SHAWORDS

yahin thaa baiThaa huaa darmiyaan kahaan gayaa main — Ejaz Gul

HomeEjaz GulGhazal
"yahin thaa baiThaa huaa darmiyaan kahaan gayaa main ki mil rahaa nahin apnaa nishaan kahaan gayaa main na kar rahaa hai fulaan ko fulaan khabar meri na puchhtaa hai fulaan se fulaan kahaan gayaa main nishaan miltaa hai haazir mein kab guzishta kaa bataa sakeinge na aaindagaan kahaan gayaa main saje hue hain piyaada o asp o fiil tamaam bichhi hui hai bisaat-e-jahaan kahaan gayaa main main kab nahin thaa akaarat magar rahaa haazir huaa huun ab ke ajab raaegaan kahaan gayaa main jise yaqin thaa har suud mein khasaare kaa thaa apne-aap mein sharh-e-ziyaan kahaan gayaa main agar thaa pahle hi naam-o-nishaan miraa mafqud to ho ke baar-e-digar be-nishaan kahaan gayaa main na bhejtaa hai koi naama-e-firaaq mujhe na DhunDhtaa hai pata khat-rasaan kahaan gayaa main jo kar rahaa thaa guzishta ke vaaqiaat durust sunaa rahaa thaa ulaT daastaan kahaan gayaa main liyaa gayaa huun hiraasat mein be-amaani ki ki be-amaan thaa shahr-e-amaan kahaan gayaa main uThaa ke le gayaa daarogha-e-fanaa shaayad khulaa huaa hai dar-e-khaak-daan kahaan gayaa main bujhi nahin mire aatish-kade ki aag abhi uThaa nahin hai badan se dhuaan kahaan gayaa main nahin huaa huun magar is tarah kabhi ghaaeb rahaa hamesha nihaan dar-ayaan kahaan gayaa main"
Urdu

یہیں تھا بیٹھا ہوا درمیاں کہاں گیا میں کہ مل رہا نہیں اپنا نشاں کہاں گیا میں نہ کر رہا ہے فلاں کو فلاں خبر میری نہ پوچھتا ہے فلاں سے فلاں کہاں گیا میں نشان ملتا ہے حاضر میں کب گزشتہ کا بتا سکیں گے نہ آئندگاں کہاں گیا میں سجے ہوئے ہیں پیادہ و اسپ و فیل تمام بچھی ہوئی ہے بساط جہاں کہاں گیا میں میں کب نہیں تھا اکارت مگر رہا حاضر ہوا ہوں اب کے عجب رائیگاں کہاں گیا میں جسے یقین تھا ہر سود میں خسارے کا تھا اپنے آپ میں شرح زیاں کہاں گیا میں اگر تھا پہلے ہی نام و نشاں مرا مفقود تو ہو کے بار دگر بے نشاں کہاں گیا میں نہ بھیجتا ہے کوئی نامۂ فراق مجھے نہ ڈھونڈھتا ہے پتہ خط رساں کہاں گیا میں جو کر رہا تھا گزشتہ کے واقعات درست سنا رہا تھا الٹ داستاں کہاں گیا میں لیا گیا ہوں حراست میں بے امانی کی کہ بے امان تھا شہر اماں کہاں گیا میں اٹھا کے لے گیا داروغۂ فنا شاید کھلا ہوا ہے در خاکداں کہاں گیا میں بجھی نہیں مرے آتش کدے کی آگ ابھی اٹھا نہیں ہے بدن سے دھواں کہاں گیا میں نہیں ہوا ہوں مگر اس طرح کبھی غائب رہا ہمیشہ نہاں در عیاں کہاں گیا میں

Hindi

यहीं था बैठा हुआ दरमियाँ कहाँ गया मैं कि मिल रहा नहीं अपना निशाँ कहाँ गया मैं न कर रहा है फुलाँ को फुलाँ ख़बर मेरी न पूछता है फुलाँ से फुलाँ कहाँ गया मैं निशान मिलता है हाज़िर में कब गुज़िश्ता का बता सकेंगे न आइंदगाँ कहाँ गया मैं सजे हुए हैं पियादा ओ अस्प ओ फ़ील तमाम बिछी हुई है बिसात-ए-जहाँ कहाँ गया मैं मैं कब नहीं था अकारत मगर रहा हाज़िर हुआ हूँ अब के अजब राएगाँ कहाँ गया मैं जिसे यक़ीन था हर सूद में ख़सारे का था अपने-आप में शरह-ए-ज़ियाँ कहाँ गया मैं अगर था पहले ही नाम-ओ-निशाँ मिरा मफ़क़ूद तो हो के बार-ए-दिगर बे-निशाँ कहाँ गया मैं न भेजता है कोई नामा-ए-फ़िराक़ मुझे न ढूँढता है पता ख़त-रसाँ कहाँ गया मैं जो कर रहा था गुज़िश्ता के वाक़िआत दुरुस्त सुना रहा था उलट दास्ताँ कहाँ गया मैं लिया गया हूँ हिरासत में बे-अमानी की कि बे-अमान था शहर-ए-अमाँ कहाँ गया मैं उठा के ले गया दारोगा-ए-फ़ना शायद खुला हुआ है दर-ए-ख़ाक-दाँ कहाँ गया मैं बुझी नहीं मिरे आतिश-कदे की आग अभी उठा नहीं है बदन से धुआँ कहाँ गया मैं नहीं हुआ हूँ मगर इस तरह कभी ग़ाएब रहा हमेशा निहाँ दर-अयाँ कहाँ गया मैं

yahīñ thā baiThā huā darmiyāñ kahāñ gayā maiñ
Ejaz Gul
Ejaz Gul
Ejaz Gul
poet53 quotes

More by Ejaz Gul

View all →
Quote
"tham gai vaqt ki raftaar tire kuche mein aise saabit huaa sayyaar tire kuche mein manzar-e-baam sar-e-did nahin khultaa hai kuchh hai naa-dida kaa asraar tire kuche mein har talabgaar ko hai haasil-e-guftaar-e-sukut na hai inkaar na iqraar tire kuche mein aaina shaam kaa raushan rukh-e-mahtaab se kar aks chamke to ho didaar tire kuche mein vaslat-e-kaar baham ho ki hain jama din raat pesha-e-hijr ke be car tire kuche mein nafaa ke khel mein samjhaa gayaa thaa taaq jise vo khasaare mein hai hoshyaar tire kuche mein aakhir-e-umr ne ki raunaq-e-baazaar tamaam na dukaan hai na kharidaar tire kuche mein ek muddat se hai tartib mein be-tartibi na durusti ke hain aasaar tire kuche mein"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"ham tum jab bhi pyaar kareinge jaan-o-dil sadqe honge ruhon ki khushbu mein hongi baahon ke gajre honge peshravo tum biit chuke ab ham logon ki baari hai zindaanon ke dar to vaa hon ham aage aage honge gumnaami ki galiyon mein taarikh kahaan tak pahunchegi ek tumhi suqraat nahin ho aur bahut guzre honge husn agar zanjir kiyaa hai ishq bhi phir zanjir karo varna baat bahut phailegi duur talak charche honge ai chakvaal se aane vaalo kuchh to haal-ahvaal kaho phuul se aariz chaand se chehre tum ne bhi dekhe honge"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"pechaak-e-umr apne sanvaar aaine ke saath baaqi ke chaar din bhi guzaar aaine ke saath haasid bahut hai pal mein huvaidaa kare khizaan itnaa na lag ke baiTh bahaar aaine ke saath pathraa gae hain log tajalli se husn ki thoDaa saa Daal rukh pe ghubaar aaine ke saath kartaa hai aks zer-o-zabar naa-muraad vaqt jab ghumtaa hai ulTe madaar aaine ke saath paayaa na kuchh khalaa ke sivaa aks-e-hairati guzraa thaa aar-paar hazaar aaine ke saath maadum ho rahe hain khad-o-khaal kis sabab guft-o-shunid kar mire yaar aaine ke saath viraan saa khanDar hai magar sair ke liye lagti hai ik tavil qataar aaine ke saath maakus o aks kaise hain paivast dekh tu aaina kar rahaa hai singhaar aaine ke saath"
Ejaz GulEjaz Gul
Quote
"istaada hai jab saamne divaar kahun kyaa haasil bhi nahin rauzan-e-darkaar kahun kyaa lagtaa to hai kuchh diid ko naa-did ke pichhe khultaa nahin manzar koi us paar kahun kyaa huun tang zaraa jeb se ai hasrat-e-ashyaa shaamil to hai fahrist mein baazaar kahun kyaa jis baat ke inkaar kaa had-darja gumaan hai vo baat yaqin ke liye sau baar kahun kyaa main un ke javaabaat se aur ahl-e-zamaana hain mere savaalaat se bezaar kahun kyaa jis baat pe thi bahs hui bahs se khaarij ab rah gai aapas mein hai takraar kahun kyaa ham-saae ki ham-saae se pahchaan nahin hai paivast hai divaar mein divaar kahun kyaa ghaafil nahin aisaa bhi main ab apni rasad se is dil mein talab kaa hai jo ambaar kahun kyaa gulzaar saa khil uThtaa hai khushbu-e-sukhan se jaadu hai vo is kaa dam-e-guftaar kahun kyaa hai rang badan kaa lughat-e-rang mein naapaid laa-saani hai qaamat mein qad-e-yaar kahun kyaa"
Ejaz GulEjaz Gul

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari