SHAWORDS

usi zamin usi aasmaan ke saath rahe — Ashfaq Husain

HomeAshfaq HusainGhazal
"usi zamin usi aasmaan ke saath rahe jahaan ke the hi nahin us jahaan ke saath rahe nai zamin pe khilaate rahe shanaakht ke phuul jahaan rahe vahaan apni zabaan ke saath rahe sajaa ke nok-e-palak tak viraasaton kaa jamaal saqaafat-e-vatan-e-mezbaan ke saath rahe ham apne lamha-e-maujud ke havaalon se ghubaar-e-qaafila-e-raftagaan ke saath rahe taraashti rahi mauj-e-havaa-e-vaqt hamein chaTaan the magar aab-e-ravaan ke saath rahe kisi shikasta kinaare se rabt hi na rakhaa samundaron mein khule baadbaan ke saath rahe badan pe jamne na di ham ne gard-e-tanhaai khayaal-e-anjuman-e-dostaan ke saath rahe bas is khayaal se kuchh is mein teraa zikr bhi thaa suni-sunaai hui daastaan ke saath rahe"
Urdu

اسی زمین اسی آسماں کے ساتھ رہے جہاں کے تھے ہی نہیں اس جہاں کے ساتھ رہے نئی زمیں پہ کھلاتے رہے شناخت کے پھول جہاں رہے وہاں اپنی زباں کے ساتھ رہے سجا کے نوک پلک تک وراثتوں کا جمال ثقافت وطن میزباں کے ساتھ رہے ہم اپنے لمحۂ موجود کے حوالوں سے غبار قافلۂ رفتگاں کے ساتھ رہے تراشتی رہی موج ہوائے وقت ہمیں چٹان تھے مگر آب رواں کے ساتھ رہے کسی شکستہ کنارے سے ربط ہی نہ رکھا سمندروں میں کھلے بادباں کے ساتھ رہے بدن پہ جمنے نہ دی ہم نے گرد تنہائی خیال انجمن دوستاں کے ساتھ رہے بس اس خیال سے کچھ اس میں تیرا ذکر بھی تھا سنی سنائی ہوئی داستاں کے ساتھ رہے

Hindi

उसी ज़मीन उसी आसमाँ के साथ रहे जहाँ के थे ही नहीं उस जहाँ के साथ रहे नई ज़मीं पे खिलाते रहे शनाख़्त के फूल जहाँ रहे वहाँ अपनी ज़बाँ के साथ रहे सजा के नोक-ए-पलक तक विरासतों का जमाल सक़ाफ़त-ए-वतन-ए-मेज़बाँ के साथ रहे हम अपने लम्हा-ए-मौजूद के हवालों से ग़ुबार-ए-क़ाफ़िला-ए-रफ़्तगाँ के साथ रहे तराशती रही मौज-ए-हवा-ए-वक़्त हमें चटान थे मगर आब-ए-रवाँ के साथ रहे किसी शिकस्ता किनारे से रब्त ही न रखा समुंदरों में खुले बादबाँ के साथ रहे बदन पे जमने न दी हम ने गर्द-ए-तन्हाई ख़याल-ए-अंजुमन-ए-दोस्ताँ के साथ रहे बस इस ख़याल से कुछ इस में तेरा ज़िक्र भी था सुनी-सुनाई हुई दास्ताँ के साथ रहे

usī zamīn usī āsmāñ ke saath rahe
Ashfaq Husain
Ashfaq Husain
Ashfaq Husain
poet54 quotes

More by Ashfaq Husain

View all →
Quote
"jazire ki tarah meri nishaani kis liye hai mire chaaron taraf paani hi paani kis liye hai main aksar sochtaa huun dil ki gahraai mein jaa kar zamin par ek chaadar aasmaani kis liye hai ba-zaahir pur-sukun aur dil ki har ik rag salaamat to zer-e-sath-e-dariyaa ik ravaani kis liye hai main TuuTaa huun to apni kirchiyaan bhi joD lungaa pa chehre par mire ye shaadmaani kis liye hai ye dil be-hausla dil mere kahne mein nahin jab to apne dil ki main ne baat maani kis liye hai karein lahje badal kar guftugu ik dusre se hamaare darmiyaan ye be-zabaani kis liye hai sabhi kirdaar apnaa kaam puuraa kar chuke hain to aakhir naa-mukammal ye kahaani kis liye hai"
Ashfaq HusainAshfaq Husain
Quote
"sukun-e-dil ki khaatir ik sahaaraa DhunDte hain jo gardish mein nahin hai vo sitaaraa DhunDte hain abhi to tujh se vaabasta hain pichhle zakhm saare shab-e-rafta tujhe ham kyuun dobaaraa DhunDte hain koi ghar hi nahin to be-ghari kaa zakhm kaisaa sukunat ke liye ik istiaaraa DhunDte hain zamin achchhi lagi hai aasmaan par jaa ke ham ko kahaan hai is zamin par ghar hamaaraa DhunDte hain ye dariyaa zindagi kaa paar kaise ho ki jab ham kinaare par khaDe hain aur kinaara DhunDte hain hamaari khvaahish-e-be-khvaahishi jo raakh kar de ham apni shakhsiyat mein vo sharaara DhunDte hain kisi mahtaab ko qadmon mein le aane se pahle ham un aankhon kaa halkaa saa ishaara DhunDte hain"
Ashfaq HusainAshfaq Husain
Quote
"dil ik nai duniyaa-e-maaani se milaa hai ye phal bhi hamein naql-e-makaani se milaa hai jo naam kabhi naqsh thaa dil par vo nahin yaad ab us kaa pataa yaad-dahaani se milaa hai ye dard ki dahliz pe sar phoDti duniyaa is kaa bhi siraa meri kahaani se milaa hai khoe hue logon kaa suraagh ahl-e-safar ko jalte hue khemon ki nishaani se milaa hai khaatir mein kisi ko bhi na laane kaa ye andaaz biphri hui maujon ki ravaani se milaa hai lafzon mein har ik ranj samone kaa qarina us aankh mein Thahre hue paani se milaa hai ye subh ki aaghosh mein khiltaa huaa manzar ik silsila-e-shab ki giraani se milaa hai"
Ashfaq HusainAshfaq Husain
Quote
"kahin bhi jaa ke baseraa karein udhar hi ke hain hamaare saare havaale hamaare ghar hi ke hain hamaari saans talak hi hamaaraa virsa hai hamaare khvaab bhi aankhon mein raat bhar hi ke hain main in se TuuT ke kartaa huun pyaar kyuun na karun ye saare phuul ye patte mire shajar hi ke hain vo jis ko chaahe banaa de kalaam-e-fan ki misaal tamaam moajize us dast-e-kuza-gar hi ke hain tiri nazar se tire dil tak aane jaane mein jo faasle hain vo lagtaa hai umr bhar hi ke hain karun to kaise karun main tiri gali mein qayaam mire to jo bhi sitaare hain vo safar hi ke hain"
Ashfaq HusainAshfaq Husain
Quote
"soch ki mauj-e-ravaan le ke kidhar aai hai ye samundar kaa kinaara hai ki gahraai hai kaun hai jis ne hilaa Daalaa miraa saaraa vajud meri aavaaz kis aavaaz se Takraai hai shohratein had se guzar jaaein to ye dhyaan rahe mausam-e-naamvari mausam-e-rusvaai hai apne atraaf bahut bhiiD ke hote hue bhi main jahaan huun vahaan tanhaai hi tanhaai hai us ke phaldaar darakhton pe na patthar pheinko ye mire ghar ki nahin dard ki angnaai hai vo jo chup-chaap hai us ko nazar-andaaz na kar khaamushi asl mein sarmaaya-e-daanaai hai"
Ashfaq HusainAshfaq Husain

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar