SHAWORDS

ye zaaviya suraj kaa badal jaaegaa saain — Rasheed Qaisrani

"ye zaaviya suraj kaa badal jaaegaa saain saaya hai magar saaya to Dhal jaaegaa saain khud aap ke haathon kaa taraashaa huaa lamha khud aap ke haathon se phisal jaaegaa saain ye barf-badan aap kaa aur mom kaa maskan is dhuup nagar mein to pighal jaaegaa saain saahil na rahegaa tahi-daamaan ki samundar ik din koi moti bhi ugal jaaegaa saain jo raakh huaa jism vo lau dene lagegaa jo diip bujhaayaa hai vo jal jaaegaa saain is shahr-e-dil-aavez mein dil vaalon kaa sikka pahle bhi chalaa aaj bhi chal jaaegaa saain manzil hi tiri yaar 'rashid' aur nahin hai tu jab bhi gayaa chaand mahal jaaegaa saain"
Urdu

یہ زاویہ سورج کا بدل جائے گا سائیں سایہ ہے مگر سایہ تو ڈھل جائے گا سائیں خود آپ کے ہاتھوں کا تراشا ہوا لمحہ خود آپ کے ہاتھوں سے پھسل جائے گا سائیں یہ برف بدن آپ کا اور موم کا مسکن اس دھوپ نگر میں تو پگھل جائے گا سائیں ساحل نہ رہے گا تہی داماں کہ سمندر اک دن کوئی موتی بھی اگل جائے گا سائیں جو راکھ ہوا جسم وہ لو دینے لگے گا جو دیپ بجھایا ہے وہ جل جائے گا سائیں اس شہر دل آویز میں دل والوں کا سکہ پہلے بھی چلا آج بھی چل جائے گا سائیں منزل ہی تری یار رشیدؔ اور نہیں ہے تو جب بھی گیا چاند محل جائے گا سائیں

Hindi

ये ज़ाविया सूरज का बदल जाएगा साईं साया है मगर साया तो ढल जाएगा साईं ख़ुद आप के हाथों का तराशा हुआ लम्हा ख़ुद आप के हाथों से फिसल जाएगा साईं ये बर्फ़-बदन आप का और मोम का मस्कन इस धूप नगर में तो पिघल जाएगा साईं साहिल न रहेगा तही-दामाँ कि समुंदर इक दिन कोई मोती भी उगल जाएगा साईं जो राख हुआ जिस्म वो लौ देने लगेगा जो दीप बुझाया है वो जल जाएगा साईं इस शहर-ए-दिल-आवेज़ में दिल वालों का सिक्का पहले भी चला आज भी चल जाएगा साईं मंज़िल ही तिरी यार 'रशीद' और नहीं है तू जब भी गया चाँद महल जाएगा साईं

ye zāviya sūraj kā badal jā.egā sā.īñ
Rasheed Qaisrani
Rasheed Qaisrani
Rasheed Qaisrani
poet12 quotes

More by Rasheed Qaisrani

View all →
Quote
"main ne kahin thiin aap se baatein bhali bhali rusvaa kiyaa hai aap ne mujh ko gali gali main ne kahaa nahin thaa ki shoala-badan hain log ab kyuun dikhaa rahe ho hatheli jali jali gulshan mein jo chali hai havaa kitni tez hai bikhri paDi hai shaakh se kaT kar kali kali ek aur shab ki raah mein aankhein bichhaaiye ye shab ba-surat-e-shab-e-rafta Dhali Dhali kaise sarak sarak ke bhari gaagarein girin jab mere saath saath koi manchali chali main ne ghazal sunaai to ik ahl-e-dil 'rashid' siine pe haath rakh ke pukaaraa vali vali"
Rasheed QaisraniRasheed Qaisrani
Quote
"kuchh saae se har lahza kisi samt ravaan hain is shahr mein varna na makin hain na makaan hain ham khud se judaa hauke tujhe DhunDne nikle bikhre hain ab aise ki yahaan hain na vahaan hain jaati hain tire ghar ko sabhi shahr ki raahein lagtaa hai ki sab log tiri samt ravaan hain ai mauja-e-aavaara kabhi ham se bhi Takraa ik umr se ham bhi sar-e-saahil nigaraan hain simTe the kabhi ham to samaae sar-e-mizhgaan phaile hain ab aise ki karaan taa-ba-karaan hain tu DhunD hamein vaqt ki divaar ke us paar ham duur bahut duur ki manzil kaa nishaan hain ik din tire aanchal ki havaa ban ke uDe the us din se zamaane ki nigaahon pe garaan hain toDo na hamaare liye aavaaz kaa aahang ham log to ik Dubte lamhe ki fughaan hain vo jin se farozaan huaa ik aalam-e-imkaan vo chaand-sifat log 'rashid' aaj kahaan hain"
Rasheed QaisraniRasheed Qaisrani
Quote
"sahraa sahraa baat chali hai nagri nagri charchaa hai raat ke gham mein suraj saain baadal oDhe phirtaa hai jhonkaa jhonkaa teri khushbu mujh se lipaT kar guzri hai reza reza teri khaatir main ne jism ganvaayaa hai din-bhar baadal chham-chham barsaa shaam ko matla' saaf huaa tab jaa kar ik qaus-e-quzah par teraa paikar ubhraa hai tu ne jis ki jholi mein do phuul bhi hans kar Daal diye saari 'umr vo kaaghaz par khushbu ki lakirein khinchtaa hai tum kyuun tez nokile neze taan ke mujh par jhapTe ho meraa muqaddar tund bagulo yuun bhi to bujh jaanaa hai main ne apne gird banaa li zakhmon ki divaar nai ek puraanaa gham lekin rah rah kar mujh par hanstaa hai jalte jalte main bujh jaaun yaa tu agni-rup mein aa teraa meraa mel ho kaise main suraj tu saaya hai sab kohsaar samundar sahraa ghumein us ke gird 'rashid' vo ik shakhs jo duniyaa-bhar mein tanhaa tanhaa rahtaa hai"
Rasheed QaisraniRasheed Qaisrani
Quote
"kuchh saae se har lahza kisi samt ravaan hain is shahr mein varna na makin hain na makaan hain ham khud se judaa ho ke tujhe DhunDne nikle bikhre hain ab aise ki yahaan hain na vahaan hain jaati hain tire ghar ko sabhi shahr ki saDkein lagtaa hai ki sab log tiri samt ravaan hain ai mauj-e-aavaara kabhi ham se bhi Takraa ik umr se ham bhi sar-e-saahil nigaraan hain to DhunDh hamein vaqt ki divaar ke us paar ham duur bahut duur ki manzil kaa nishaan hain simTe the kabhi ham to samaae sar-e-mizhgaan phaile hain ab aise ki karaan-taa-ba-karaan hain ik din tire aanchal ki havaa ban ke uDe the us din se zamaane ki nigaahon se nihaan hain toDo na hamaare liye aavaaz kaa aahang ham log to ik Dubte lamhe ki fughaan hain"
Rasheed QaisraniRasheed Qaisrani
Quote
"maanaa vo ek khvaab thaa dhokaa nazar kaa thaa us bevafaa se rabt magar umr-bhar kaa thaa khushbu ki chand mast lakirein ubhaar kar lauTaa udhar havaa kaa vo jhonkaa jidhar kaa thaa niklaa vo baar baar ghaTaaon ki oT se us se muaamlaa to faqat ik nazar kaa thaa tum muskuraa rahe the to shab saath saath thi aansu gire the jis pe vo daaman sahar kaa thaa ham aaj bhi khud apne hi saae mein ghir gae sar mein hamaare aaj bhi saudaa safar kaa thaa sahraa ke sar ki maang hai ab tak vo ik lakir haasil jise ghurur tiri rahguzar kaa thaa kaali kiran ye gung sadaaon ke daaere pahunchaa kahaan 'rashid' iraada kidhar kaa thaa"
Rasheed QaisraniRasheed Qaisrani
Quote
"tanhaaiyon kaa habs mujhe kaaTtaa rahaa mujh tak pahunch saki na tire shahr ki havaa vo qahqahon ki sej pe baiThaa huaa milaa main jis ke dar pe dard ki baaraat le gayaa ik 'umr justuju mein guzaari to ye khulaa vo mere paas thaa main jise DhunDhtaa rahaa niklaa huun lafz lafz se main Duub Duub kar ye meraa khat hai yaa koi dariyaa chaDhaa huaa aankhon mein jaise kaanch ke TukDe chubho liye palkon pe teri kaash main aansu na dekhtaa nazrein milin to vaqt ki raftaar tham gai naazuk se ek lamhe pe barson kaa bojh thaa main ne baDhaa ke haath use chhu liyaa 'rashid' itnaa qarib aaj mire chaand aa gayaa"
Rasheed QaisraniRasheed Qaisrani

More on Dil

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil