SHAWORDS

zindagi dard se qarib rahe — Altaf Mashhadi

HomeAltaf MashhadiGhazal
"zindagi dard se qarib rahe gham ki daulat mujhe nasib rahe mausam aisaa bhi ho koi sayyaad baagh jab vaqf-e-andalib rahe muskuraa do kisi ki mayyat par maut kyon tira-o-muhib rahe vasl ko vasl jaanne ke liye zinat-e-bazm ik raqib rahe jaan kaa khel khelne vaalo imtihaan ko dar-e-habib rahe jaag kar main ne kaaT diin raatein niind mein gum magar nasib rahe kis ne 'altaaf' di duaa mujh ko dard se zindagi qarib rahe"
Urdu

زندگی درد سے قریب رہے غم کی دولت مجھے نصیب رہے موسم ایسا بھی ہو کوئی صیاد باغ جب وقف عندلیب رہے مسکرا دو کسی کی میت پر موت کیوں تیرہ و مہیب رہے وصل کو وصل جاننے کے لیے زینت بزم اک رقیب رہے جان کا کھیل کھیلنے والو امتحاں کو در حبیب رہے جاگ کر میں نے کاٹ دیں راتیں نیند میں گم مگر نصیب رہے کس نے الطافؔ دی دعا مجھ کو درد سے زندگی قریب رہے

Hindi

ज़िंदगी दर्द से क़रीब रहे ग़म की दौलत मुझे नसीब रहे मौसम ऐसा भी हो कोई सय्याद बाग़ जब वक़्फ़-ए-अंदलीब रहे मुस्कुरा दो किसी की मय्यत पर मौत क्यों तीरा-ओ-मुहीब रहे वस्ल को वस्ल जानने के लिए ज़ीनत-ए-बज़्म इक रक़ीब रहे जान का खेल खेलने वालो इम्तिहाँ को दर-ए-हबीब रहे जाग कर मैं ने काट दीं रातें नींद में गुम मगर नसीब रहे किस ने 'अलताफ़' दी दुआ मुझ को दर्द से ज़िंदगी क़रीब रहे

zindagī dard se qarīb rahe
Altaf Mashhadi
Altaf Mashhadi
Altaf Mashhadi
poet20 quotes

More by Altaf Mashhadi

View all →
Quote
"nigaah-e-mast mein kyaa rang-e-vaalihaana thaa surur-o-kaif mein Duubaa huaa zamaana thaa kisi ki uThti javaani kaa jab zamaana thaa miri nigaah kaa har feal shaairaana thaa sitam-nasib ki allaah re sokhta bakhti hai bijliyon kaa nasheman jo aashiyaana thaa azal se qaid-e-anaasir ataa hui mujh ko mire nasib mein zindaan kaa aab-o-daana thaa vufur-e-dard se jab hichkiyaan si aane lagin har ek zakhm ke lab par miraa fasaana thaa shuru-e-ishq mein kyaa meri shaairi thi na puchh falak pe murgh-e-takhayyul kaa aashiyaana thaa vatan mein hazrat-e-'altaaf' zindagi apni bahaar khuld-e-mohabbat kaa ik fasaana thaa"
Altaf MashhadiAltaf Mashhadi
Quote
"kaun utraa nazar ke ziine se mahfil-e-dil saji qarine se shaikh-saahib mujhe aqidat hai gungunaate hue mahine se mai ko gul-rang kar diyaa kis ne khuun le kar kali ke siine se koi saahil na naakhudaa apnaa ham to maanus hain safine se kis kaa eajaaz hai ki rindon ko chain miltaa hai aag piine se pi ke jiite hain ji ke piite hain ham ko raghbat hai aise jiine se mai ki taqdis kaa javaab kahaan daagh dhulte hain dil ke piine se haae 'altaaf' vo urus-e-bahaar jhaankti hai jo aabgine se"
Altaf MashhadiAltaf Mashhadi
Quote
"leTaa huaa huun saaya-e-ghurbat mein ghar se duur dil se qarin hain ahl-e-vatan aur nazar se duur jab tak hai dil rahin-e-maaal-o-asir-e-aql rahnaa hai tujh se aur tiri rahguzar se duur ai kaif un ki mast nigaahon mein chhup ke aa ai dard-e-dam zadan mein ho mere jigar se duur ik din ulaTne vaali hai zaahid bisaat-e-zohd kab tak rahegaa dil nigah-e-fitna-gar se duur vo koi zindagi hai javaani hai vo koi ai dost jo hai tere jamaal-e-nazar se duur kyaa aai tere ji mein ki taqdir yuun mujhe pheinkaa hai laa ke vaadi-e-ghurbat mein ghar se duur ai husn-e-be-panaah bataae koi mujhe duniyaa ki kaun chiiz hai tere asar se duur allaah re nasib ki paai hai vo fughaan jo umr bhar rahi hai fareb-e-asar se duur 'altaaf' naaz apni gadaai pe hai mujhe daaman hai us kaa saaya-e-laal-o-gohar se duur"
Altaf MashhadiAltaf Mashhadi
Quote
"ye aankhon hi aankhon mein kyaa ho gae ham abhi jaagte the abhi so gae ham maqaam-e-tajassus ik aisaa bhi aayaa ki paayaa tujhe aur khud kho gae ham tire gham ko khud se bhi ham ne chhupaayaa magar phir bhi rusvaa-e-gham ho gae ham jo ab tak the zeb-e-qabaa-e-mohabbat kuchh aise bhi moti kabhi ro gae ham anaasir ne liin hichkiyaan saans ukhDi kahaa ishq ne jaavedaan ho gae ham ye mearaaj-e-dard-e-mohabbat hai shaayad ki teri nazar mein bhi gham bo gae ham taDapne mein 'altaaf' vo lazzatein thiin ki taDpe na ji bhar ke aur so gae ham"
Altaf MashhadiAltaf Mashhadi
Quote
"ho gai ishq mein badnaam javaani apni ban gai markaz-e-aalaam javaani apni maazi-o-haal hain mahrum-e-sharaab-o-naghma haae afsurda-o-naakaam javaani apni aah vo subh jo thi subh-e-bahaar-e-hasti hai usi subh ki ab shaam javaani apni ek taarik fazaa ek ghaTaa saa maahaul kisi muflis kaa hai anjaam javaani apni unhin raahon mein unhin mast-o-javaan galiyon mein laDkhaDaai hai bahar-gaam javaani apni ek vo din thaa ki mai-khaanon pe ham bhaari the aaj hai daur-e-tah-e-jaam javaani apni iktifaa kar ke khanakte hue roz-o-shab par ban gai ziist par ilzaam javaani apni din huaa dhuup chaDhi Dhal gae saae 'altaaf' ab hai ik bujhti hui shaam javaani apni"
Altaf MashhadiAltaf Mashhadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi