SHAWORDS

use yaqin na aayaa miri kahaani par — Siddique Mujibi

"use yaqin na aayaa miri kahaani par vo naqsh DhunD rahaa thaa guzarte paani par safine thak ke tah-e-aab ho gae saare hunar khilaa na havaaon kaa baadbaani par main sakht-jaan thaa aisaa ki chikh bhi na sakaa fughaan fughaan thi jahaan marg-e-naa-gahaani par main aasmaan ko samajhtaa rahaa harif apnaa gayaa na dhyaan kabhi us ki be-karaani par 'mujibi' chup si ye kyuun lag gai zamaane ko kahaan gae vo jo naazaan the khush-bayaani par"
Urdu

اسے یقین نہ آیا مری کہانی پر وہ نقش ڈھونڈ رہا تھا گزرتے پانی پر سفینے تھک کے تہہ آب ہو گئے سارے ہنر کھلا نہ ہواؤں کا بادبانی پر میں سخت جان تھا ایسا کہ چیخ بھی نہ سکا فغاں فغاں تھی جہاں مرگ ناگہانی پر میں آسماں کو سمجھتا رہا حریف اپنا گیا نہ دھیان کبھی اس کی بے کرانی پر مجیبیؔ چپ سی یہ کیوں لگ گئی زمانے کو کہاں گئے وہ جو نازاں تھے خوش بیانی پر

Hindi

उसे यक़ीन न आया मिरी कहानी पर वो नक़्श ढूँड रहा था गुज़रते पानी पर सफ़ीने थक के तह-ए-आब हो गए सारे हुनर खिला न हवाओं का बादबानी पर मैं सख़्त-जान था ऐसा कि चीख़ भी न सका फ़ुग़ाँ फ़ुग़ाँ थी जहाँ मर्ग-ए-ना-गहानी पर मैं आसमाँ को समझता रहा हरीफ़ अपना गया न ध्यान कभी उस की बे-करानी पर 'मुजीबी' चुप सी ये क्यूँ लग गई ज़माने को कहाँ गए वो जो नाज़ाँ थे ख़ुश-बयानी पर

use yaqīn na aayā mirī kahānī par
Siddique Mujibi
Siddique Mujibi
Siddique Mujibi
poet20 quotes

