SHAWORDS

vo sang-zaad hain un par paDi hai kyaa uftaad — Hamidi Kashmiri

"vo sang-zaad hain un par paDi hai kyaa uftaad khalaa-e-tira mein hain haath shoala-e-fariyaad isi pahaaD ke pichhe hai vaadi-e-zartaab yahaan jo qaafile pal-bhar ruke hue barbaad yahin se us ki savaari guzarne vaali thi shikasta khiDkiyon par chehra chehra hai naashaad ujaaD piili havaa saaein saaein chalti hai nazar nazar hain gulaabon ki vaadiyaan aabaad nigal bhi le koi tira-nahang kyaa gham hai hai harf harf havaa par raqam miri rudaad"
Urdu

وہ سنگ زاد ہیں ان پر پڑی ہے کیا افتاد خلائے تیرہ میں ہیں ہاتھ شعلۂ فریاد اسی پہاڑ کے پیچھے ہے وادیٔ زرتاب یہاں جو قافلے پل بھر رکے ہوئے برباد یہیں سے اس کی سواری گزرنے والی تھی شکستہ کھڑکیوں پر چہرہ چہرہ ہے ناشاد اجاڑ پیلی ہوا سائیں سائیں چلتی ہے نظر نظر ہیں گلابوں کی وادیاں آباد نگل بھی لے کوئی تیرہ نہنگ کیا غم ہے ہے حرف حرف ہوا پر رقم مری روداد

Hindi

वो संग-ज़ाद हैं उन पर पड़ी है क्या उफ़्ताद ख़ला-ए-तीरा में हैं हाथ शो'ला-ए-फ़रियाद इसी पहाड़ के पीछे है वादी-ए-ज़रताब यहाँ जो क़ाफ़िले पल-भर रुके हुए बर्बाद यहीं से उस की सवारी गुज़रने वाली थी शिकस्ता खिड़कियों पर चेहरा चेहरा है नाशाद उजाड़ पीली हवा साएँ साएँ चलती है नज़र नज़र हैं गुलाबों की वादियाँ आबाद निगल भी ले कोई तीरा-नहंग क्या ग़म है है हर्फ़ हर्फ़ हवा पर रक़म मिरी रूदाद

vo sang-zād haiñ un par paḌī hai kyā uftād
Hamidi Kashmiri
Hamidi Kashmiri
Hamidi Kashmiri
poet31 quotes

More by Hamidi Kashmiri

View all →
Quote
"zard pinjar hinhinaae saamne khaai na thi jis kaa khadsha ham ko bhi thaa vo ghaDi aai na thi paara paara jism-o-jaan laa-manzari gum-gashtagi thi qabaa aaraasta shamshir lahraai na thi kaaT kar dast-e-duaa jebon mein rakh kar chal diye dhuup sanvlaai thi banjar par ghaTaa chhaai na thi raat-bhar maabad mein raqs-e-aatishin hotaa rahaa barf palkon se haTaane ki tavaanaai na thi raahvaar-e-abr par aae the jaane kyaa hue ham bhi chal ke aae the paani mein gahraai na thi saahilon par sab umaD aae gharon ko chhoD kar ham samajhte the kisi se bhi shanaasaai na thi"
Hamidi KashmiriHamidi Kashmiri

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"murattab aur bhi ik goshvaara ho rahaa hai to kyaa hai gar abhi ham ko khasaara ho rahaa hai hamaare paas to ham se ziyaada tu nahin thaa so tu kyaa ab to khud se bhi kinaara ho rahaa hai hamaare khvaab mein ahmiyat-e-shab thi ziyaada so ab vo khvaab aankhon mein sitaara ho rahaa hai tumhaari aarzu hone se pahle bhi to ham the guzaara ho rahaa thaa so guzaara ho rahaa hai hayaa-aalud aankhein hain na aanchal hai na chilman ye kis viraan duniyaa kaa nazaara ho rahaa hai abhi ham faisla karne ki ujlat mein nahin hain magar lagtaa hai jiine se khasaara ho rahaa hai khalaa se is zamin par sang-rezo ki ye baarish kisi jaanib se kyaa koi ishaara ho rahaa hai"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi