SHAWORDS

zaraa si der charaaghon kaa dil bahal jaae — Aadarsh Dubey

HomeAadarsh DubeyGhazal
"zaraa si der charaaghon kaa dil bahal jaae ye aaftaab kahin aur jaa ke jal jaae khudaa parindon ke zyaada qarib rahtaa hai ajab nahin ki shikaari kaa tiir jal jaae main roz roz to chehre nahin badal saktaa kisi ko bhej mire aaine badal jaae use giraa ke hi aage agar nikalnaa hai khudaa kare ke miraa raastaa badal jaae main chaahtaa huun tire dil mein der se pahunchun main chaahtaa huun ki pahle miri ghazal jaae main is liye bhi tiraa zikr roz kartaa huun kisi maqaam pe shaayad ye dil sanbhal jaae"
Urdu

ذرا سی دیر چراغوں کا دل بہل جائے یہ آفتاب کہیں اور جا کے جل جائے خدا پرندوں کے زیادہ قریب رہتا ہے عجب نہیں کہ شکاری کا تیر جل جائے میں روز روز تو چہرے نہیں بدل سکتا کسی کو بھیج مرے آئنے بدل جائے اسے گرا کے ہی آگے اگر نکلنا ہے خدا کرے کے مرا راستا بدل جائے میں چاہتا ہوں ترے دل میں دیر سے پہنچوں میں چاہتا ہوں کہ پہلے مری غزل جائے میں اس لیے بھی ترا ذکر روز کرتا ہوں کسی مقام پہ شاید یہ دل سنبھل جائے

Hindi

ज़रा सी देर चराग़ों का दिल बहल जाए ये आफ़्ताब कहीं और जा के जल जाए ख़ुदा परिंदों के ज़्यादा क़रीब रहता है अजब नहीं कि शिकारी का तीर जल जाए मैं रोज़ रोज़ तो चेहरे नहीं बदल सकता किसी को भेज मिरे आइने बदल जाए उसे गिरा के ही आगे अगर निकलना है ख़ुदा करे के मिरा रास्ता बदल जाए मैं चाहता हूँ तिरे दिल में देर से पहुँचूँ मैं चाहता हूँ कि पहले मिरी ग़ज़ल जाए मैं इस लिए भी तिरा ज़िक्र रोज़ करता हूँ किसी मक़ाम पे शायद ये दिल सँभल जाए

zarā sī der charāġhoñ kā dil bahal jaa.e
Aadarsh Dubey
Aadarsh Dubey
Aadarsh Dubey
poet30 quotes

More by Aadarsh Dubey

View all →
Quote
"mujhe ye Dar hai ki ab bas yahi na kar baiThun tiri khushi mein kahin khud-kushi na kar baiThun vo sun ke is liye mujh ko javaab detaa nahin savaal us se koi aakhiri na kar baiThun main jis ko DhunD rahaa thaa vo mil gayaa mujh mein tamaam shikve gile aaj hi na kar baiThun har ek samt mujhe tu dikhaai detaa hai main ek 'ishq ke pichhe kai na kar baiThun baDe jatan se banaayaa hai us ne jis ko khudaa kahin main chhu ke use aadmi na kar baiThun chale bhi aao ke ik roz ye bhi mumkin hai tumhaare naam main ye zindagi na kar baiThun kuchh is liye bhi tavajjoh-talab ziyaada huun jo kah rahaa huun kahin vaaqa'i na kar baiThun"
Aadarsh DubeyAadarsh Dubey

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer