SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAhmad Aqeel(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tere be-rabt bayaanaat se khauf aataa hai mujh ko ab shahr ke haalaat se khauf aataa hai avval avval main samajhtaa thaa masihaa tujh ko munsifaa ab tiri har baat se khauf aataa hai ham junun-khez mizaajon ko nahin taab-e-shuur vaaiz-e-shahr ke khutbaat se khauf aataa hai haan mujhe gosha-nashini se bahut ulfat thi ab magar shorish-e-jazbaat se khauf aataa hai pahle suntaa thaa baDe shauq se afsaana miraa ab use meri hikaayaat se khauf aataa hai meri aankhon mein talaatum tiri aankhon mein sukun bas mujhe aise tazaadaat se khauf aataa hai"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel
Quote
"aalam-e-zaat mein jhaanko koi kab achchhaa hai dekhne vaale samajhte hain ki sab achchhaa hai rone lagtaa huun to aate hain dilaase dene sher paDhtaa huun to kahte hain ajab achchhaa hai jaantaa huun tu kisi aur se mil kar khush hai chal tire pyaar mein marne kaa sabab achchhaa hai jab faqiron ki bhi kirdaar-kushi ki tu ne kaise maanegaa koi teraa nasab achchhaa hai haal puchhaa thaa kisi ne tire didaar ke baad baaein pahlu ko dabaayaa kahaa ab achchhaa hai aakhiri baar milaa baiThaa rahaa saari raat jaane vaale ki inaayaat kaa Dhab achchhaa hai tu vo dipak hai ki shaidaai hazaaron jis ke mujh se be-yaar-o-madadgaar kaa rab achchhaa hai"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel
Quote
"ye tarz-e-takallum hai tiraa ham-nafasaan se tu dekh rahaa hai nazar-e-sud-o-ziyaan se tahqir miri is se sivaa bazm mein kyaa ho main tujh se mukhaatib tu fulaan-ibn-e-fulaan se kyaa maarka-e-tur bapaa hone lagaa hai ik shoala lapaktaa hai mire qalb-e-tapaan se mai-khaana-e-ajmer se vo rang hai mafqud ab shikva mujhe kuchh bhi nahin pir-e-mughaan se farhaad ki masnad pe agar baiThnaa chaahe phir soch ki buniyaad uThaa koh-e-giraan se hanste hue karnaa hai rafu zakhm-e-jigar kaa kuchh kaam nahin bantaa yahaan aah-o-fughaan se shaair huun marungaa to kisi Dhab se marungaa ai dost koi rail guzarti hai yahaan se"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel
Quote
"khud ko har din nai turbat pe khaDaa paate hain ashk-e-khun-rang bhi ab khatm hue chaahte hain bazm-e-hasti mein qayaamat kaa samaan lagtaa hai log uThte hain aur uThte hi chale jaate hain dil ko hai taab-o-tavaan aur na aankhon ko majaal qadam uThte hain to pichhe ki taraf aate hain baat banti nazar aati nahin is aalam mein ab kisi aur hi duniyaa ki havaa khaate hain haadisa ye hai ki mahbub hamein mil na sakaa aur paa sakte nahin vo jinhein ham bhaate hain ab kisi bu se lagaao nahin hotaa ham ko musht-e-khaak-e-dar-e-sarkaar uThaa laate hain"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel
Quote
"chal mire saath zaraa ho ke najaf aate hain ye vo basti hai jahaan ahl-e-sharaf aate hain teri aavaaz pe dauDe hue aaeinge ham jaise azaan pe masjid ki taraf aate hain tu zaraa taal baDhaa kar koi misraa to uThaa kis tarah dekhnaa ham dast-ba-daf aate hain teri aankhein hain chhalakte hue jaamon ki sharaab tu bulaae to ba-sad-shauq-o-shaghaf aate hain tujh ko paane ke liye ham ne chunaa hai sahraa dekh divaane hain aur su-e-hadaf aate hain tez lahje mein koi tujh se mukhaatib ho to ham aankh mein khuun bhare tegh-ba-kaf aate hain"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel
Quote
"un ke firaaq ne mujhe achchhaa sila diyaa jo dikh nahin rahaa thaa vo sab kuchh dikhaa diyaa pahle lagi nasim-e-sahar muzhda-e-visaal is jhonke ne phir aankhon se dariyaa bahaa diyaa ik khvaab mushkilaat mein hotaa hai saath saath ik khvaab ne hayaat kaa har gham bhulaa diyaa main sochtaa rahaa ki karun kaise lab-kushaai ashkon ne tarjumaani ki dukhDaa sunaa diyaa kuchh aur hi nazaara thaa shahr-e-huzur kaa jo aks thaa dimaagh mein yaksar miTaa diyaa jab ban nahin rahi thi koi taiba ki sabil kaaghaz qalam uThaayaa to rasta banaa diyaa"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel
Quote
"main takhayyul ki salibon pe jo maslub huaa phir kahin jaa ke zaraa saahib-e-uslub huaa jura-e-ashk piyaa mast huaa raqs kiyaa aisaa kaDvaa na miri jaan koi mashrub huaa tere harjaai-pane kaa ye huaa radd-e-amal mujhe mahbub milaa hai na tujhe khuub huaa bar-sar-e-tur bhi tu ne ye tahayyur baanTaa diid ki jot jagaai vahin mahjub huaa lazzat-e-vasl mein niklaa huun bayaabaanon ki samt log paagal hain mujhe kahte hain majzub huaa ek arzi pe mujhe des-nikaalaa ki naved itni ujlat se to iblis na maatub huaa nikhat-e-vasl se lauT aati hai aankhon ki chamak vaise raushan to nahin dida-e-yaaqub huaa"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel
Quote
"un ki har baat hi urdu mein sanad hai had hai meraa likkhaa huaa har lafz hi radd hai had hai nazr-e-tashkik na kar paak-nigaahi ko miri tujh se milnaa bhi koi khvaahish-e-bad hai had hai har nae panchhi ko uDne nahin deti duniyaa har kisi dil mein bharaa kina-o-kad hai had hai mujh ko dekhaa jo sar-e-bazm to munh pher liyaa apne vaa'don se ye e'raaz-e-amad hai had hai pahle khud hi mire khvaabon ko sabotaazh kiyaa ab zarurat hai miri aur ashad hai had hai yuun to ahbaab ki taadaad ziyaada hai magar itni mushkil mein rasad hai na madad hai had hai qais ke dar kaa main sajjaada-nashin huun lekin log kahte hain ki tu ahl-e-khirad hai had hai"
Ahmad AqeelAhmad Aqeel