More by Siddique Mujibi

View all →
Quote
"honTon pe sukhan aaankhon mein nam bhi nahin ab ke is tarah vo bichhDaa hai ki gham bhi nahin ab ke khud ko dil-e-sarkash ne bhi rakkhaa na kahin kaa jiine pe razaa-mand to ham bhi nahin ab ke tanhaa hain to darpesh hain khatraat-e-safar aur yuun be-sar-o-saamaan yahaan kam bhi nahin ab ke kyaa kahiye ki jo munh mein zabaan bhi nahin apni afsos ki haathon mein qalam bhi nahin ab ke be-rahm judaai kaa sabab bhi nahin maalum ik-guna taalluq kaa bharam bhi nahin ab ke kyaa jaane 'mujibi' dil-e-qaatil mein hai kyaa aaj mahzar mein koi jurm raqam bhi nahin ab ke"
Siddique MujibiSiddique Mujibi
Quote
"ajab paagal hai dil kaar-e-jahaan baani mein rahtaa hai khudaa jab dekhtaa hai khud bhi hairaani mein rahtaa hai main vo TuuTaa huaa taaraa jise mahfil na raas aai main vo shola jo shab bhar aankh ke paani mein rahtaa hai koi aisaa nahin miltaa jo mujh mein Duub kar dekhe mire gham ko jo mere dil ki viraani mein rahtaa hai hazaaron bijliyaan TuTin nasheman bhi jalaa lekin koi to hai jo is ghar ki nigahbaani mein rahtaa hai khudaa aur naakhudaa donon khajil hain haal par mere main vo tinkaa huun jo aaghosh-e-tughyaani mein rahtaa hai rumuz-e-mumlikat yaa rab khirad samjhe yaa tu jaane junun meraa to shauq-e-chaak-daamaani mein rahtaa hai ghazal likhne se kyaa hogaa 'mujibi' kuchh qaside likh sharaf sunte hain ab tarz-e-sanaa-khvaani mein rahtaa hai"
Siddique MujibiSiddique Mujibi
Quote
"mire chehre se gham aankhon se hairaani na jaaegi yahi surat rahegi aur pahchaani na jaaegi tumhaaraa jhuuT mere sach kaa qaatil hai magar duniyaa tumhaari maan jaaegi miri maani na jaaegi anaa sar chaDh gai hai ik bagule ki tarah aisi ki sar jaaegaa ik din khu-e-uriyaani na jaaegi tumhaare paas zanjirein hamaare dast o paa zakhmi lahu zinda hai jab tak apni man-maani na jaaegi miraa dukh bhi navishta hai miri taqdir kaa shaayad jo main gul huun to meri chaak-daamaani na jaaegi sabaa aavaara phirti hai navaah-e-jaan mein barson se ye vo khitta hai jis se us ki viraani na jaaegi qalam dil mein Dubo kar bhi 'mujibi' kuchh na haath aayaa ye vo ehsaas hai jis ki pashemaani na jaaegi"
Siddique MujibiSiddique Mujibi
Quote
"sharik-e-gham koi kab mo'atabar nikaltaa hai sivaae dil ke so vo be-khabar nikaltaa hai ye kaisaa shahr hai kaisi hai sar-zamin us ki jahaan ki khaak palaTtaa huun sar nikaltaa hai jidhar hain pyaase udhar baarishein hain tiron ki jidhar ghanim hai dariyaa udhar nikaltaa hai use khabar hai ki zulmat hai saf-ba-saf har-su ujaalaa haath mein le kar sipar nikaltaa hai hafiz haathon kaa saaya hai saaebaan jaisaa yaqin hotaa hai dil ko na Dar nikaltaa hai 'ajib dhund hai dasht-e-safar pe chhaai hui na khatm hotaa hai rasta na ghar nikaltaa hai 'mujibi' saunp di jis ko mataa-e-jaan main ne usi kaa qarz mire naam par nikaltaa hai"
Siddique MujibiSiddique Mujibi
Quote
"bhuli-bisri baat hai lekin ab tak bhuul na paae ham muTThi bhar taaron ki khaatir apnaa chaand ganvaae ham ab to tumhaare hisse kaa bhi pyaar hamein karnaa paDtaa hai tum se sun kar jitne qisse yaad the sab dohraae ham tum hote to betaabi se ham ko lagaa lete siine se jin raaton mein dukh jhele hain jin mein ranj uThaae ham niind kahaan ab to rahti hai aaankhon mein zahraab ki dhund miTTi kaa dil chiir ke saare khvaabon ko daab aae ham raat mili to de gai ham ko thoDi si pahchaan suraj suraj din chamkaa to ho gae aap paraae ham jhuTi si ik aas pe shaayad puchh le koi dil kaa haal chehre kaa kashkol liye phirte hain ruup banaae ham"
Siddique MujibiSiddique Mujibi
Quote
"us ne sochaa bhi nahin thaa kabhi aisaa hogaa dil hi israar karegaa ki bichhaDnaa hogaa kashtiyaan ret pe baiThi hain umidein baandhe aisaa lagtaa hai ye sahraa kabhi dariyaa hogaa ik udaasi miri dahliz pe baiThi hogi ek jugnu mire kamre mein bhaTaktaa hogaa tum ne vo zakhm diyaa hai miri tanhaai ko jo na aasuda-e-gham hogaa na achchhaa hogaa chaand jis raat na niklaa to gumaan guzraa hai vo yaqinan tire aangan mein chamaktaa hogaa apnaa sar kaaT ke neze pe uThaae rakkhaa sirf ye zid ki miraa sar hai to unchaa hogaa"
Siddique MujibiSiddique Mujibi

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar