"jahaan mein aise kuchh insaan bhi hain ki jin se sar-nigun tufaan bhi hain Dubo kar duur saahil par khaDe hain tamaashaa ban ke khud hairaan bhi hain bure kaamon kaa dete mashvara hain yahaan insaan-numaa shaitaan bhi hain khalaa mein taaqatein do hain muqaabil tabassum-rez kuchh tufaan bhi hain na parvaane jalaa ai sham'-e-mahfil adab kar ye tire mehmaan bhi hain ta'alluq un se ulfat mein hai mushkil ki vo bhule bhi hain anjaan bhi hain karam un ke ginaaun ab main kyaa kyaa jafaaon ke bahut 'unvaan bhi hain khudaa kaa fazl kyaa kam hai ye 'baasir' ki ab ham saahib-e-divaan bhi hain"
vo jo bhi karein shikve khaamosh sunaa karnaa — Basir Tonki
"vo jo bhi karein shikve khaamosh sunaa karnaa dastur hai ulfat kaa apnon se gila karnaa turbat pe miri aa kar itni to vafaa karnaa do phuul chaDhaa kar tum bakhshish ki duaa karnaa bechain rahaa ab tak us but ki mohabbat mein hotaa vo nahin meraa aakhir mujhe kyaa karnaa sheva hi rahaa apnaa zid un ki uThaane kaa un ki bhi ye aadat hai apnaa hi kahaa karnaa sayyaad na kar aisaa kambakht sitam hai ye bulbul ko bahaaron mein gulshan se judaa karnaa duniyaa ke sitam hain kuchh aise hi yahaan 'baasir' be-dard zamaane mein achchhon kaa buraa karnaa"
وہ جو بھی کریں شکوے خاموش سنا کرنا دستور ہے الفت کا اپنوں سے گلہ کرنا تربت پہ مری آ کر اتنی تو وفا کرنا دو پھول چڑھا کر تم بخشش کی دعا کرنا بے چین رہا اب تک اس بت کی محبت میں ہوتا وہ نہیں میرا آخر مجھے کیا کرنا شیوہ ہی رہا اپنا ضد ان کی اٹھانے کا ان کی بھی یہ عادت ہے اپنا ہی کہا کرنا صیاد نہ کر ایسا کمبخت ستم ہے یہ بلبل کو بہاروں میں گلشن سے جدا کرنا دنیا کے ستم ہیں کچھ ایسے ہی یہاں باصرؔ بے درد زمانے میں اچھوں کا برا کرنا
वो जो भी करें शिकवे ख़ामोश सुना करना दस्तूर है उल्फ़त का अपनों से गिला करना तुर्बत पे मिरी आ कर इतनी तो वफ़ा करना दो फूल चढ़ा कर तुम बख़्शिश की दुआ करना बेचैन रहा अब तक उस बुत की मोहब्बत में होता वो नहीं मेरा आख़िर मुझे क्या करना शेवा ही रहा अपना ज़िद उन की उठाने का उन की भी ये आदत है अपना ही कहा करना सय्याद न कर ऐसा कम्बख़्त सितम है ये बुलबुल को बहारों में गुलशन से जुदा करना दुनिया के सितम हैं कुछ ऐसे ही यहाँ 'बासिर' बे-दर्द ज़माने में अच्छों का बुरा करना

More by Basir Tonki
View all →"khud apne fan mein jo kaamil nahin hai jahaan mein vo kisi qaabil nahin hai vahi nakhl-e-tamannaa kyon haraa ho ki jaD mohkam jise haasil nahin hai safina kyon hamaaraa Dagmagaae ki bach aane ko kyaa saahil nahin hai jo parda zehn-e-insaan par paDaa thaa vo parda uTh gayaa haail nahin hai ye ilm-o-fan ki duniyaa hai ai 'baasir' mukammal jo abhi haasil nahin hai"
"dil mein chhupaa ke dil mein liye jaa rahaa huun main yuun husn se nibaah kiye jaa rahaa huun main phulon ke saath hain mujhe sab khaar bhi 'aziz kitnaa hasin saath diye jaa rahaa huun main barq-e-jamaal se huaa kab koi faizyaab khud apne dil mein ghaur kiye jaa rahaa huun main rahmat hai khud panaah khudaa-e-karim ki rahmat ko apne saath liye jaa rahaa huun main fard-e-amal siyaah na karnaa gunaah se zaahid tujhe ye pand kiye jaa rahaa huun main vaqt-e-shabaab khuub hi 'baasir' guzar gayaa rukhsat hui javaani jie jaa rahaa huun main"
"rukh pe zulfon ki jo un ke ye ghaTaa chhaai hai ru-e-taabaan pe chamak aur ubhar aai hai kis ne raa'naai-e-jalve pe nazar Daali hai laaiq-e-did tiri raunaq-o-zebaai hai tu vo hasti to nahin hai ki bhulaa duun dil se mujh ko har dam shab-e-furqat tiri yaad aai hai raunaq-e-bazm tire dam hi se hai ai saaqi vaah kyaa khuub tiri anjuman-aaraai hai ye mahakti hui khushbu ye chaman ki raunaq aap ke dam se chaman mein ye bahaar aai hai khud vo aate bhi nahin mujh ko bulaate bhi nahin qaabil-e-did miraa ‘aalam-e-tanhaai hai dil lagaanaa bhi musibat hai kisi se 'baasir' ye haqiqat mire dil ne mujhe samjhaai hai"
"hain naadaan jo bhi insaan un ki naadaani nahin jaati vo laDte rahte hain aur khu-e-haivaani nahin jaati salaf ne jo banaae the vo aivaan miT nahin sakte khaDe hain sar uThaae shaan-e-aivaani nahin jaati jahaan mein nek khaslat nek niyyat jo bhi hote hain javaani mein bhi un ki paak-daamaani nahin jaati sitaaron se fazaa shab ko munavvar hoti rahti hai magar un mein jo poshida hai viraani nahin jaati takhayyul mein tasavvur mein vo mere paas hote hain nigaahon se zaraa un ki nigahbaani nahin jaati zamaane mein hamaaraa khuun bahut arzaan hai ai 'baasir' kisi surat hamaare khuun ki arzaani nahin jaati"
"fart-e-nashaat un ke gham-e-bekaraan mein hai ye daulat-e-hayaat dil-e-kaamraan mein hai aisaa hai kaun jis ko shaghaf husn se nahin jalvagari to husn ki kaun-o-makaan mein hai mahv-e-khiraam-e-naaz vo hon jis chaman mein bhi saari bahaar jaise usi gulsitaan mein hai karnaa zarur hai hamein raushan charaagh-e-rah taarikiyon kaa saath rah-e-kaarvaan mein hai rahmat khudaa ki ham pe barasti hai raat-din har dam khudaa kaa shukr zabaan-o-bayaan mein hai saare jahaan mein bhi mayassar kahin nahin jo raahat-o-sukun mire hindostaan mein hai qaid-e-gham-e-hayaat se 'baasir' mafar kahaan ye zindagi tamaam rah-e-imtihaan mein hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"