Quote
"jo luT gayaa to har ik saaz dastiyaab huaa bhaTak ke raah talaashi to kaamyaab huaa miri hi chashm se sairaab vo saraab huaa main ho gayaa koi kaanTaa to vo gulaab huaa savaal karte zamaane guzar gae mujh ko sukut kar liyaa to phir vahi javaab huaa bhulaa ke khud ko har ik dil hai dekhne mein lagaa kise mili koi neamat kise azaab huaa hazaar log hue hain magar ziyaada der bataao kaun saa jhuTaa yahaan janaab huaa saron ke taaj hue qaum ke chhupe rustam bahut sataayaa gayaa jo khuli kitaab huaa tiri judaai ke din bhi bahut bure the magar ghamon kaa chhoD ke jaanaa bahut kharaab huaa haqiqaton ki haqiqat jo ho gai maa'lum 'aziz' dekh miraa rom-rom khvaab huaa"
