SHAWORDS

zindagi ho miri nazar mein ho — Aslam Noor Aslam

"zindagi ho miri nazar mein ho ho davaaon mein chashm-e-tar mein ho jab bhi likkhaa hai tum ko likkhaa hai tum hi lafzon mein ho satar mein ho tum hi mehvar ho har takhayyul kaa mir-o-ghaalib mein ho zafar mein ho tum fazaaon mein raqs karti ho ku-ba-ku phailti khabar mein ho ab zamaane se kyaa chhupaaun main tum to mahtaab ho nazar mein ho meri qismat bane bhi rishte qamar koi tum saa jo mere ghar mein ho kuchh labon par hamein bhi hai 'aslam' ji ke utre hue bhanvar mein ho"
Urdu

زندگی ہو مری نظر میں ہو ہو دواؤں میں چشم تر میں ہو جب بھی لکھا ہے تم کو لکھا ہے تم ہی لفظوں میں ہو سطر میں ہو تم ہی محور ہو ہر تخیل کا میر و غالب میں ہو ظفر میں ہو تم فضاؤں میں رقص کرتی ہو کو بہ کو پھیلتی خبر میں ہو اب زمانے سے کیا چھپاؤں میں تم تو مہتاب ہو نظر میں ہو میری قسمت بنے بھی رشتے قمر کوئی تم سا جو میرے گھر میں ہو کچھ لبوں پر ہمیں بھی ہے اسلمؔ جی کے اترے ہوئے بھنور میں ہو

Hindi

ज़िंदगी हो मिरी नज़र में हो हो दवाओं में चश्म-ए-तर में हो जब भी लिक्खा है तुम को लिक्खा है तुम ही लफ़्ज़ों में हो सतर में हो तुम ही मेहवर हो हर तख़य्युल का मीर-ओ-ग़ालिब में हो ज़फ़र में हो तुम फ़ज़ाओं में रक़्स करती हो कू-ब-कू फैलती ख़बर में हो अब ज़माने से क्या छुपाऊँ मैं तुम तो महताब हो नज़र में हो मेरी क़िस्मत बने भी रिश्ते क़मर कोई तुम सा जो मेरे घर में हो कुछ लबों पर हमें भी है 'असलम' जी के उतरे हुए भँवर में हो

zindagī ho mirī nazar meñ ho
Aslam Noor Aslam
Aslam Noor Aslam
Aslam Noor Aslam
poet14 quotes

More by Aslam Noor Aslam

View all →
Quote
"badal diye hain mukammal nisaab ab ke se paDhi hai dard ki aisi kitaab ab ke se kahaa hai baad-e-sabaa ne ki be-qaraar hain vo chalo ki koi to aayaa javaab ab ke se ghuTan ye siine ki ghaTti nazar nahin aati juDe hain kaise na jaane hisaab ab ke se ye kaun puchhegaa ham se kahaan kise fursat jo dariyaa-dil the hue kyuun saraab ab ke se bichhaD ke tujh se kahaan niind aai ab ke bhi mile hain jaagti aankhon ke khvaab ab ke se kisi ki yaad kaa muflar zaraa nikaal hi lo ki hone vaalaa hai mausam kharaab ab ke se ajiib baat hai dil sun nahin rahaa meri kisi kaa ho gayaa khaana-kharaab ab ke se jo baat hogi baraabar ki hogi ab 'aslam' ki dil bhi ho gayaa meraa navaab ab ke se"
Aslam Noor AslamAslam Noor Aslam
Quote
"khamoshiyon mein bahut se savaal laayaa hai shikaayaton ke liye rukh nikaal laayaa hai ye keh ke us ne mujhe hairaton mein Daal diyaa vo mere biite hue maah-o-saal laayaa hai zaraa si der mein sadiyon kaa ban gayaa zaamin ye kis mizaaj kaa harf-e-kamaal laayaa hai ab us ke aage tumhein hairatein bataaun bhi kyaa khushi kaa lamha bhi ranj-o-malaal laayaa hai mujhe pataa na chalaa ye ki meraa mohsin bhi varaq pe sone ke likh kar zavaal laayaa hai bisaat-e-ishq mein 'aslam' ye kaise maat hui kahaan kahaan se vo mohre nikaal laayaa hai"
Aslam Noor AslamAslam Noor Aslam
Quote
"khudi mein Duub ke khud se kabhi mile ho kyaa hujum-e-yaaraan mein tanhaa kabhi hue ho kyaa na jaane kis liye duniyaa kaa ronaa rote ho mizaaj us ke nahin jaante nae ho kyaa khatra bhaTakne kaa rahtaa hai jis ravish pe bahut tum us ravish pe kabhi duur tak gae ho kyaa vo jis pe mujh ko shikaayaat nahin rahi tum se us ek baat pe mujh se khafaa hue ho kyaa yahi saliqa hai yaaron kisi pe marne kaa kabhi kisi ke liye zindagi jiye ho kyaa junun-e-ishq ki parvaaz mein ye kis kaa khauf bulandiyon ke taqaazon se Dar gae ho kyaa"
Aslam Noor AslamAslam Noor Aslam
Quote
"fasil-e-zaat par itraa rahaa huun zamaane se bichhaDtaa jaa rahaa huun main patthar ke nae paikar banaa kar ba-shakl-e-mom Dhaltaa jaa rahaa huun vo ik chehra vo palkein aur tabassum ghazal ko us ki lai pe gaa rahaa huun tasavvur mein kisi se baat kar ke lab-o-lahje pe us ke chhaa rahaa huun uDaanon se abhi ghaafil huun apni zamin ko aasmaan batlaa rahaa huun muamma ban gai hai zindagi ab main uljhi zulf ko suljhaa rahaa huun abhi us gaanv mein mele lageinge abhi jis gaanv par manDlaa rahaa huun shanaasaai hui khaaron se itni gulon ko dekh kar ghabraa rahaa huun main lafzon mein hasin rumaan laa kar nae lahje mein Dhaltaa jaa rahaa huun vahi hai vasl ki jhuTi tasalli main 'aslam' ruuh ko taDpaa rahaa huun"
Aslam Noor AslamAslam Noor Aslam

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb