"taabir jaanti hai sar-e-daar kyon hue ham khvaab dekhne ke gunahgaar kyon hue baazaar-e-totaa-chashm se lauTo to puchhnaa ham be-muravvati ke kharidaar kyon hue ham par itaab dhuup kaa hai to sabab bhi hai dasht-e-alam mein saaya-e-divaar kyon hue ahbaab ki hai baat kahein to kise kahein ham saanp paalne ke gunahgaar kyon hue pal bhar hamaare ghar mein bhi phir ham se puchhnaa is kaaT khaati qabr se bezaar kyon hue turfa na kyon lahu kaa ho behadd-o-be-hisaab ham shahr-e-kaarobaar mein fankaar kyon hue haan laaeq-e-sazaa hain ki bazm-e-ghazal mein bhi ham log marsiya ke talabgaar kyon hue"
vo khauf-e-jaan thaa ki lab kholnaa gavaaraa na thaa — Nasr Ghazali
"vo khauf-e-jaan thaa ki lab kholnaa gavaaraa na thaa sadaaein sahmi kuchh aisi sukhan kaa yaaraa na thaa tamaam apne paraae kaTe kaTe se rahe chhuri jo chamki to us ne kise pukaaraa na thaa rukh-e-kamaan thaa udhar tiir kaa nishaana idhar hamaaraa dost to thaa aur magar hamaaraa na thaa rafu-talab nazar aataa hai dekhiye jis ko libaas-e-jaan to kabhi itnaa paara paara na thaa khudaa kare ki rahe mehrbaan sadaa tum par azizo vaqt ki ik lamha bhi hamaaraa na thaa uDaanein bharte parindon ke par katar Daalein nazar ke saamne aisaa kabhi nazaara na thaa hai duur hadd-e-nazar se to kyaa qayaamat hai hamaare paas thaa jab tak vo itnaa pyaaraa na thaa"
وہ خوف جاں تھا کہ لب کھولنا گوارا نہ تھا صدائیں سہمی کچھ ایسی سخن کا یارا نہ تھا تمام اپنے پرائے کٹے کٹے سے رہے چھری جو چمکی تو اس نے کسے پکارا نہ تھا رخ کماں تھا ادھر تیر کا نشانہ ادھر ہمارا دوست تو تھا اور مگر ہمارا نہ تھا رفو طلب نظر آتا ہے دیکھیے جس کو لباس جاں تو کبھی اتنا پارہ پارہ نہ تھا خدا کرے کہ رہے مہرباں سدا تم پر عزیزو وقت کہ اک لمحہ بھی ہمارا نہ تھا اڑانیں بھرتے پرندوں کے پر کتر ڈالیں نظر کے سامنے ایسا کبھی نظارہ نہ تھا ہے دور حد نظر سے تو کیا قیامت ہے ہمارے پاس تھا جب تک وہ اتنا پیارا نہ تھا
वो ख़ौफ़-ए-जाँ था कि लब खोलना गवारा न था सदाएँ सहमी कुछ ऐसी सुख़न का यारा न था तमाम अपने पराए कटे कटे से रहे छुरी जो चमकी तो उस ने किसे पुकारा न था रुख़-ए-कमाँ था उधर तीर का निशाना इधर हमारा दोस्त तो था और मगर हमारा न था रफ़ू-तलब नज़र आता है देखिए जिस को लिबास-ए-जाँ तो कभी इतना पारा पारा न था ख़ुदा करे कि रहे मेहरबाँ सदा तुम पर अज़ीज़ो वक़्त कि इक लम्हा भी हमारा न था उड़ानें भरते परिंदों के पर कतर डालें नज़र के सामने ऐसा कभी नज़ारा न था है दूर हद्द-ए-नज़र से तो क्या क़यामत है हमारे पास था जब तक वो इतना प्यारा न था
More by Nasr Ghazali
View all →"rishta badan kaa khatm huaa apni jaan se milti hai shakl shahr ki mere makaan se khvaahish ko us ki jaise koi dakhl hi na thaa yuun us ne mujh ko pheink diyaa aasmaan se kaisi lagi hai aag ki bujhti nahin kabhi ik silsila hai kab se dhuein kaa chaTaan se munh se jo baat nikli vo pahunchi nagar nagar lauTaa na phir vo tiir jo niklaa kamaan se patthar ke niche dafn hai har harf-e-guftani ab sirf maslahat kaa hai rishta zabaan se tairo lahu mein apne to mumkin hai khud ko paao dhultaa hai sirf jism hi gangaa-nahaan se"
"din ki dahliz pe Thahre hue saae bhi gae raat kyaa aai ki apne bhi paraae bhi gae 'aks taa'bir kaa ubhre ye tamannaa hi rahi aaine khvaab ke aankhon ko dikhaae bhi gae tohmat-e-khosha-e-gandum hai abhi tak sar par ham uchhaale bhi gae ham ki giraae bhi gae shajar-e-dard ki kal bhi thaa haraa aaj bhi hai vaqt ki dhuup mein ham garche jalaae bhi gae ham to un mein hain jo rote hain to rote hi rahein tum vo khush-bakht ki roe to hansaae bhi gae qissa-e-dard bahar-haal sunaati hi rahi garche divaar pe sau rang chaDhaae bhi gae"
"ham kyaa ki hadd-e-nazar tak saraab ki surat na khaak khaak na ab aab aab ki surat khulaa thaa main bhi kabhi ik gulaab ki surat tamaam 'umr jalaa aaftaab ki surat kinaara kaaT rahaa huun vajud kaa apne paTak rahaa huun main sar mauj-e-aab ki surat zabaan jo suukh rahi hai to kuchh sabab bhi hai samundaron mein rahaa huun habaab ki surat barun-e-shahr hi kyaa ki darun-e-shahr bhi hai sulagte lamhon kaa suraj itaab ki surat ye khaali khaali si shab lamha-e-siyah se bhari dikhaai tak nahin deti hai khvaab ki surat zamin-e-jism ke andar jo zalzale hain bapaa unhein chhupaaegi kab tak janaab ki surat"
"haal maazi kaa silsila kaaTe vaqt ki vaqt har sadaa kaaTe lamha lamhe kaa yuun galaa kaaTe saanp ko jaise nevlaa kaaTe gaanv kaa shahr silsila kaaTe mehr-o-ikhlaas kaa galaa kaaTe is tarah kaaTti kahaan talvaar jis tarah khanjar-e-anaa kaaTe ziist ki tang koThari aur main jaise mujrim koi sazaa kaaTe kis ta'alluq ki hai sazaa aakhir khud mujhe aaj ghar miraa kaaTe hai koi jyotishi kahin aisaa jo hatheli pe bhi likhaa kaaTe"
"rukh-e-bahaar pe aks-e-khizaan bhi kitni der mukhaalifat pe tulaa aasmaan bhi kitni der kisi kaa naam kisi kaa nishaan bhi kitni der ho jism khaak to phir ustukhvaan bhi kitni der shikast-o-rekht ki is manzil-e-pareshaan mein yaqin ki umr bhi kitni gumaan bhi kitni der bandhaa hai ahd jo tegh-o-gulu ke beach to phir larazti kaanpti nannhi si jaan bhi kitni der nikal chalo hai abhi sahl raasta yaaro ki mehrbaan hai to ye mehrbaan bhi kitni der baraa-e-shab bhi kushaada hai meraa darvaaza ki subh aai to ye mehmaan bhi kitni der sukhan-vari na sahi moajiza sahi lekin ye tarz-e-fikr ye husn-e-bayaan bhi kitni der"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"