SHAWORDS

vafaa se pashemaan jafaa ho rahi hai — Jurm Mohammadabadi

"vafaa se pashemaan jafaa ho rahi hai mohabbat ki qimat adaa ho rahi hai davaa ho rahi hai duaa ho rahi hai magar dil ki uljhan sivaa ho rahi hai Duboi hai jis ne abhi dil ki kashti vahi aas phir naakhudaa ho rahi hai gulon mein bhi hai rang begaanagi kaa ajab is chaman ki havaa ho rahi hai nigaahon se parde haTe jaa rahe hain khudi ki khudaai fanaa ho rahi hai talab par bhi husn-e-talab ki hai koshish nazar kuchh mizaaj-aashnaa ho rahi hai mire dard ki ibtidaa karne vaale tire zulm ki intihaa ho rahi hai tiri raah mein miTne vaalon ki qismat fanaa ko bhi haasil baqaa ho rahi hai sitam ko sitam 'jurm' hargiz na kahte agar ye samajhte khataa ho rahi hai"
Urdu

وفا سے پشیماں جفا ہو رہی ہے محبت کی قیمت ادا ہو رہی ہے دوا ہو رہی ہے دعا ہو رہی ہے مگر دل کی الجھن سوا ہو رہی ہے ڈبوئی ہے جس نے ابھی دل کی کشتی وہی آس پھر ناخدا ہو رہی ہے گلوں میں بھی ہے رنگ بیگانگی کا عجب اس چمن کی ہوا ہو رہی ہے نگاہوں سے پردے ہٹے جا رہے ہیں خودی کی خدائی فنا ہو رہی ہے طلب پر بھی حسن طلب کی ہے کوشش نظر کچھ مزاج آشنا ہو رہی ہے مرے درد کی ابتدا کرنے والے ترے ظلم کی انتہا ہو رہی ہے تری راہ میں مٹنے والوں کی قسمت فنا کو بھی حاصل بقا ہو رہی ہے ستم کو ستم جرمؔ ہرگز نہ کہتے اگر یہ سمجھتے خطا ہو رہی ہے

Hindi

वफ़ा से पशेमाँ जफ़ा हो रही है मोहब्बत की क़ीमत अदा हो रही है दवा हो रही है दुआ हो रही है मगर दिल की उलझन सिवा हो रही है डुबोई है जिस ने अभी दिल की कश्ती वही आस फिर नाख़ुदा हो रही है गुलों में भी है रंग बेगानगी का अजब इस चमन की हवा हो रही है निगाहों से पर्दे हटे जा रहे हैं ख़ुदी की ख़ुदाई फ़ना हो रही है तलब पर भी हुस्न-ए-तलब की है कोशिश नज़र कुछ मिज़ाज-आश्ना हो रही है मिरे दर्द की इब्तिदा करने वाले तिरे ज़ुल्म की इंतिहा हो रही है तिरी राह में मिटने वालों की क़िस्मत फ़ना को भी हासिल बक़ा हो रही है सितम को सितम 'जुर्म' हरगिज़ न कहते अगर ये समझते ख़ता हो रही है

vafā se pashemāñ jafā ho rahī hai
J
Jurm Mohammadabadi
Jurm Mohammadabadi
poet13 quotes

