Quote
"sher achchhaa ho to phir daad milaa karti hai kahin aavaaz kitaabon mein chhupaa karti hai ek lamha bhi farishta nahin hone deti koi to shai hai jo baatin mein khataa karti hai chain se mujh ko tiraa husn na jiine degaa dil ki basti hai ki har roz luTaa karti hai pyaas kaisi thi behtar ki tumhein kyaa maalum kyuun furaat aaj bhi ro ro ke bahaa karti hai tum vafaa karte raho shahr-e-talab mein 'mazhar' karne do us ko ye duniyaa jo jafaa karti hai"
