Quote
"havaadis ki maujein kabhi tez dhaare safina lage kis tarah us kinaare guzaare hain un se bichhaD kar jo lamhe khudaaraa na puchho vo kyunkar guzaare mohabbat ki baazi hai kitni anokhi na ham un se jiite na vo ham se haare sar-e-chashm rahte hain ashkon ke jalve diye jis tarah hon bhanvar ke kinaare karam hogaa kuchh to 'ataa kijiyegaa khaDe hain kai log daaman pasaare sanbhal kar 'adib' un se aankhein milaao jalaate hain un ki nazar ke sharaare"