More by Jurm Mohammadabadi

View all →
Quote
"mohabbat kashmakash mein rah gai sirr-e-nihaan ban kar mire dil kaa yaqin ho kar tire dil kaa gumaan ban kar kare shukr-e-mohabbat meraa har ruyaan zabaan ban kar agar tum biich mein aa jaao shart-e-imtihaan ban kar ye kis ki raah par sar de rahe hain mohsin-e-ulfat ajal khidmat ko aai hai hayaat-e-jaavedaan ban kar jhaTaktaa jaaegaa un ko zamaana apne daaman se jo kuchh bhi rah gae pichhe ghubaar-e-kaarvaan ban kar zamaane ki havaa kaa rukh badal jaanaa muqaddar hai yahi tinke qafas honge bisaat-e-aashiyaan ban kar na ho jab Thokarein khaane pe bhi ehsaas-e-bedaari na TuTein dil pe kyon naakaamiyaan barq-e-tapaan ban kar nahin jab naqsh-e-avval ki tarah rang-e-baqaa tujh mein zarurat kyaa hai rahne ki nishaana le nishaan ban kar fazaa pur-kaif ban kar chhaa gai ghunchon ki raanaai chaman mein kaun aataa hai bahaar be-khizaan ban kar zamin ki tarah jab haasil hai qudrat burdbaari ki rahun ai 'jurm' kyon gardish mein naahaq aasmaan ban kar"
J
Jurm Mohammadabadi
Quote
"saaqi ye tere bas mein hai de jaam yaa na de jhuTaa magar kisi ko kabhi aasraa na de soz-e-firaaq kashmakash-e-muddaaa na de dushman ko bhi kisi ki mohabbat khudaa na de shaayad ki so gayaa hai junun phir jagaa na de zanjir-e-paa ko khvaab-e-rihaai hilaa na de karnaa paDe zamir ke bar-aks bandagi majburiyon kisi ko zarurat banaa na de kyaa kyaa dikhaa rahaa hai mohabbat ke sabz baagh miTTi mein dil ko josh-e-javaani milaa na de gum ho ke main ne siikh liyaa khuub ye usuul jis ko khabar mile vo tumhaaraa pataa na de ai 'jurm' dard-o-ishq kaa milnaa nahin hai khel jab tak kisi bashar ko ye neamat khudaa na de"
J
Jurm Mohammadabadi
Quote
"naam rakkhaa hai fusun-gar ne sukhan-saaz miraa ghonTe deti hai galaa ab miri aavaaz miraa rah gayaa raaz kisi tarah agar raaz miraa be-niyaazi bhi uThaaegi tiri naaz miraa aaj hai maut bhi vo ishq jo kal tak thaa hayaat mukhtalif kitnaa hai anjaam se aaghaaz miraa be-piye mast huaa pi ke main bahkaa na kabhi vo thi saaqi ki karaamat pa hai eajaaz miraa naavak-e-naaz se uDte hain nishaane dil ke aur parde mein abhi hai qadar-andaaz miraa dhaDkanein ab bhi hain vaisi hi shikasta dil ki be-sadaa ho na sakaa TuuT ke bhi saaz miraa uzr be-baal-o-pari thaa jo qafas toD chukaa dekh ke rah gai munh hasrat-e-parvaaz miraa roz ik taaza balaa aati hai dil ke haathon 'jurm' aamaada hai dam lene pe dam-saaz miraa"
J
Jurm Mohammadabadi
Quote
"fareb-e-ulfat ki daastaan mein asar ki ummid hi kahaan hai abhi to mujh ko isi mein shak hai yaqin yaqin hai gumaan gumaan hai mujhi tak un ki jafaa na samjho ye imtihaan hai vo imtihaan hai vahin qayaamat kaa saamnaa hai vafaa ki manzil jahaan jahaan hai nisaab-e-ulfat se be-khabar hai sanad nahin bul-havas kaa daa'vaa jo lafz meri zabaan se nikle vahi mohabbat ki daastaan hai kahaan pahunchne ki aarzu hai tumhaare naqsh-e-qadam pe chal kar tum apne dil se pataa lagaao miri tamannaa ki had kahaan hai fareb ban kar nashaat-e-dil kaa rahegaa kab tak ye aish-e-rafta badal chukaa karvaTein zamaana miri nazar mein vahi samaan hai idhar umangon ki lahar dil mein udhar javaani ki khud-numaai paDe hain ik kashmakash mein donon mazaaq-e-fitrat kaa imtihaan hai tumhaari ghaflat-shi'aariyon ne vo gul khilaae ki rang badlaa qafas ki buniyaad rakhne vaale khizaan ke qabze mein aashiyaan hai palaT gayaa 'jurm' rukh havaa kaa hain aise aasaar ab huvaidaa bahaar aae na baa'd jis ke chaman mein vo mahshar-e-khizaan hai"
J
Jurm Mohammadabadi
Quote
"vahi josh-e-haq-shanaasi vahi azm-burd-baari na badal sakaa zamaana miri khu-e-vaza-daari vahi mai-kada hai lekin nahin ab vo kaif-baari gae ham mazaaq le ke miraa lutf-e-baada-khvaari ho zabaan jis ke munh mein vo na aae anjuman mein kahin rakh na de sitam-gar yahi shart-e-raaz-daari kabhi hanste hanste ronaa kabhi rote rote hansnaa koi kyaa samajh sakegaa bhalaa maslahat hamaari main zamaane bhar ke taane na khamosh ho ke suntaa jo junun-e-ishq hotaa miraa feal-e-ikhtiyaari mai-e-aashiqi se tauba hai junun-e-paarsaai kahin le na Duube vaaiz tujhe zoam-e-hoshiyaari na pahunch sakaa jahaan tak kabhi paa-e-kibr-o-daanish vahin 'jurm' le gai hai mujhe meri khaaksaari"
J
Jurm Mohammadabadi
Quote
"husn-e-tadbir kaa moajiza dekhiye kaam himmat se le kar zaraa dekhiye aap aur ham se izhaar-e-lutf-o-karam aaina dekhiye aainaa dekhiye aashiyaane ki buniyaad rakkhegaa phir pahle baagh-e-jahaan ki havaa dekhiye aag se khelne ko patangaa baDhaa haisiyat dekhiye hauslaa dekhiye jab kahaa hai to jalva dikhaaeinge vo saans jab tak chale raasta dekhiye kuchh idhar bhi hain ummid-vaar-e-karam mehrbaan is taraf bhi zaraa dekhiye jurm-e-zikr-e-vafaa par vo kahne lagaa jaa ke anjaam-e-ahl-e-vafaa dekhiye"
J
Jurm Mohammadabadi

More on Khudi

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"tire jamaal se ham runumaa nahin hue hain chamak rahe hain magar aaina nahin hue hain dhaDak rahaa hai tu ik ism ki hai ye barakat vagarna vaaqiye is dil mein kyaa nahin hue hain bataa na paaein to khud tum samajh hi jaao ki ham bilaa javaaz to be-maajraa nahin hue hain tiraa kamaal ki aankhon mein kuchh zabaan pe kuchh hamein to moajize aise ataa nahin hue hain ye mat samajh ki koi tujh se munharif hi nahin abhi ham ahl-e-junun lab-kushaa nahin hue hain ba-naam-e-zauq-e-sukhan khud-numaai aap karein ham is maraz mein abhi mubtalaa nahin hue hain hami vo jin kaa safar maavaraa-e-vaqt-o-vajud hami vo khud se kabhi jo rihaa nahin hue hain khud-aagahi bhi khaDi maangti hai apnaa hisaab junun ke qarz bhi ab tak adaa nahin hue hain kisi ne dil jo dukhaayaa kabhi to ham 'irfaan' udaas ho gae lekin khafaa nahin hue hain"
Irfan SattarIrfan Sattar