SHAWORDS

use main bhuul jaaun ai khudaa itnaa karam kar de — Archana Johri

HomeArchana JohriGhazal
"use main bhuul jaaun ai khudaa itnaa karam kar de rahe vo khush jahaan ho aankh chaahe meri nam kar de miri hasti hai tujh se hi ise ab tu hi kar kaamil jo kam hai kar 'ataa jo hai ziyaada us ko kam kar de nahin ye chaah mujh ko ye ki vo mil jaae mujh ko hi vo jis ko chaahtaa hai us ko us kaa hi sanam kar de tu mujh ko de sukun maulaa yaa meri jaan hi le le tujhe jo faisla karnaa ho to meri qasam kar de"
Urdu

اسے میں بھول جاؤں اے خدا اتنا کرم کر دے رہے وہ خوش جہاں ہو آنکھ چاہے میری نم کر دے مری ہستی ہے تجھ سے ہی اسے اب تو ہی کر کامل جو کم ہے کر عطا جو ہے زیادہ اس کو کم کر دے نہیں یہ چاہ مجھ کو یہ کہ وہ مل جائے مجھ کو ہی وہ جس کو چاہتا ہے اس کو اس کا ہی صنم کر دے تو مجھ کو دے سکوں مولا یا میری جان ہی لے لے تجھے جو فیصلہ کرنا ہو تو میری قسم کر دے

Hindi

उसे मैं भूल जाऊँ ऐ ख़ुदा इतना करम कर दे रहे वो ख़ुश जहाँ हो आँख चाहे मेरी नम कर दे मिरी हस्ती है तुझ से ही इसे अब तू ही कर कामिल जो कम है कर 'अता जो है ज़ियादा उस को कम कर दे नहीं ये चाह मुझ को ये कि वो मिल जाए मुझ को ही वो जिस को चाहता है उस को उस का ही सनम कर दे तू मुझ को दे सुकूँ मौला या मेरी जान ही ले ले तुझे जो फ़ैसला करना हो तो मेरी क़सम कर दे

use maiñ bhuul jā.ūñ ai ḳhudā itnā karam kar de
Archana Johri
Archana Johri
Archana Johri
poet10 quotes

More by Archana Johri

View all →
Quote
"koi sho'la jalaa gayaa phir se soi khvaahish jagaa gayaa phir se main jise bhulne hi vaalaa thaa vo mujhe yaad aa gayaa phir se ek jangal si zindagi kaaTi main ne ro-ro ke har ghaDi kaaTi chhoD kar vo mujhe gayaa ik din aur vo hi dil dukhaa gayaa phir se saamne vo mire kyon aayaa phir soi ummid ko jagaayaa phir ek sapnaa miraa jo TuuTaa thaa vo hi sapnaa rulaa gayaa phir se zindagi raas aa gai hoti har khushi paas aa gai hoti main to us kaa huun vo nahin meraa ik yahi gham sataa gayaa phir se kaash ye din kabhi nahin aataa main use bhuul bhuul hi jaataa ek Thokar jahaan pe khaai thi main vahin laDkhaDaa gayaa phir se har ghaDi meraa imtihaan kyon hai haae mushkil mein meri jaan kyon hai vo milaa thaa jahaan mujhe ik din lo vahi moD aa gayaa phir se"
Archana JohriArchana Johri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar