"kareinge ahl-e-nazar taaza bastiyaan aabaad miri nigaah nahin su-e-kufa-o-baghdaad ye madrasa ye javaan ye surur o raanaai inhin ke dam se hai mai-khaana-e-farang aabaad na falsafi se na mullaa se hai gharaz mujh ko ye dil ki maut vo andesha o nazar kaa fasaad faqih-e-shahr ki tahqir kyaa majaal miri magar ye baat ki main DhunDtaa huun dil ki kushaad kharid sakte hain duniyaa mein ishrat-e-parvez khudaa ki den hai sarmaaya-e-gham-e-farhaad kiye hain faash rumuz-e-qalandari main ne ki fikr-e-madrasa-o-khaanqaah ho aazaad rishi ke faaqon se TuuTaa na barhaman kaa tilism asaa na ho to kalimi hai kaar-e-be-buniyaad"
ye piraan-e-kalisaa-o-haram ai vaa-e-majburi — Allama Iqbal
"ye piraan-e-kalisaa-o-haram ai vaa-e-majburi sila in ki kad-o-kaavish kaa hai sinon ki be-nuri yaqin paidaa kar ai naadaan yaqin se haath aati hai vo darveshi ki jis ke saamne jhukti hai faghfuri kabhi hairat kabhi masti kabhi aah-e-sahar-gaahi badaltaa hai hazaaron rang meraa dard-e-mahjuri had-e-idraak se baahar hain baatein ishq o masti ki samajh mein is qadar aayaa ki dil ki maut hai duuri vo apne husn ki masti se hain majbur-e-paidaai miri aankhon ki binaai mein hain asbaab-e-masturi koi taqdir ki mantiq samajh saktaa nahin varna na the turkaan-e-usmaani se kam turkaan-e-taimuri faqiraan-e-haram ke haath 'iqbaal' aa gayaa kyunkar mayassar miir o sultaan ko nahin shaahin-e-kaafuri"
یہ پیران کلیسا و حرم اے وائے مجبوری صلہ ان کی کد و کاوش کا ہے سینوں کی بے نوری یقیں پیدا کر اے ناداں یقیں سے ہاتھ آتی ہے وہ درویشی کہ جس کے سامنے جھکتی ہے فغفوری کبھی حیرت کبھی مستی کبھی آہ سحرگاہی بدلتا ہے ہزاروں رنگ میرا درد مہجوری حد ادراک سے باہر ہیں باتیں عشق و مستی کی سمجھ میں اس قدر آیا کہ دل کی موت ہے دوری وہ اپنے حسن کی مستی سے ہیں مجبور پیدائی مری آنکھوں کی بینائی میں ہیں اسباب مستوری کوئی تقدیر کی منطق سمجھ سکتا نہیں ورنہ نہ تھے ترکان عثمانی سے کم ترکان تیموری فقیران حرم کے ہاتھ اقبالؔ آ گیا کیونکر میسر میر و سلطاں کو نہیں شاہین کافوری
ये पीरान-ए-कलीसा-ओ-हरम ऐ वा-ए-मजबूरी सिला इन की कद-ओ-काविश का है सीनों की बे-नूरी यक़ीं पैदा कर ऐ नादाँ यक़ीं से हाथ आती है वो दरवेशी कि जिस के सामने झुकती है फ़ग़्फ़ूरी कभी हैरत कभी मस्ती कभी आह-ए-सहर-गाही बदलता है हज़ारों रंग मेरा दर्द-ए-महजूरी हद-ए-इदराक से बाहर हैं बातें इश्क़ ओ मस्ती की समझ में इस क़दर आया कि दिल की मौत है दूरी वो अपने हुस्न की मस्ती से हैं मजबूर-ए-पैदाई मिरी आँखों की बीनाई में हैं असबाब-ए-मस्तूरी कोई तक़दीर की मंतिक़ समझ सकता नहीं वर्ना न थे तुर्कान-ए-उस्मानी से कम तुर्कान-ए-तैमूरी फ़क़ीरान-ए-हरम के हाथ 'इक़बाल' आ गया क्यूँकर मयस्सर मीर ओ सुल्ताँ को नहीं शाहीन-ए-काफ़ूरी

Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
Sir Muhammad Iqbal was a philosopher, poet, and politician whose poetry revolves around self-realisation and the ideal of a perfect human being.
1877–1938
View all quotes by Allama IqbalMore by Allama Iqbal
View all →"samaa saktaa nahin pahnaa-e-fitrat mein miraa saudaa ghalat thaa ai junun shaayad tiraa andaaza-e-sahraa khudi se is tilism-e-rang-o-bu ko toD sakte hain yahi tauhid thi jis ko na tu samjhaa na main samjhaa nigah paidaa kar ai ghaafil tajalli ain-e-fitrat hai ki apni mauj se begaana rah saktaa nahin dariyaa raqaabat 'ilm o 'irfaan mein ghalat-bini hai mimbar ki ki vo hallaaj ki suuli ko samjhaa hai raqib apnaa khudaa ke paak bandon ko hukumat mein ghulaami mein zirah koi agar mahfuz rakhti hai to istighnaa na kar taqlid ai jibril mere jazb-o-masti ki tan-aasaan arshiyon ko zikr o tasbih o tavaaf aulaa bahut dekhe hain main ne mashriq o maghrib ke mai-khaane yahaan saaqi nahin paidaa vahaan be-zauq hai sahbaa na iraan mein rahe baaqi na turaan mein rahe baaqi vo bande faqr thaa jin kaa halaak-e-qaisar-o-kisraa yahi shaikh-e-haram hai jo churaa kar bech khaataa hai galim-e-buzar o dalq-e-uves o chaadar-e-zahraa huzur-e-haq mein israafil ne meri shikaayat ki ye banda vaqt se pahle qayaamat kar na de barpaa nidaa aai ki aashob-e-qayaamat se ye kyaa kam hai girafta chiniyaan ehraam o makki khufta dar bathaa labaalab shisha-e-tahzib-e-haazir hai mai-e-laa se magar saaqi ke haathon mein nahin paimaana-e-illaa dabaa rakkhaa hai is ko zakhma-var ki tez-dasti ne bahut niche suron mein hai abhi europe kaa vaavailaa isi dariyaa se uThti hai vo mauj-e-tund-jaulaan bhi nahangon ke nasheman jis se hote hain tah-o-baalaa ghulaami kyaa hai zauq-e-husn-o-zebaai se mahrumi jise zebaa kahein aazaad bande hai vahi zebaa bharosaa kar nahin sakte ghulaamon ki basirat par ki duniyaa mein faqat mardaan-e-hur ki aankh hai biinaa vahi hai saahib-e-imroz jis ne apni himmat se zamaane ke samundar se nikaalaa gauhar-e-fardaa farangi shishagar ke fan se patthar ho gae paani miri iksir ne shishe ko bakhshi sakhti-e-khaaraa rahe hain aur hain firaun meri ghaat mein ab tak magar kyaa gham ki meri aastin mein hai yad-e-baizaa vo chingaari khas-o-khaashaak se kis tarah dab jaae jise haq ne kiyaa ho nistaan ke vaaste paidaa mohabbat kheshtan biini mohabbat kheshtan daari mohabbat aastaan-e-qaisar-o-kisraa se be-parvaa 'ajab kyaa gar mah o parvin mire nakhchir ho jaaein ki bar fitraak-e-saahib daulat-e-bastam sar-e-khud raa vo daana-e-subul khatmur-rusul maulaa-e-kul jis ne ghubaar-e-raah ko bakhshaa farogh-e-vaadi-e-sinaa nigaah-e-ishq o masti mein vahi avval vahi aakhir vahi quraan vahi furqaan vahi yaasin vahi taahaa 'sanaai' ke adab se main ne ghavvaasi na ki varna abhi is bahr mein baaqi hain laakhon lulu-e-laalaa"
"thaa jahaan madrasa-e-shiri-o-shaahanshaahi aaj in khaanqahon mein hai faqat rubaahi nazar aai na mujhe qaafila-saalaaron mein vo shabaani ki hai tamhid-e-kalimul-laahi lazzat-e-naghma kahaan murgh-e-khush-alhaan ke liye aah us baagh mein kartaa hai nafas kotaahi ek sarmasti o hairat hai saraapaa taarik ek sarmasti o hairat hai tamaam aagaahi sifat-e-barq chamaktaa hai miraa fikr-e-buland ki bhaTakte na phirein zulmat-e-shab mein raahi"
"maktabon mein kahin raanaai-e-afkaar bhi hai khaanqaahon mein kahin lazzat-e-asraar bhi hai manzil-e-raah-ravaan duur bhi dushvaar bhi hai koi is qaafile mein qaafila-saalaar bhi hai baDh ke khaibar se hai ye maarka-e-din-o-vatan is zamaane mein koi haidar-e-karraar bhi hai ilm ki had se pare banda-e-momin ke liye lazzat-e-shauq bhi hai nemat-e-didaar bhi hai pir-e-mai-khaana ye kahtaa hai ki aivaan-e-farang sust-buniyaad bhi hai aaina-divaar bhi hai"
"ik daanish-e-nuraani ik daanish-e-burhaani hai daanish-e-burhaani hairat ki faraavaani is paikar-e-khaaki mein ik shai hai so vo teri mere liye mushkil hai is shai ki nigahbaani ab kyaa jo fughaan meri pahunchi hai sitaaron tak tu ne hi sikhaai thi mujh ko ye ghazal-khvaani ho naqsh agar baatil takraar se kyaa haasil kyaa tujh ko khush aati hai aadam ki ye arzaani mujh ko to sikhaa di hai afrang ne zindiqi is daur ke mullaa hain kyuun nang-e-musalmaani taqdir shikan quvvat baaqi hai abhi is mein naadaan jise kahte hain taqdir kaa zindaani tere bhi sanam-khaane mere bhi sanam-khaane donon ke sanam khaaki donon ke sanam faani"
"mujhe aah-o-fughaan-e-nim-shab kaa phir payaam aayaa tham ai rah-rau ki shaayad phir koi mushkil maqaam aayaa zaraa taqdir ki gahraaiyon mein Duub jaa tu bhi ki is jangaah se main ban ke tegh-e-be-niyaam aayaa ye misraa likh diyaa kis shokh ne mehraab-e-masjid par ye naadaan gir gae sajdon mein jab vaqt-e-qayaam aayaa chal ai meri gharibi kaa tamaashaa dekhne vaale vo mahfil uTh gai jis dam to mujh tak daur-e-jaam aayaa diyaa 'iqbaal' ne hindi musalmaanon ko soz apnaa ye ik mard-e-tan-aasaan thaa tan-aasaanon ke kaam aayaa usi 'iqbaal' ki main justuju kartaa rahaa barson baDi muddat ke baad aakhir vo shaahin zer-e-daam aayaa"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"