"main ik umiid pe kuchh pal rukaa bhi thaa lekin zaraa saa vo miri jaanib baDhaa bhi thaa lekin miraa khayaal use raat bhar jagaataa thaa ye ek din mujhe us ne kahaa bhi thaa lekin Dhalakne vaalaa thaa gaalon tak us ke meraa bhi dukh kuchh us ki aankhon se paani giraa bhi thaa lekin agarche honTon ne honTon ko an-chhuaa rakkhaa larazte haathon ne us ko chhuaa bhi thaa lekin vo chaand raat thi taa-subh ham-kalaam the ham hamaare biich mein kuchh an-kahaa bhi thaa lekin"
vo silsila faqat miri yaadon mein rah gayaa — Amit Goswami
"vo silsila faqat miri yaadon mein rah gayaa ab us se rabt sirf khayaalon mein rah gayaa khushbu nafas mein ghul ke ragon mein utar gai chehra kisi tilism saa aankhon mein rah gayaa ik ruuh lafz lafz ghazal mein badal gai ik jism Tuut Tuut ke baahon mein rah gayaa rukhsat ke vaqt haath to us ne chhuDaa liye haathon kaa lams kuchh mire haathon mein rah gayaa chehre se gham ke naqsh to aankhon ne dho diye ab saaraa dard dil ki tanaabon mein rah gayaa"
وہ سلسلہ فقط مری یادوں میں رہ گیا اب اس سے ربط صرف خیالوں میں رہ گیا خوشبو نفس میں گھل کے رگوں میں اتر گئی چہرہ کسی طلسم سا آنکھوں میں رہ گیا اک روح لفظ لفظ غزل میں بدل گئی اک جسم ٹوٹ ٹوٹ کے باہوں میں رہ گیا رخصت کے وقت ہاتھ تو اس نے چھڑا لیے ہاتھوں کا لمس کچھ مرے ہاتھوں میں رہ گیا چہرے سے غم کے نقش تو آنکھوں نے دھو دئے اب سارا درد دل کی طنابوں میں رہ گیا
वो सिलसिला फ़क़त मिरी यादों में रह गया अब उस से रब्त सिर्फ़ ख़यालों में रह गया ख़ुशबू नफ़स में घुल के रगों में उतर गई चेहरा किसी तिलिस्म सा आँखों में रह गया इक रूह लफ़्ज़ लफ़्ज़ ग़ज़ल में बदल गई इक जिस्म टूट टूट के बाहों में रह गया रुख़्सत के वक़्त हाथ तो उस ने छुड़ा लिए हाथों का लम्स कुछ मिरे हाथों में रह गया चेहरे से ग़म के नक़्श तो आँखों ने धो दिए अब सारा दर्द दिल की तनाबों में रह गया

More by Amit Goswami
View all →"agarche dost the lekin rifaaqatein kam thiin ki ham mein uns bahut thaa mohabbatein kam thiin gale lagaayaa na ji bhar ke dekh paayaa use bichhaDte vaqt mili thiin jo mohlatein kam thiin vo jis ke haath se gir kar main paash-paash huaa usi ko TuuTe khilaunon ki 'aadatein kam thiin yahi likhaa thaa so is baar bhi bichhaDnaa thaa shuru' din se mire haq mein qismatein kam thiin tabi'atan to the duniyaa ke baadshaah magar hamaare paas dikhaave ki daulatein kam thiin"
"subh uThtaa huun to do chaar paDe rahte hain khvaab TuuTe hue bedaar paDe rahte hain tu nahin hai to koi rabt nahin duniyaa se shaam tak subh ke akhbaar paDe rahte hain ghar bhi rahtaa hai ye bikhraa huaa kaaghaz par bhi aadhe chhuTe hue ash'aar paDe rahte hain kaash us aur un aankhon kaa daricha khul jaae ham tire kuche mein laachaar paDe rahte hain koi aae bhi tire dar pe to kaise aae vaqt be-vaqt to aghyaar paDe rahte hain"
"biiti baaton kaa tazkira mat kar dost ab main bhi thak gayaa mat kar log aankhon ki baat sunte hain yuun miraa zikr har jagah mat kar aaj ai dil koi ghazal mat chheD bhar chukaa zakhm phir haraa mat kar der tak intizaar kartaa rahaa jab na aanaa ho to kahaa mat kar zehn ne baar baar samjhaayaa dil-e-naadaan kaa kahaa mat kar"
"moD aae hain mohabbat mein 'ajab ke ab ke ranj ke hain na hain aasaar tarab ke ab ke ashk aankhon se gurezaan hue honTon se hansi kaisi hairaani hai chehron pe ye sab ke ab ke kyaa pata phir se gale milnaa mayassar ho na ho TuuT jaane de mujhe baahon mein ab ke ab ke thaamte chhuTte haath aankhon mein Thahri hui sharm jaane kyaa khvaab mein hai vasl ki shab ke ab ke kal talak un mein thi bas pyaas ki sukhi partein gul khile hain mire lab par tire lab ke ab ke"
"vo rabt-e-baahami vo eatibaar pyaar na thaa jise main yunhi samajh baiThaa pyaar pyaar na thaa mahin lafzon ki sargoshiyaan thiin vo kyaa thiin vo mujh ko sochnaa divaana-vaar pyaar na thaa vo giili giili havaa aur dhulaa dhulaa mausam barasnaa aankhon kaa vo zaar-zaar pyaar na thaa tum apni pichhli mohabbat kaa gham bhulaane lagin mujhe bhi lagne lagaa pahlaa pyaar pyaar na thaa larazte lab pe jo iqraar thaa vo aur thaa kuchh tumhaari aankhon mein thaa intizaar pyaar na thaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"