SHAWORDS

zamzama naala-e-bulbul Thahre — Ahmad Husain Mail

"zamzama naala-e-bulbul Thahre main jo fariyaad karun ghul Thahre naghma-e-kun ke karishme dekho kahin qum qum kahin qulqul Thahre jaal mein kaatib-e-aamaal phansein dosh par aa ke jo kaakul Thahre raat din rahti hai gardish un ko chaand suraj qadah-e-mul Thahre meraa kahnaa tiraa sunnaa maalum jumbish-e-lab hi agar gul Thahre jaan kar bhi vo na jaanein mujh ko aarifaana hi tajaahul Thahre aashiqi mein ye tanazzul kaisaa aap ham kyuun gul-o-bulbul Thahre tujh pe khul jaae jo raaz-e-hama-ust falsafi duur o tasalsul Thahre aankh se aankh mein paighaam aae gar nigaahon kaa tavassul Thahre khul gai be-hamagi baa-hamagi kul main jab mahv hue kul Thahre dil se dil baat kare aankh se aankh aashiqi kaa jo tavassul Thahre kyuun na firdaus mein jaae 'maail' jab mohammad kaa tavassul Thahre"
Urdu

زمزمہ نالۂ بلبل ٹھہرے میں جو فریاد کروں غل ٹھہرے نغمۂ کن کے کرشمے دیکھو کہیں قم قم کہیں قلقل ٹھہرے جال میں کاتب اعمال پھنسیں دوش پر آ کے جو کاکل ٹھہرے رات دن رہتی ہے گردش ان کو چاند سورج قدح مل ٹھہرے میرا کہنا ترا سننا معلوم جنبش لب ہی اگر گل ٹھہرے جان کر بھی وہ نہ جانیں مجھ کو عارفانہ ہی تجاہل ٹھہرے عاشقی میں یہ تنزل کیسا آپ ہم کیوں گل و بلبل ٹھہرے تجھ پہ کھل جائے جو راز ہمہ اوست فلسفی دور و تسلسل ٹھہرے آنکھ سے آنکھ میں پیغام آئے گر نگاہوں کا توسل ٹھہرے کھل گئی بے ہمگی با ہمگی کل میں جب محو ہوئے کل ٹھہرے دل سے دل بات کرے آنکھ سے آنکھ عاشقی کا جو توسل ٹھہرے کیوں نہ فردوس میں جائے مائلؔ جب محمد کا توسل ٹھہرے

Hindi

ज़मज़मा नाला-ए-बुलबुल ठहरे मैं जो फ़रियाद करूँ ग़ुल ठहरे नग़्मा-ए-कुन के करिश्मे देखो कहीं क़ुम क़ुम कहीं क़ुलक़ुल ठहरे जाल में कातिब-ए-आमाल फँसें दोश पर आ के जो काकुल ठहरे रात दिन रहती है गर्दिश उन को चाँद सूरज क़दह-ए-मुल ठहरे मेरा कहना तिरा सुनना मालूम जुम्बिश-ए-लब ही अगर गुल ठहरे जान कर भी वो न जानें मुझ को आरिफ़ाना ही तजाहुल ठहरे आशिक़ी में ये तनज़्ज़ुल कैसा आप हम क्यूँ गुल-ओ-बुलबुल ठहरे तुझ पे खुल जाए जो राज़-ए-हमा-ऊस्त फ़लसफ़ी दूर ओ तसलसुल ठहरे आँख से आँख में पैग़ाम आए गर निगाहों का तवस्सुल ठहरे खुल गई बे-हमगी बा-हमगी कुल मैं जब महव हुए कुल ठहरे दिल से दिल बात करे आँख से आँख आशिक़ी का जो तवस्सुल ठहरे क्यूँ न फ़िरदौस में जाए 'माइल' जब मोहम्मद का तवस्सुल ठहरे

zamzama nāla-e-bulbul Thahre
Ahmad Husain Mail
Ahmad Husain Mail
Ahmad Husain Mail
poet56 quotes

More by Ahmad Husain Mail

View all →
Quote
"samajh ke huur baDe naaz se lagaai choT jo us ne aaina dekhaa to khud hi khaai choT nazar laDi jo nazar se to dil par aai choT gire kalim sar-e-tur aisi khaai choT labon pe ban gai missi jo dil par aai choT jagah badal ke lagi karne khud-numaai choT baDe dimaagh se maaraa nazar se jab maaraa baDe ghurur se aai jo dil par aai choT kisi kaa tuur pe niklaa hai haath parde se baDaa mazaa ho kare gar tiri kalaai choT ye dauD-dhup laDakpan ki yak qayaamat hai ki Thokaron se qayaamat ne khuub khaai choT abhi uThi na thi nichi nigaah zaalim ki taDap ke dil ne kahaa vo jigar pe aai choT jo aae hashr mein vo sab ko maarte aae jidhar nigaah phiri choT par lagaai choT jo dil kaa aaina mal mal ke ham ne saaf kiyaa phisal phisal ke tumhaari nazar ne khaai choT cluff nahin hai nishaan hai ye chaand-maari kaa hamaare chaand ne lo chaand par lagaai choT ghash aa rahaa hai mujhe zikr-e-lan-taraani se lagi hai dil pe mire lo suni-sunaai choT rukeinge kyaa kaf-e-gustaakh dast-e-rangin se kahin na khaae tiraa panja-e-hinaai choT dil-o-jigar ko bataa kar vo loTnaa meraa vo puchhnaa tiraa kis kis jagah par aai choT mariz-e-hijr ye samjhaa jo chamki charkh pe barq ye aag seinkne laai shab-e-judaai choT uThe taDap ke uThe to gire gire to mare phaDak ke rah gae vo choT par lagaai choT paDegi aah jo meri khuleinge band-e-qabaa shab-e-visaal karegi girah-kushaai choT giraa huun khuld se lanka mein pahle tuur pe baad jahaan jahaan main gayaa saath saath aai choT vo jhaank jhaank ke laDte hain mujh se ye kah kar jo ham ne vaar kiyaa tum ne kyuun bachaai choT jo dard dil mein uThaa un ki yaad khich aai dikhaati hai asar-e-jazb-e-kahrubaai choT uThaa uThaa ke dil-e-muztarib ne de Tapkaa giraa giraa ke mujhe choT par lagaai choT nigaah-e-shokh se jis dam nigaah-e-shauq laDi baDaa hi lutf rahaa ye gai vo aai choT lagaai us ne jo Thokar to ji uThaa 'maail' nikal ke jaan phir aai kuchh aisi khaai choT"
Ahmad Husain MailAhmad Husain Mail
Quote
"qibla-e-aab-o-gil tumhin to ho kaaba-e-jaan-o-dil tumhin to ho laa-makaan duur dil bahut nazdik munfasil muttasil tumhin to ho mere pahlu mein dil na kyuun ho khush dil ke pahlu mein dil tumhin to ho tum se mil kar khajil hamin to hain ham se chhuT kar khajil tumhin to ho dil ki sakhti kaa hai gila tum se jis ne rakkhi ye sil tumhin to ho jiite ji mujh ko maar Daalo tum maalik jaan-o-dil tumhin to ho tum ko 'maail' bahut hai sharm-e-gunaah raat-din munfail tumhin to ho"
Ahmad Husain MailAhmad Husain Mail
Quote
"vo paara huun main jo aag mein huun vo barq huun jo sahaab mein huun zamin pe bhi iztiraab mein huun falak pe bhi iztiraab mein huun na main havaa mein na khaak mein huun na aag mein huun na aab mein huun shumaar meraa nahin kisi mein agarche main bhi hisaab mein huun agarche paani ki mauj ban kar hamesha main pech-o-taab mein huun vahi huun qatra vahi huun dariyaa jo ain chashm-e-habaab mein huun sulaayaa kis ne gale lagaa kar ki suur bhi thak gayaa jagaa kar bapaa hai aalam mein shor-e-mahshar mujhe jo dekho to khvaab mein huun mazaa hai saaqi tire karam se zuhur meraa hai tere dam se vo baada huun jo huun mai-kade mein vo nashsha huun jo sharaab mein huun ilaahi vo gore gore talve kahin na ho jaaein mujh se maile ki khaak ban kar ba-rang-e-surma hamesha chashm-e-rikaab mein huun jo bhes apnaa badal ke aayaa to rang-e-itlaaq munh se dhoyaa kiyaa hai paani mein qaid mujh ko havaa ki surat habaab mein huun ghazab hai josh-e-zuhur teraa pukaartaa hai ye nuur teraa khudaa ne andhaa kiyaa hai jis ko usi ke aage hijaab mein huun hui hai donon ki ek haalat na chain us ko na chain mujh ko udhar vo hai mahv shokhiyon mein idhar jo main iztiraab mein huun ilaahi mujh par karam ho teraa na khol aamaal-naama meraa pukaartaa hai ye khatt-e-qismat ki main bhi fard-e-hisaab mein huun dimaagh mein huun qadah-kashon ke dahan mein aayaa huun mah-vashon ke nasha vo huun jo sharaab mein huun mazaa vo huun jo kabaab mein huun vo apnaa chehraa agar dikhaae yaqin andhon ko khaak aae pukaarti hai ye be-hijaabi ki main azal se hijaab mein huun alaahada kar ke khud se mujh ko jo tu ne bakhshaa to khaak bakhshaa agarche jannat mujhe mili hai ilaahi phir bhi azaab mein huun hujum nazron kaa hai vo munh par diyaa hai dono ko jis ne dhokaa yaqin ye mujh ko paDaa hai pardaa gumaan ye un ko naqaab mein huun jo mujh ko us se judaa karoge to meraa nuqsaan kyaa karoge nahin huun maanind-e-sifr kuchh bhi agarche main bhi hisaab mein huun na aayaa mar kar bhi chain mujh ko uThaa miri khaak se bagulaa buton kaa gesu to main nahin huun ilaahi kyuun pech-o-taab mein huun jo haal puchho to ik kahaani nishaan puchho to be-nishaani vo zarra huun jo miTaa huaa huun agarche main aaftaab mein huun miTaa agarche mazaar meraa chhuTaa na vo shahsavaar meraa pukaartaa hai ghubaar meraa ki main bhi haazir rikaab mein huun karam ki 'maail' pe bhi nazar ho nazar mein phir chulbulaa asar ho azal se ummid-vaar main bhi ilaahi teri janaab mein huun"
Ahmad Husain MailAhmad Husain Mail
Quote
"shab-e-maah mein jo palang par mire saath soe to kyaa hue kabhi lipTe ban ke vo chaandni kabhi chaand ban ke judaa hue hue vaqt-e-aakhiri mehrbaan dam-e-avvalin jo khafaa hue vo abad mein aa ke gale mile jo azal mein ham se judaa hue ye ilaahi kaisaa ghazab huaa vo samaae mujh mein to kyaa hue miraa dil bane to taDap gae miraa sar bane to judaa hue chale saath saath qadam qadam koi ye na samjhaa ki hain baham kabhi dhuup ban ke lipaT gae kabhi saaya ban ke judaa hue abhi hain zamaane se be-khabar rakhaa haath rakkhe ye laash par uTho bas uTho kahaa maan lo miri kyaa khataa jo khafaa hue hain ajiib murgh-e-shikasta-par na chaman mein ghar na qafas mein ghar jo gire to saaya hain khaak par jo uThe to mauj-e-havaa hue vo araq araq hue jis ghaDi mujhe umr-e-khizr ataa hui shab-e-vasl qatre pasine ke mire haq mein aab-e-baqaa hue kabhi shakl-e-aaina ru-ba-ru kabhi tuuti aur kabhi guftugu kabhi shakhs ban ke gale mile kabhi aks ban ke judaa hue na tajalliyaan hain na garmiyaan na sharaartein hain na phurtiyaan hama-tan the din ko to shokhiyaan hama-tan vo shab ko hayaa hue mire naale hain ki azal abad tire ishve hain ki lab-e-masih vahaan kun kaa ghalghala vo bane yahaan qum ki ye jo sadaa hue gire zaat mein to hai jumla-ust uThe jab sifat mein hama-az-dast kahaa kaun ho to mile rahe kahaa naam kyaa to judaa hue kiye us ne bazm mein shoabde mali mehndi haath pe shama ke jo patange raat ko jal gae vo tamaam murgh-e-hinaa hue mire dil ke dekho to valvale ki har ek rang mein jaa mili jo ghaTe to un kaa dahan bane jo baDhe to arz-o-samaa hue vahi farsh-o-arsh-nashin rahe hue naam alag jo kahin rahe gae dair mein to sanam bane gae laa-makaan to khudaa hue jo tasavvur un kaa judaa huaa dil be-khabar ne ye di sadaa abhi ham-baghal the kidhar gae abhi god mein the vo kyaa hue kabhi sozishein kabhi aafatein kabhi ranjishein kabhi raahatein milin chaar ham ko ye neamatein tire ishq mein jo fanaa hue hamein shauq ye ki ho ek taur use zauq ye ki ho shakl aur bane aag to bujhe aab mein mile khaak mein to havaa hue gae sar se jabki vo taa-kamar to alif idhar kaa huaa udhar tiraa joDaa khulte hi baal sab pas-e-pusht aa ke balaa hue koi dab gayaa koi mar gayaa koi pis gayaa koi miT gayaa tire ishve se jab se falak bane tire ghamze jab se qazaa hue mujhe gudgudi se ghash aa gayaa to hilaa ke shaana yahi kahaa abhi hanste the abhi mar gae abhi kyaa the tum abhi kyaa hue kaho kaafiron se karein khushi ki ye masala hai tanaasukhi mire naale khaak mein jab mile to subu ke dast-e-duaa hue pas-e-vasl ham jo sarak gae to vo khilkhilaa ke phaDak gae kahaa shokhiyon ne chalo haTo ki huzur tum se khafaa hue tumhein log kahte hain naujavaan ki ho biis tiis ke darmiyaan kaho mujh se 'maail'-e-khush-bayaan vo tumhaare valvale kyaa hue"
Ahmad Husain MailAhmad Husain Mail
Quote
"vo but pari hai nikaalein na baal-o-par taaviz hain donon baazu pe is ke idhar udhar taaviz vo ham nahin jo hon divaane aise kaamon se kise pilaate ho paani mein ghol kar taaviz uThegaa phir na kaleje mein miThaa miThaa dard agar likhe mire dil par tiri nazar taaviz kahaan vo log ki jin ke amal kaa shohraa thaa kuchh is zamaane mein rakhtaa nahin asar taaviz pilaayaa saanp ko paani jo man nikaal liyaa nahaane baiThe hain choTi se khol kar taaviz vahaan gayaa jo koi dil hi bhuul kar aayaa rakhe hain gaaD ke us ne idhar udhar taaviz pas-e-fanaa bhi mohabbat kaa silsila na miTaa tire gale mein hai aur meri qabr par taaviz ye bhed hai ki na murde Darein farishton se banaa ke qabr banaate hain qabr par taaviz ye kyaa ki zulf mein rakkhaa hai baandh kar miraa dil use bhi ghol ke pi jaao jaan kar taaviz jo chaand se hain badan hain vo chaand taaron mein gulon mein haikalein haikal ke taa-kamar taaviz hue hain hazrat-e-'maail' bhi dil mein ab qaail kuchh aisaa likhti hai ai jaan tiri nazar taaviz"
Ahmad Husain MailAhmad Husain Mail
Quote
"khaDe hain muusaa uThaao pardaa dikhaao tum aab-o-taab-e-aariz hijaab kyuun hai ki khud tajalli bani hui hai hijaab-e-aariz na ruk sakegi ziyaa-e-aariz jo sadd-e-rah ho naqaab-e-aariz vo hogi be-parda rakh ke pardaa ghazab ki chanchal hai taab-e-aariz chhupaa na munh donon haath se yuun taDapti hai barq-e-taab-e-aariz lagaa na de aag ungliyon mein ye garmi-e-iztiraab-e-aariz jo un ko lipTaa ke gaal chumaa hayaa se aane lagaa pasina hui hai boson ki garm bhaTTi khinche na kyuun kar sharaab-e-aariz pari jo dekhe kahe taDap kar jo huur dekhe kahe phaDak kar tumhaaraa gesu javaab-e-gesu tumhaaraa 'aariz javaab-e-aariz huzur ghunghaT uThaa ke aaein baDi chamak kis mein hai dikhaaein idhar rahe aaftaab-e-mahshar udhar rahe aaftaab-e-aariz chhupaanaa kyaa ek kaa thaa manzur aaj tak hain jo chaar mashhur zabur tauret mushaf injil paanchvin hai kitaab-e-aariz na kyuun ho daa'vaa baraabari kaa vahaan milaa til yahaan suvaidaa ye nuqta-e-intikhaab-e-aariz hai vo nuqta-e-intikhaab-e-aariz paDaa huun ghash mein mujhe sunghaa do pasina chehre kaa zulf ki bu nahin hai kam lakhlakhe se mujh ko ye mushk-e-gesu gulaab-e-aariz jo shoala-ru munh chhupaa ke niklaa dhuaan sar-e-raah kuchh kuchh uTThaa lagi vo aatish bane hai jal kar naqaab-e-aariz kabaab-e-aariz na jhepo subh-e-visaal dekho tum aankh se aankh to milaao liye hain gin gin ke main ne bose zabaan par hai hisaab-e-aariz karo na ghusse se laal chehraa bhavon mein Daalo na bal khudaaraa nahin majaal-e-jalaal-e-abru nahin hai taab-e-itaab-e-aariz jo gaal par gaal ham rakheinge shab-e-visaal un ke haath uTheinge tamaanche maareinge pyaar se vo bajeingge chang-o-rubaab-e-aariz kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visaal mein lutf de rahaa hai shabaab-e-zaanu shabaab-e-baazu shabaab-e-sina shabaab-e-aariz janaab-e-'maail' ye kudak-e-dil buton ki ulfat mein hogaa kaamil paDhaao quraan ke badle is ko bayaaz-e-gardan kitaab-e-aariz"
Ahmad Husain MailAhmad Husain Mail

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari