SHAWORDS

zindagi se miri is tarah mulaaqaat hui — Alqama Shibli

HomeAlqama ShibliGhazal
"zindagi se miri is tarah mulaaqaat hui lab hile aankh mili aur na koi baat hui dard ki dhuup nahin yaad kaa saaya bhi nahin ab to qismat meri be-rangi-e-haalaat hui sirf kal hi nahin is daur mein bhi dida-vari nazr-e-auhaam hui said-e-rivaayaat hui kal to mehvar the miri zaat ke ye kaun-o-makaan kaaenaat aaj jo simTi to miri zaat hui sar ko phoDaa kiye patthar se samundar se laDe subh yuun shaam hui shaam se yuun raat hui ghar miraa dekh liyaa sail-e-balaa ne 'shibli' aagahi kyaa hui ik dard ki saughaat hui"
Urdu

زندگی سے مری اس طرح ملاقات ہوئی لب ہلے آنکھ ملی اور نہ کوئی بات ہوئی درد کی دھوپ نہیں یاد کا سایہ بھی نہیں اب تو قسمت میری بے رنگئ حالات ہوئی صرف کل ہی نہیں اس دور میں بھی دیدہ وری نذر اوہام ہوئی صید روایات ہوئی کل تو محور تھے مری ذات کے یہ کون و مکاں کائنات آج جو سمٹی تو مری ذات ہوئی سر کو پھوڑا کئے پتھر سے سمندر سے لڑے صبح یوں شام ہوئی شام سے یوں رات ہوئی گھر مرا دیکھ لیا سیل بلا نے شبلیؔ آگہی کیا ہوئی اک درد کی سوغات ہوئی

Hindi

ज़िंदगी से मिरी इस तरह मुलाक़ात हुई लब हिले आँख मिली और न कोई बात हुई दर्द की धूप नहीं याद का साया भी नहीं अब तो क़िस्मत मेरी बे-रंगी-ए-हालात हुई सिर्फ़ कल ही नहीं इस दौर में भी दीदा-वरी नज़्र-ए-औहाम हुई सैद-ए-रिवायात हुई कल तो मेहवर थे मिरी ज़ात के ये कौन-ओ-मकाँ काएनात आज जो सिमटी तो मिरी ज़ात हुई सर को फोड़ा किए पत्थर से समुंदर से लड़े सुब्ह यूँ शाम हुई शाम से यूँ रात हुई घर मिरा देख लिया सैल-ए-बला ने 'शिबली' आगही क्या हुई इक दर्द की सौग़ात हुई

zindagī se mirī is tarah mulāqāt huī
Alqama Shibli
Alqama Shibli
Alqama Shibli
poet27 quotes

More by Alqama Shibli

View all →
Quote
"choT phulon ki chhaDi se bhi na kyon dil par lage shahr mein har aadmi jab dard kaa paikar lage kaar-gaah-e-zindagi goyaa hai dasht-e-karbalaa raaste mein jis taraf bhi jaaiye Thokar lage is dayaar-e-raushni ne yuun kiyaa hai khira-chashm zindagi jaise yahaan shab se bhi tira-tar lage raaste viraan chehre faq labon par khaamushi dosto ye shahr bhi ab mujh ko apnaa ghar lage vaqt kaa be-rahm suraj kyon na ho zohra-gudaaz subh ki ThanDi havaa bhi jab mujhe khanjar lage manzilein aisi bhi aai hain safar mein zaat ke phuul bhi zer-e-qadam aae to vo patthar lage zakhm tanhaai kaa 'shibli' thaa na kuchh kam jaan-gudaaz aur is par ye huaa ki pai-ba-pai nashtar lage"
Alqama ShibliAlqama Shibli
Quote
"mujh ko auron se koi shikva nahin main ne bhi to khud ko pahchaanaa nahin sar pe aa pahunchaa hai suraj karb kaa saath apne saaya bhi apnaa nahin shauq-e-manzil hi hai meraa khizr-e-raah naqsh-e-paa har moD par miltaa nahin ho gayaa khun-e-hayaat ab yuun safed jaise meraa us se kuchh rishta nahin hai khayaal-e-khaam vo main ne jise pairahan alfaaz kaa bakhshaa nahin ab hai chehron par naqaab-e-maslahat koi chehra dil kaa aaina nahin kyon na ho shoala-ba-daaman zindagi kis taraf ab aag kaa dariyaa nahin phuul ki ik pankhuDi kahiye use zindagi ik barg-e-aavaara nahin zehn-e-'shibli' mein hai us ki guunj bhi vaqt ke honTon pe jo naghma nahin"
Alqama ShibliAlqama Shibli
Quote
"main ne aaj ek tamaashaa dekhaa saaghar-e-chashm mein dariyaa dekhaa raat ik khvaab niraalaa dekhaa dosh par apnaa janaaza dekhaa puchhiye kuchh nahin kyaa kyaa dekhaa vaqt ne jo bhi dikhaayaa dekhaa khuun patthar se bhi ristaa dekhaa zindagi teraa saraapaa dekhaa qaid thiin dard ki sadiyaan jis mein meri qismat ne vo lamha dekhaa tishnagi hi jaise dariyaa se mili us ne qatre mein bhi dariyaa dekhaa haadse vaqt ke hain jis pe raqam kyaa kisi ne bhi vo chehra dekhaa umr-bhar dhuup mein yunhi taDpo tum ne kyon khvaab sahar kaa dekhaa so gayaa vaqt bhi mahtaab ke saath raat 'shibli' ko bhi tanhaa dekhaa"
Alqama ShibliAlqama Shibli
Quote
"junun-e-shauq-e-mohabbat ki aagahi denaa khudi bhi jis pe ho qurbaan vo be-khudi denaa na shor chaahiye dariyaa ki tund maujon kaa mire lahu ko samundar ki khaamushi denaa tu de na de mire lab ko shaguftagi gul ki jo de sake to shagufe ki bekali denaa shanaakht jis se zamaane mein aadmi ki hai ye iltijaa hai ki tu mujh ko vo khudi denaa jhukaa sake na miraa sar koi bhi qadmon par jo ho sake to mujhe tu vo sar-kashi denaa naqaab ulaT de jo baDh kar rukh-e-tamannaa se ye aarzu hai ki mujh ko vo tishnagi denaa nai jihaat se fan ko jo aashnaa kar de mire qalam ko khudaayaa vo kaj-ravi denaa"
Alqama ShibliAlqama Shibli
Quote
"mujh ko auron se koi shikvaa nahin main ne bhi to khud ko pahchaanaa nahin sar pe aa pahunchaa hai suraj karb kaa saath apne saaya bhi apnaa nahin shauq-e-manzil hi hai meraa khizr-e-raah naqsh-e-paa har moD par miltaa nahin ho gayaa khun-e-hayaat ab yuun safed jaise meraa is se kuchh rishta nahin hai khayaal-e-khaam vo main ne jise pairahan alfaaz kaa bakhshaa nahin ab hai chehron par naqaab-e-maslahat koi chehra dil kaa aaina nahin kyuun na ho shoala-ba-daaman zindagi kis taraf ab aag kaa dariyaa nahin phuul ki ik pankhuDi kahiye use zindagi ik barg-e-aavaara nahin zehn-e-'shibli' mein hai us ki guunj bhi vaqt ke honTon pe jo naghma nahin"
Alqama ShibliAlqama Shibli
Quote
"ye kyaa ki faqat apni hi tasvir banaao ai naqsh-garo vusat-e-fan kuchh to dikhaao khultaa nahin kyaa laala-o-gul soch rahe hain kuchh tum hi kaho fasl-e-bahaaraan ki havaao chhaa jaae na ehsaas pe zulmat shab-e-gham ki yaaro dil-e-sozaan ki na qindil bujhaao har subh mire khvaab se gul-guna talab hai har shaam ko zid hai ki mujhe ghaaza lagaao rangin hai daamaan-e-sahar kis ke lahu se khaamosh ho kyon daar-o-rasan kuchh to bataao ye farsh-nashin arsh-nashin to nahin 'shibli' sar dil ki bulandi hai na qadmon pe jhukaao"
Alqama ShibliAlqama Shibli

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi