"sakht garmi mein bhi sardi lag rahi ab tabiat itni achchhi lag rahi raat ki chunri pe taare lag chuke shaam ke suraj ko haldi lag rahi khil gae khvaabon ke manzar har taraf niind mein vo aur achchhi lag rahi mausamon ke rang uDte jaa rahe aur vo phulon mein titli lag rahi jhuuT hai ye raushni divaar par bas tiri tasvir sachchi lag rahi"
mujhe ye Dar hai ki ab bas yahi na kar baiThun — Aadarsh Dubey
"mujhe ye Dar hai ki ab bas yahi na kar baiThun tiri khushi mein kahin khud-kushi na kar baiThun vo sun ke is liye mujh ko javaab detaa nahin savaal us se koi aakhiri na kar baiThun main jis ko DhunD rahaa thaa vo mil gayaa mujh mein tamaam shikve gile aaj hi na kar baiThun har ek samt mujhe tu dikhaai detaa hai main ek 'ishq ke pichhe kai na kar baiThun baDe jatan se banaayaa hai us ne jis ko khudaa kahin main chhu ke use aadmi na kar baiThun chale bhi aao ke ik roz ye bhi mumkin hai tumhaare naam main ye zindagi na kar baiThun kuchh is liye bhi tavajjoh-talab ziyaada huun jo kah rahaa huun kahin vaaqa'i na kar baiThun"
مجھے یہ ڈر ہے کہ اب بس یہی نہ کر بیٹھوں تری خوشی میں کہیں خودکشی نہ کر بیٹھوں وہ سن کے اس لیے مجھ کو جواب دیتا نہیں سوال اس سے کوئی آخری نہ کر بیٹھوں میں جس کو ڈھونڈ رہا تھا وہ مل گیا مجھ میں تمام شکوہ گلے آج ہی نہ کر بیٹھوں ہر ایک سمت مجھے تو دکھائی دیتا ہے میں ایک عشق کے پیچھے کئی نہ کر بیٹھوں بڑے جتن سے بنایا ہے اس نے جس کو خدا کہیں میں چھو کے اسے آدمی نہ کر بیٹھوں چلے بھی آؤ کے اک روز یہ بھی ممکن ہے تمہارے نام میں یہ زندگی نہ کر بیٹھوں کچھ اس لئے بھی توجہ طلب زیادہ ہوں جو کہہ رہا ہوں کہیں واقعی نہ کر بیٹھوں
मुझे ये डर है कि अब बस यही न कर बैठूँ तिरी ख़ुशी में कहीं ख़ुद-कुशी न कर बैठूँ वो सुन के इस लिए मुझ को जवाब देता नहीं सवाल उस से कोई आख़िरी न कर बैठूँ मैं जिस को ढूँड रहा था वो मिल गया मुझ में तमाम शिकवे गिले आज ही न कर बैठूँ हर एक सम्त मुझे तू दिखाई देता है मैं एक 'इश्क़ के पीछे कई न कर बैठूँ बड़े जतन से बनाया है उस ने जिस को ख़ुदा कहीं मैं छू के उसे आदमी न कर बैठूँ चले भी आओ के इक रोज़ ये भी मुमकिन है तुम्हारे नाम मैं ये ज़िंदगी न कर बैठूँ कुछ इस लिए भी तवज्जोह-तलब ज़ियादा हूँ जो कह रहा हूँ कहीं वाक़'ई न कर बैठूँ

More by Aadarsh Dubey
View all →"zaraa si der charaaghon kaa dil bahal jaae ye aaftaab kahin aur jaa ke jal jaae khudaa parindon ke zyaada qarib rahtaa hai ajab nahin ki shikaari kaa tiir jal jaae main roz roz to chehre nahin badal saktaa kisi ko bhej mire aaine badal jaae use giraa ke hi aage agar nikalnaa hai khudaa kare ke miraa raastaa badal jaae main chaahtaa huun tire dil mein der se pahunchun main chaahtaa huun ki pahle miri ghazal jaae main is liye bhi tiraa zikr roz kartaa huun kisi maqaam pe shaayad ye dil sanbhal jaae"
"dil hai alag mizaaj ke do bhaaiyon kaa ghar lagtaa hai sirf mujh ko ye tanhaaiyon kaa ghar beTi gai hai ghar se lagaa ham ko bas yahi jaise chalaa gayaa koi amraaiyon kaa ghar duuri banaa li un se yahi sochne ke baad ghar un kaa thaa mire liye rusvaaiyon kaa ghar jab se mili hai un se nazar restaurant mein dil lag rahaa hai pyaar ki shahnaaiyon kaa ghar"
"dekho bhaai aisaa hai ye dil darpan jaisaa hai mat kahnaa patthar ham ko ye dil mom ke jaisaa hai meraa lahja mat puchho 'mir'-o-'ghaalib' jaisaa hai zaalim ham se puchh rahaa dard tumhaaraa kaisaa hai shohrat talve chaaTegi paas mein jis ke paisa hai"
"aisaa lamha udhaar de koi jis mein sadiyaan guzaar de koi baad muddat ke khat likhe vo mujhe aur kabutar ko maar de koi ye jo sardaar ban ke baiThaa hai us ki pagDi utaar de koi mast rakkhe jo hosh mein bhi mujhe ab to aisaa khumaar de koi kyaa khabar haadsaati duniyaa mein kab kahaan mujh ko maar de koi ek vaada ki jis ke saae mein umr saari guzaar de koi dasht ko ghar banaa ke baiThaa huun is ko aa kar sanvaar de koi"
"mujh ko mujh se hi judaa karti hai vo mujhe roz nayaa karti hai baad mein rakhti hai koi marham pahle vo zakhm haraa karti hai koi to hai jo mire is dil ko ek khat roz likhaa karti hai ham vo ujDi hui basti jis ke badduaa saath rahaa karti hai rishta koi bhi ho lekin aurat apnaa har farz adaa karti hai jab bhi haathon mein uThaataa huun qalam teri tasvir banaa karti hai main abhi us ko nahin jaan sakaa jo mire haq mein duaa karti hai"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"