SHAWORDS

vafaa kaa daur hai jab se zavaal-aamaada — Khalid Basheer Ahmed

"vafaa kaa daur hai jab se zavaal-aamaada ye dil huaa hai ziyaada visaal-aamaada ajiib rut mein gulon par bahaar aai hai parind-e-shauq ki hai intiqaal-aamaada baDi latif thi vo baat jis ke sunne se lahu badan mein huaa hai ubaal-aamaada koi sukhan koi koshish bhi kaargar na hui mizaaj-e-yaar bahut hai malaal-aamaada guzar na jaaein inhein rok lo ki ab bhi hain rafaaqaton ke liye maah-o-saal aamaada"
Urdu

وفا کا دور ہے جب سے زوال آمادہ یہ دل ہوا ہے زیادہ وصال آمادہ عجیب رت میں گلوں پر بہار آئی ہے پرند شوق کہ ہے انتقال آمادہ بڑی لطیف تھی وہ بات جس کے سننے سے لہو بدن میں ہوا ہے ابال آمادہ کوئی سخن کوئی کوشش بھی کارگر نہ ہوئی مزاج یار بہت ہے ملال آمادہ گزر نہ جائیں انہیں روک لو کہ اب بھی ہیں رفاقتوں کے لئے ماہ و سال آمادہ

Hindi

वफ़ा का दौर है जब से ज़वाल-आमादा ये दिल हुआ है ज़ियादा विसाल-आमादा अजीब रुत में गुलों पर बहार आई है परिंद-ए-शौक़ कि है इंतिक़ाल-आमादा बड़ी लतीफ़ थी वो बात जिस के सुनने से लहू बदन में हुआ है उबाल-आमादा कोई सुख़न कोई कोशिश भी कारगर न हुई मिज़ाज-ए-यार बहुत है मलाल-आमादा गुज़र न जाएँ इन्हें रोक लो कि अब भी हैं रफ़ाक़तों के लिए माह-ओ-साल आमादा

vafā kā daur hai jab se zavāl-āmāda
Khalid Basheer Ahmed
Khalid Basheer Ahmed
Khalid Basheer Ahmed
poet4 quotes

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer