Quote
"zard rukhsaaron mein Dhal jaane kaa fan phulon ko aataa hai kumhlaane kaa fan aadmi ik shahr ki buniyaad hai jaantaa hai paanv phailaane kaa fan kyaa hue jo gul khilaati thi sabaa kyaa huaa vo khushbu phailaane kaa fan ghere rahti hain hazaar aankhein use jis ko aataa hai nazar aane kaa fan raah kaa patthar huun mujh se puchhiye Thokaron par Thokarein khaane kaa fan jaantaa hai koi koi aadmi aadmi ko kaam mein laane kaa fan shahr mein yusuf ko tanhaa kar gayaa apne apne chehre chamkaane kaa fan"
