Quote
"vaan jo kuchh kaabe mein asraar hai allaah allaah so mire but mein numudaar hai allaah allaah dair mein kaabe mein maikhaane mein aur masjid mein jalva-gar sab mein miraa yaar hai allaah allaah us ke har naqsh-e-qadam par karein aashiq sajda but-e-kaafir ki vo raftaar hai allaah allaah husn ke us ki kiyaa tur-e-tajalli dil ko haae kyaa jalva-e-didaar hai allaah allaah na gharaz kufr se na diin se ham ko matlab yaar se apne sarokaar hai allaah allaah shaikh hai tujh ko hi inkaar sanam mere se varna har shakhs ko iqraar hai allaah allaah khauf kyaa daghdagha-e-hashr se hai mujh ko 'muhib' pir-e-man haidar-e-karraar hai allaah allaah"







