SHAWORDS

ye aur baat duur rahe manzilon se ham — Aalok Shrivastav

"ye aur baat duur rahe manzilon se ham bach kar chale hamesha magar qaafilon se ham hone ko phir shikaar nai uljhanon se ham milte hain roz apne kai doston se ham barson fareb khaate rahe dusron se ham apni samajh mein aae baDi mushkilon se ham manzil ki hai talab to hamein saath le chalo vaaqif hain khuub raah ki baarikiyon se ham jin ke paron pe subh ki khushbu ke rang hain bachpan udhaar laae hain un titliyon se ham kuchh to hamaare beach kabhi duriyaan bhi hon tang aa gae hain roz ki nazdikiyon se ham guzrein hamaare ghar ki kisi rahguzar se vo parde haTaaein dekhein unhein khiDkiyon se ham jab bhi kahaa ki yaad hamaari kahaan unhein pakDe gae hain Thiik tabhi hichkiyon se ham"
Urdu

یہ اور بات دور رہے منزلوں سے ہم بچ کر چلے ہمیشہ مگر قافلوں سے ہم ہونے کو پھر شکار نئی الجھنوں سے ہم ملتے ہیں روز اپنے کئی دوستوں سے ہم برسوں فریب کھاتے رہے دوسروں سے ہم اپنی سمجھ میں آئے بڑی مشکلوں سے ہم منزل کی ہے طلب تو ہمیں ساتھ لے چلو واقف ہیں خوب راہ کی باریکیوں سے ہم جن کے پروں پے صبح کی خوشبو کے رنگ ہیں بچپن ادھار لائے ہیں ان تتلیوں سے ہم کچھ تو ہمارے بیچ کبھی دوریاں بھی ہوں تنگ آ گئے ہیں روز کی نزدیکیوں سے ہم گزریں ہمارے گھر کی کسی رہ گزر سے وہ پردہ ہٹائیں دیکھیں انہیں کھڑکیوں سے ہم جب بھی کہا کہ یاد ہماری کہاں انہیں پکڑے گئے ہیں ٹھیک تبھی ہچکیوں سے ہم

Hindi

ये और बात दूर रहे मंज़िलों से हम बच कर चले हमेशा मगर क़ाफ़िलों से हम होने को फिर शिकार नई उलझनों से हम मिलते हैं रोज़ अपने कई दोस्तों से हम बरसों फ़रेब खाते रहे दूसरों से हम अपनी समझ में आए बड़ी मुश्किलों से हम मंज़िल की है तलब तो हमें साथ ले चलो वाक़िफ़ हैं ख़ूब राह की बारीकियों से हम जिन के परों पे सुब्ह की ख़ुशबू के रंग हैं बचपन उधार लाए हैं उन तितलियों से हम कुछ तो हमारे बीच कभी दूरियाँ भी हों तंग आ गए हैं रोज़ की नज़दीकियों से हम गुज़रें हमारे घर की किसी रहगुज़र से वो पर्दे हटाएँ देखें उन्हें खिड़कियों से हम जब भी कहा कि याद हमारी कहाँ उन्हें पकड़े गए हैं ठीक तभी हिचकियों से हम

ye aur baat duur rahe manziloñ se ham
Aalok Shrivastav
Aalok Shrivastav
Aalok Shrivastav
poet23 quotes

More by Aalok Shrivastav

View all →
Quote
"ghar ki buniyaadein divaarein baam-o-dar the baabu ji sab ko baandh ke rakhne vaalaa khaas hunar the baabu ji tiin mohallon mein un jaisi qad kaaThi kaa koi na thaa achchhe-khaase unche puure qad-aavar the baabu ji ab to us suune maathe par kore-pan ki chaadar hai ammaa ji ki saari saj-dhaj sab zevar the baabu ji bhitar se khaalis jazbaati aur uupar se TheTh pitaa alag anuThaa anbujhaa saa ik tevar the baabu ji kabhi baDaa saa haath-kharch the kabhi hatheli ki sujan mere man kaa aadhaa saahas aadhaa Dar the baabu ji"
Aalok ShrivastavAalok Shrivastav
Quote
"har baar huaa hai jo vahi to nahin hogaa Dar jis kaa sataataa hai abhi to nahin hogaa duniyaa ko chalo parkhein nae dost banaaein har shakhs zamaane mein vahi to nahin hogaa vo shakhs baDaa hai to ghalat ho nahin saktaa duniyaa ko bharosa ye abhi to nahin hogaa hai us kaa ishaara bhi samajhne ki zarurat hogaa to kabhi hogaa abhi to nahin hogaa do-chaar gaDe murde ukhaaDeinge kisi roz har baar nayaa jhagDaa kabhi to nahin hogaa kuchh aur bhi ho saktaa hai taqrir kaa matlab jo aap ne samjhaa hai vahi to nahin hogaa har baar zamaane kaa sitam hogaa mujhi par haan main hi badal jaaun kabhi to nahin hogaa"
Aalok ShrivastavAalok Shrivastav
Quote
"agar safar mein mire saath meraa yaar chale tavaaf kartaa huaa mausam-e-bahaar chale lagaa ke vaqt ko Thokar jo khaaksaar chale yaqin ke qaafile hamraah be-shumaar chale navaaznaa hai to phir is tarah navaaz mujhe ki mere baa'd miraa zikr baar baar chale ye jism kyaa hai koi pairahan udhaar kaa hai yahin sanbhaal ke pahnaa yahin utaar chale ye jugnuon se bharaa aasmaan jahaan tak hai vahaan talak tiri nazron kaa iqtidaar chale yahi to ek tamannaa hai is musaafir ki jo tum nahin to safar mein tumhaaraa pyaar chale"
Aalok ShrivastavAalok Shrivastav
Quote
"hamesha zindagi ki har kami ko jiite rahte hain jise ham ji nahin paae usi ko jiite rahte hain hamaare dukh ki baarish ko koi daaman nahin miltaa hamaari aankh ke baadal nami ko jiite rahte hain kisi ke saath hain rasmein kisi ke saath hain qasmein kisi ke saath jiinaa hai kisi ko jiite rahte hain hamein maalum hai ik din bharosa TuuT jaaegaa magar phir bhi saraabon mein nadi ko jiite rahte hain hamaare saath chalti hai tumhaare pyaar ki khushbu lagaai thi jo tum ne us lagi ko jiite rahte hain chahakte ghar mahakte khet aur vo gaanv ki galiyaan jinhein ham chhoD aae un sabhi ko jiite rahte hai khudaa ke naam-levaa ham bhi hain tum bhi ho aur vo bhi magar afsos sab apni khudi ko jiite rahte hain"
Aalok ShrivastavAalok Shrivastav

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer