan ye miraa masala hai khair khun-e-jigar ne surkh kiyaa dast-e-naaz ko un ko ye lag rahaa hai ki rang-e-hinaa hai khair vo aaine ko dekhte hain aaina unhein ik aaine ke saamne ik aaina hai khair tujh ko to khuub khuub hai mere dukhon kaa 'ilm tu to miri hayaat mein shaamil rahaa hai khair 'naasir' kamaal-e-sher mein daavaa nahin magar jo kuchh thaa mere dil mein vo sab kah diyaa hai khair"
Nasir AmrohviNasir Amrohvi
Quote
"kisi ke hijr mein shab bhar udaas rahnaa hai so mujh ko subh talak mahv-e-yaas rahnaa hai ye haal hai ki tiri diid ko tarastaa huun main sochtaa thaa mujhe tere paas rahnaa hai tumhaare laakh dilaase bhi raaegaan honge us ek shakhs ko taa-umr udaas rahnaa hai ye ziist tere sitam ki rahin hai jaanaan tire firaaq ko is ki asaas rahnaa hai so bazm-e-yaar mein jaa kar ghazal sunaaeinge nigaah-e-naaz mein ham ko to khaas rahnaa hai ye aur baat ki dariyaa se dosti hai miri likhaa huaa miri qismat mein pyaas rahnaa hai junun-e-ishq mein bejaa hai fikr-e-uryaani khayaal-e-yaar ko meraa libaas rahnaa hai"
Nasir AmrohviNasir Amrohvi
Quote
"badli hui dildaar nazar dekh rahe hain dekhi nahin jaati hai magar dekh rahe hain kuchh logon ki nazron mein miri aabla-paai kuchh log miraa azm-e-safar dekh rahe hain hai saamne un ke mere honTon pe tabassum lekin vo miraa dida-e-tar dekh rahe hain yuun dekhte rahne mein basaarat hi ganvaa di par ab bhi tiri raahguzar dekh rahe hain ik main ki faqat un ki taraf dekh rahaa huun ik vo hain ki rab jaane kidhar dekh rahe hain pahle to mire haath qalam kar diye aur ab hairat se miraa kaar-e-hunar dekh rahe hain 'naasir' tire shaanon pe tire chaahne vaale ye bhi to ghanimat hai ki sar dekh rahe hain"
Nasir AmrohviNasir Amrohvi
Quote
"ye soch rakhaa hai koi shikva nahin karungaa main apni ghairat mazid rusvaa nahin karungaa miri vafaaein tire ravayye pe munhasir hain vafaa karungaa magar ye vaada nahin karungaa nahin sunaaungaa ab gulaabon ko teraa qissa main titliyon se bhi teraa charchaa nahin karungaa vo ik masihaa jo saari basti kaa chaaraagar hai vo mujh se kahtaa hai tujh ko achchhaa nahin karungaa tum ab ke mujh ko jo raaste mein kahin miloge to dekh lenaa koi ishaara nahin karungaa baDi ummidon se main ne puchhaa vafaa karoge baDe tafaakhur se mujh se bolaa nahin karungaa kisi ke Dar se main jaan-e-'naasir' ko dost kah duun muaaf kijegaa hargiz aisaa nahin karungaa"
Nasir AmrohviNasir Amrohvi
Quote
"khayaal-e-jaanaan utar rahaa hai dil-e-hazin par hai aasmaan kaa nuzul yaa'ni miri zamin par main laakh ruThun use manaane kaa Dhab pata hai bas ek bosa hasin labon kaa miri jabin par jahaan pe ham donon pichhli sardi mein mil chuke hain rakkhe hain ab bhi gulaab sukhe hue vahin par main us ki khaatir junun ki had se guzar gayaa huun khudaa ki bandi hai ab bhi qaaem nahin nahin par na jaane kitni hasin aankhein miri taraf hain magar ye aankhein Tiki hain us ek naaznin par hamaari ghazlon mein yuun to sab kuchh hi normal hai bas aansuon ke nishaan mileinge kahin kahin par na shohraton ki bulandiyon par gumaan karnaa palaT ke aanaa paDegaa ik din tumhein zamin par"
Nasir AmrohviNasir Amrohvi
Quote
"aaj aavaaza-e-haq kis ko sunaai degaa sach to bas vo hai jo andhon ko dikhaai degaa daur-e-haazir mein kahaan kis ki ragon mein surkhi kaun haathon ko tire rang-e-hinaai degaa ghair hain sab miri mayyit ko uThaane vaale main ne sochaa thaa ki kaandhaa miraa bhaai degaa ab kahaan khuun ke rishton kaa bharam hai baaqi kaun is daur mein rishton ki duhaai degaa hai zamaane mein buraai kaa chalan kuchh aisaa har buraa shakhs har achchhe ko buraai degaa teri yaadein tiri baatein tiri ghazlein 'naasir' baa'd tere bhi tiraa zikr sunaai degaa"
Nasir AmrohviNasir Amrohvi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar