Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Abu Mohammad Sahar
ye to nahin ki baadiya-paimaa na aaegaa
ai dasht-e-aarzu koi ham saa na aaegaa
chalnaa nasib-e-zist hai yuun hi chale chalo
is raaste mein shahr-e-tamannaa na aaegaa
· · ·
Abu Mohammad Sahar
har khauf har khatar se guzarnaa bhi sikhiye
jiinaa hai gar aziiz to marnaa bhi sikhiye
ye kyaa ki Duub kar hi mile saahil-e-najaat
sailaab-e-khun se paar utarnaa bhi sikhiye
· · ·
Abu Mohammad Sahar
khvaabon kaa nashsha hai na tamannaa kaa silsila
ab rah gayaa hai bas gham-e-duniyaa kaa silsila
aabaad duur duur hain viraan se kuchh maqaam
ye bastiyaan hain yaa koi sahraa kaa silsila
· · ·
Abu Mohammad Sahar
kho ke dekhaa thaa paa ke dekh liyaa
har tarah dil dikhaa ke dekh liyaa
phir khule ibtidaa-e-ishq ke baab
us ne phir muskuraa ke dekh liyaa
· · ·
Abu Mohammad Sahar
ishq ki sai-e-bad-anjaam se Dar bhi na sake
ham tiri chashm-e-inaayat se utar bhi na sake
tu na miltaa magar allaah re mahrumi-e-shauq
jiine vaale tiri ummid mein mar bhi na sake
· · ·
Abu Mohammad Sahar
ab tak ilaaj-e-ranjish-e-be-jaa na kar sake
ik umr mein bhi husn ko apnaa na kar sake
thi ek rasm-e-ishq so ham ne bhi ki adaa
duniyaa mein koi kaam anokhaa na kar sake
· · ·
Abu Mohammad Sahar
chaand kaa raqs sitaaron kaa fusun maangti hai
zindagi phir koi andaaz-e-junun maangti hai
muddatein guzrin ki yakh-basta hue qalb-o-jigar
ghairat-e-ishq magar soz-e-darun maangti hai
· · ·
Abu Mohammad Sahar
sab ik na ik saraab ke chakkar mein rah gae
kyaa pher aadmi ke muqaddar mein rah gae
kyaa dard-e-mushtarak thaa zamir-e-sukut mein
kho kar jo ham udaas se manzar mein rah gae
· · ·
Abu Mohammad Sahar
jab ye daave the ki har dukh kaa mudaavaa ho gae
kis liye tum baais-e-khun-e-tamannaa ho gae
shauq kaa anjaam niklaa hasrat-e-aaghaaz-e-shauq
raaz ban jaane se pahle raaz ifshaa ho gae
· · ·
Abu Mohammad Sahar
phulon ki talab mein thoDaa saa aazaar nahin to kuchh bhi nahin
khud aa ke jo uljhe daaman se vo khaar nahin to kuchh bhi nahin
ho din ki fazaaon kaa sargam yaa bhigti raaton kaa aalam
kitnaa hi suhaanaa ho mausam dildaar nahin to kuchh bhi nahin
· · ·
Abu Mohammad Sahar
kaali ghazal suno na suhaani ghazal suno
mausam ye kah rahaa hai ki dhaani ghazal suno
jaagaa vo dard dil mein ki aansu nikal paDe
barsaa hai aaj TuuT ke paani ghazal suno
· · ·
Abu Mohammad Sahar
kaam har zakhm ne marham kaa kiyaa ho jaise
ab kisi se koi shikva na gilaa ho jaise
umr-bhar ishq ko gham-dida na rakkhe kyunkar
haadisa vo ki abhi kal hi huaa ho jaise
· · ·
Abu Mohammad Sahar
goyaa chaman chaman na thaa
aisaa ujaaD ban na thaa
khuun se tar ravish ravish
rang-e-gul-o-saman na thaa
· · ·
Abu Mohammad Sahar
zamir-e-nau-e-insaani ke din hain
sadaaqat ki jahaanbaani ke din hain
tilism-e-subh-kaazib khud hi TuuTaa
tulua-e-subh-e-nuraani ke din hain
· · ·
Abu Mohammad Sahar
maanaa apni jaan ko vo bhi dil kaa rog lagaaeinge
ahl-e-junun khud kyaa samjhe hain naaseh kyaa samjhaaeinge
shaayad ashk o aah se hi ab baar-e-alam kuchh halkaa ho
ham bhi kareinge shola-fishaani ham bhi lahu barsaaeinge
· · ·
Abu Mohammad Sahar
zindagi khaak-basar shola-ba-jaan aaj bhi hai
tujh ko kho kar tujhe paane kaa gumaan aaj bhi hai
ek be-naam si uljhan hai dil-o-jaan pe muhit
ek gham naam saa ehsaas-e-ziyaan aaj bhi hai
· · ·
Abu Mohammad Sahar
sab ki aankhon mein jo samaayaa thaa
kaun thaa vo kahaan se aayaa thaa
kis ne ki aaj pursish-e-ahvaal
koi apnaa thaa yaa paraayaa thaa
· · ·
Abu Mohammad Sahar
bastiyaan luTti hain khvaabon ke nagar jalte hain
ham vahaan hain ki jahaan shaam-o-sahar jalte hain
dil ke aivaan mein afsurda charaaghon kaa dhuaan
duur kuchh duur vo yaadon ke khanDar jalte hain
· · ·
Abu Mohammad Sahar
vaqt ghamnaak savaalon mein na barbaad karein
kuchh na kuchh sai-e-ilaaj-e-dil-e-naashaad karein
ishq ko husn ke atvaar se kyaa nisbat hai
vo hamein bhuul gae ham to unhein yaad karein
· · ·







