"mausam ki maar vaqt kaa koDaa hai meri samt ab jo bhi jis tarah bhi hai achchhaa hai meri samt sochun to sau malaal mujhe saans saans par dekhun to ek aag kaa dariyaa hai meri samt dariyaa ke pakchhpaat pe ab kyaa kahein ki jo uthlaa hai teri samt to gahraa hai meri samt aisi udaas raat ki kaaTe nahin kaTe baam-o-ufuq pe chhaayaa andheraa hai meri samt main vo shajar huun jis ki sabhi pattiyon mein chhed main vo kamaan huun jis kaa nishaana hai meri samt aankhon kaa dasht khvaab ki lapTon se jal gayaa aur is ke baavajud jo sabza hai meri samt ik raushni jo fikr mein utri hai ghaib se ik baagh lafz khulte hi mahkaa hai meri samt"
ye shaam-e-gham guzaar mire saath-saath chal — Pushp Raj Yadav
"ye shaam-e-gham guzaar mire saath-saath chal ai panchhiyon ki Daar mire saath-saath chal tanhaa safar tavil hai main uub jaaungaa ai sar-phiri bayaar mire saath-saath chal suraj ke aas-paas basaaeinge ik nagar in baadalon ke paar mire saath-saath chal is zindagi ki dhuup mein kar shukr jo milein kuchh peD saaya-daar mire saath-saath chal phir us ki or jaise main khinchtaa chalaa gayaa gunji thi ik pukaar mire saath-saath chal hai raah-e-ishq ku-ba-ku mushkil bhi sakht bhi tu chal sake to yaar mire saath-saath chal"
یہ شام غم گزار مرے ساتھ ساتھ چل اے پنچھیوں کی ڈار مرے ساتھ ساتھ چل تنہا سفر طویل ہے میں اوب جاؤں گا اے سر پھری بیار مرے ساتھ ساتھ چل سورج کے آس پاس بسائیں گے اک نگر ان بادلوں کے پار مرے ساتھ ساتھ چل اس زندگی کی دھوپ میں کر شکر جو ملیں کچھ پیڑ سایہ دار مرے ساتھ ساتھ چل پھر اس کی اور جیسے میں کھنچتا چلا گیا گونجی تھی اک پکار مرے ساتھ ساتھ چل ہے راہ عشق کو بہ کو مشکل بھی سخت بھی تو چل سکے تو یار مرے ساتھ ساتھ چل
ये शाम-ए-ग़म गुज़ार मिरे साथ-साथ चल ऐ पंछियों की डार मिरे साथ-साथ चल तन्हा सफ़र तवील है मैं ऊब जाऊँगा ऐ सर-फिरी बयार मिरे साथ-साथ चल सूरज के आस-पास बसाएँगे इक नगर इन बादलों के पार मिरे साथ-साथ चल इस ज़िंदगी की धूप में कर शुक्र जो मिलें कुछ पेड़ साया-दार मिरे साथ-साथ चल फिर उस की ओर जैसे मैं खिंचता चला गया गूँजी थी इक पुकार मिरे साथ-साथ चल है राह-ए-इश्क़ कू-ब-कू मुश्किल भी सख़्त भी तू चल सके तो यार मिरे साथ-साथ चल

More by Pushp Raj Yadav
View all →"jitnaa makhaul aaj miri zindagi ko hai shaayad hi is zamaane mein hotaa kisi ko hai aage kaa kuchh pataa nahin is vaqt to unhein itni hai rasm-o-raah ki hoti kisi ko hai ham se to puchhne kaa sabab kuchh nahin to kyaa jitnaa hai josh-e-vasl so utnaa usi ko hai duniyaa bahut ajiib hai insaan ko kyaa kahein hotaa kisi kaa aur vo rotaa kisi ko hai kitnaa bhi sakht-jaan ho insaan phir bhi dost ghar chhuTne kaa dard akhartaa sabhi ko hai"
"bichhDe hue logon ko siine mein basaa rakhnaa apnaa to muqaddar hai aankhon ko bujhaa rakhnaa sochaa nahin karte hain biiti hui baaton ko bahte hue ashkon ko himmat se dabaa rakhnaa sone si koi surat ubhregi chaTaanon par suraj se do-pahri bhar ik rabt banaa rakhnaa shaayad yahin mil jaae vo shakhs jo bichhDaa hai sunsaan se manzar ko baaton mein lagaa rakhnaa kaandhon pe uThaa rakhnaa duniyaa ke har ik gham ko aur khud ko zamaana ki fitrat se judaa rakhnaa roein to vahi aankhein DhunDhein to vahi chehra aadat si koi jaise din raat banaa rakhnaa ik aas to rahti hai ye zindagi rahne tak in bevafaa logon ki fihrist banaa rakhnaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"