Quote
"ye saliqa bhi hunar mein rakhnaa raushni raahguzar mein rakhnaa yaa to khud mere asar mein rahnaa yaa mujhe apne asar mein rakhnaa masala ghaur-talab hai us mein kuchh andeshe bhi nazar mein rakhnaa kyaa khabar vaqt kahaan le jaae jaane vaalon ko khabar mein rakhnaa dosti jaah-talab aur hamein ek tinkaa bhi na ghar mein rakhnaa par-burida bhi jo uDnaa chaahe us parinde ko nazar mein rakhnaa"
