SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ek ik lamhe ko palkon pe sajaataa huaa ghar raas aataa hai kise hijr manaataa huaa ghar khvaab ke khadshe se ab niind uDi jaati hai main ne dekhaa hai use chhoD ke jaataa huaa ghar gar zabaan hoti to patthar hi bataataa sab ko kis qadar TuuTaa hai vo khud ko banaataa huaa ghar us kaa ab zikr na kar chhoD ke jaane vaale tu ne dekhaa hi kahaan ashk bahaataa huaa ghar ab use yaad kahun yaas kahun yaa vahshat mujh ko aataa hai nazar khaak uDaataa huaa ghar thak gayaa kyaa mire tulaani safar se 'aadil' so gayaa saath mire mujh ko sulaataa huaa ghar"
Aadil Raza MansooriAadil Raza Mansoori
Quote
"raaste sikhaate hain kis se kyaa alag rakhnaa manzilein alag rakhnaa qaafila alag rakhnaa baad ek muddat ke lauT kar vo aayaa hai aaj to kahaani se haadisa alag rakhnaa jis se ham ne sikhaa thaa saath saath chalnaa hai ab vahi bataataa hai naqsh-e-paa alag rakhnaa kuza-gar ne jaane kyuun aadmi banaayaa hai us ko sab khilaunon se tum zaraa alag rakhnaa lauT kar to aae ho tajrabon ki surat hai par miri kahaani se falsafa alag rakhnaa tum to khuub vaaqif ho ab tumhi bataao naa kis mein kyaa milaanaa hai kis se kyaa alag rakhnaa khvaahishon kaa khamyaaza khvaab kyuun bharein 'aadil' aaj meri aankhon se rat-jagaa alag rakhnaa"
Aadil Raza MansooriAadil Raza Mansoori
Quote
"din ke siine pe shaam kaa patthar ek patthar pe dusraa patthar ye sunaa thaa ki devtaa hai vo mere haq hi mein kyuun huaa patthar daaere bante aur miTte the jhiil mein jab kabhi giraa patthar ab to aabaad hai vahaan basti ab kahaan tere naam kaa patthar ho gae manzilon ke sab raahi de rahaa hai kise sadaa patthar saare taare zamin pe gir jaate zor se main jo pheinktaa patthar naam ne kaam kar dikhaayaa hai sab ne dekhaa hai tairtaa patthar tu use kyaa uThaaegaa 'aadil' 'mir' tak se na uTh sakaa patthar"
Aadil Raza MansooriAadil Raza Mansoori
Quote
"safar ke baa'd bhi mujh ko safar mein rahnaa hai nazar se girnaa bhi goyaa khabar mein rahnaa hai abhi se os ko kirnon se pi rahe ho tum tumhein to khvaab saa aankhon ke ghar mein rahnaa hai havaa to aap ki qismat mein honaa likkhaa thaa magar main aag huun mujh ko shajar mein rahnaa hai nikal ke khud se jo khud hi mein Duub jaataa hai main vo safina huun jis ko bhanvar mein rahnaa hai tumhaare baa'd koi raasta nahin miltaa to tai huaa ki udaasi ke ghar mein rahnaa hai jalaa ke kaun mujhe ab chale kisi ki taraf bujhe diye ko to 'aadil' khanDar mein rahnaa hai"
Aadil Raza MansooriAadil Raza Mansoori
Quote
"chaand taare banaa ke kaaghaz par khush hue ghar sajaa ke kaaghaz par bastiyaan kyuun talaash karte hain log jangal ugaa ke kaaghaz par jaane kyaa ham se kah gayaa mausam khushk pattaa giraa ke kaaghaz par hanste hanste miTaa diye us ne shahr kitne basaa ke kaaghaz par ham ne chaahaa ki ham bhi uD jaaein ek chiDiyaa uDaa ke kaaghaz par log saahil talaash karte hain ek dariyaa bahaa ke kaaghaz par naav suraj ki dhuup kaa dariyaa tham gae kaise aa ke kaaghaz par khvaab bhi khvaab ho gae 'aadil' shakl-o-surat dikhaa ke kaaghaz par"
Aadil Raza MansooriAadil Raza Mansoori
Quote
"jo ashk ban ke hamaari palak pe baiThaa thaa tumhein bhi yaad hai ab tak vo khvaab kis kaa thaa hamesha puchhti rahti hai raaston ki havaa yunhi ruke ho yahaan yaa kisi ne rokaa thaa lagaa huaa hai abhi tak ye jaan ko khaTkaa ki us ne jaate hue kyuun palaT ke dekhaa thaa khabar kise hai kise puchhiye bataae kaun puraane qasr mein kyaa subh-o-shaam jaltaa thaa vajud hai ye kahin bah na jaae lahron mein giraa giraa ke palak aabju ko rokaa thaa fazaaein aisi to 'aadil' kabhi na mahki thiin havaa ke haath pe ye kis kaa naam likkhaa thaa"
Aadil Raza MansooriAadil Raza Mansoori