SHAWORDS

zauq-e-nazar baDhaaiye gulzaar dekh kar — Akhtar Husain Shaafi

"zauq-e-nazar baDhaaiye gulzaar dekh kar ulfat kaa saudaa kijiye baazaar dekh kar main ne junun-e-ishq se daaman bachaa liyaa har bul-havas ko teraa parastaar dekh kar mere hi dar pe thaa koi saail ke ruup mein hairat-zada rahaa mujhe naadaar dekh kar naghma-saraa na ho sakaa gulshan mein andalib tufaan-o-barq-o-baad ke aasaar dekh kar betaab dil ko aur tarasti nigaah ko bahlaa sakaa na main gul-o-gulzaar dekh kar dil guftugu ki samt jhukaa sher ban gae izhaar-e-gham ko ruuh kaa gham-khvaar dekh kar hosh-o-havas ki jang mein hairat-zada rahaa jazbon kaa shor aql ke afkaar dekh kar aankhon se kaaenaat ke aansu Tapak paDe shaafi ko is jahaan mein bimaar dekh kar yaad aa gaiin khirad ko vo jannat ki laghzishein dil kaa junun-o-shauq sharar-baar dekh kar haathon mein dil ke parcham-e-afkaar de diyaa insaaniyat ko barsar-e-paikaar dekh kar"
Urdu

ذوق نظر بڑھائیے گلزار دیکھ کر الفت کا سودا کیجئے بازار دیکھ کر میں نے جنون عشق سے دامن بچا لیا ہر بوالہوس کو تیرا پرستار دیکھ کر میرے ہی در پہ تھا کوئی سائل کے روپ میں حیرت زدہ رہا مجھے نادار دیکھ کر نغمہ سرا نہ ہو سکا گلشن میں عندلیب طوفان و برق و باد کے آثار دیکھ کر بیتاب دل کو اور ترستی نگاہ کو بہلا سکا نہ میں گل و گلزار دیکھ کر دل گفتگو کی سمت جھکا شعر بن گئے اظہار غم کو روح کا غم خوار دیکھ کر ہوش و ہوس کی جنگ میں حیرت زدہ رہا جذبوں کا شور عقل کے افکار دیکھ کر آنکھوں سے کائنات کے آنسو ٹپک پڑے شافی کو اس جہان میں بیمار دیکھ کر یاد آ گئیں خرد کو وہ جنت کی لغزشیں دل کا جنون و شوق شرر بار دیکھ کر ہاتھوں میں دل کے پرچم افکار دے دیا انسانیت کو برسر پیکار دیکھ کر

Hindi

ज़ौक़-ए-नज़र बढ़ाइए गुलज़ार देख कर उल्फ़त का सौदा कीजिए बाज़ार देख कर मैं ने जुनून-ए-इश्क़ से दामन बचा लिया हर बुल-हवस को तेरा परस्तार देख कर मेरे ही दर पे था कोई साइल के रूप में हैरत-ज़दा रहा मुझे नादार देख कर नग़्मा-सरा न हो सका गुलशन में अंदलीब तूफ़ान-ओ-बर्क़-ओ-बाद के आसार देख कर बेताब दिल को और तरसती निगाह को बहला सका न मैं गुल-ओ-गुलज़ार देख कर दिल गुफ़्तुगू की सम्त झुका शे'र बन गए इज़हार-ए-ग़म को रूह का ग़म-ख़्वार देख कर होश-ओ-हवस की जंग में हैरत-ज़दा रहा जज़्बों का शोर अक़्ल के अफ़्कार देख कर आँखों से काएनात के आँसू टपक पड़े शाफ़ी को इस जहान में बीमार देख कर याद आ गईं ख़िरद को वो जन्नत की लग़्ज़िशें दिल का जुनून-ओ-शौक़ शरर-बार देख कर हाथों में दिल के परचम-ए-अफ़्कार दे दिया इंसानियत को बरसर-ए-पैकार देख कर

zauq-e-nazar baḌhā.iye gulzār dekh kar
A
Akhtar Husain Shaafi
Akhtar Husain Shaafi
poet5 quotes

More by Akhtar Husain Shaafi

View all →
Quote
"sad-haif adam ko Thukraa kar hasti ki ziyaarat kar baiThe naadaan the ham naadaani mein jiine ki himaaqat kar baiThe khaaliq ne navaazaa roz-e-azal kis tarah hamein kyaa batlaaein lekin jo amaanat paai thi ham us mein khayaanat kar baiThe is des mein jab har rahzan ko rahbar kaa sharaf paate dekhaa qadron ke muhaafiz ho kar bhi qadron se baghaavat kar baiThe nau-khez gulon ke aariz par jo maut ki zardi le aai us baad-e-sabaa se ghabraa kar tufaan se mohabbat kar baiThe vo daur gayaa jab zaalim ko maail-ba-karam karti thi vafaa ham kar ke mohabbat dushman se saamaan-e-qayaamat kar baiThe aazaar na jaane kitne the 'shaafi' se mudaavaa kyaa hotaa tauhid ke divaane the magar asnaam ki taaat kar baiThe"
A
Akhtar Husain Shaafi
Quote
"hai yaqin mujhe miraa ham-nashin miri is adaa se khafaa nahin na jhukegaa sar dar-e-husn par ki sanam sanam hai khudaa nahin miri aarzu miri aashiqi hai junun ki shiddaton se bari ye mazaaq-e-nau hai baDaa ajab ki main sirf tujh pe fidaa nahin zaraa duur hain miri manzilein tu nazar uThaa na khafaa ho yuun mire ham-safar miraa raasta tire raaste se judaa nahin hai jo gham-zadon ke dilon kaa gham vo hamaare dil kaa bhi gham bane vo amiir ho ki gharib ho ye bashar bashar se judaa nahin jo khushi mili hai vo kam sahi chalo ham sabhi use baanT lein na piye kisi kaa koi lahu ki lahu hai zahr davaa nahin ye jo dil hai jaam-e-gharaz nahin ye makaan tavil-o-ariz hai kisi dard ko na mile jagah miraa dil to aisaa banaa nahin main faraar zaat se kyaa karun hai ye zaat apne mein kaaenaat mujhe fakhr hai miri shaairi miri zindagi se judaa nahin"
A
Akhtar Husain Shaafi
Quote
"ham dard-e-nihaan ko mahfil mein rusvaa-e-hikaayat kar na sake kahne ko bahut kuchh thaa lekin kuchh un se khitaabat kar na sake ai husn zaraa dam bhar ke liye kuchh shokh tujhe bhi honaa thaa do dil the fidaa aapas mein magar izhaar-e-mohabbat kar na sake guzre hue lamhon ki yaadein ab shauq-e-vafaa se kahti hain jo shai thi qarib-e-qalb-o-jigar us shai se rifaaqat kar na sake har shauq baDhaa kar sapne mein zahmat to uThaai raahon ki pahunche to dar-e-kaaba pe magar kaabe ki ziyaarat kar na sake siine mein khalish hai furqat ki betaab tamanna hai meri jo ham se mohabbat karte the ham un pe inaayat kar na sake chanchal bhi vo the chaalaak bhi the par sharm-o-hayaa bhi aisi thi ham man ke puraane paapi bhi kuchh un se sharaarat kar na sake vaaiz ne kahaa thaa zabt karo jazbaat-e-mohabbat ko lekin ham us ki hidaayat par chal kar is dil ki hifaazat kar na sake duniyaa ke ghamon kaa khauf nahin bebaak musaafir ko 'shaafi' dam bhar ke liye palkon ke tale afsos iqaamat kar na sake"
A
Akhtar Husain Shaafi
Quote
"bandish-e-alfaaz hi se shaairi hoti nahin sirf ji lene se jaise zindagi hoti nahin shaairi kaifiyyat-e-jazb-o-junun kaa naam hai ye na ho to shaairi phir shaairi hoti nahin jo bhi ho lekin hamaare vaaste ye shaairi parda-daar-e-raaz-haa-e-zindagi hoti nahin garmi-e-jazbaat mein imkaan hasin dhoke kaa hai dil ki chingaari farogh-e-daaimi hoti nahin paak hotaa hai junun-o-justuju se raazdaan raaz-daani be-niyaaz-e-aagahi hoti nahin mukhtalif ik dusre se hain haqiqat aur majaaz kucha-e-mahbub kaaba ki gali hoti nahin"
A
Akhtar Husain Shaafi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari