SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAkhtar Lakhnvi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"shahr kaa shahr salibon se sajaa hai ab ke un ki aamad kaa har andaaz nayaa hai ab ke qaafila qaafila maqtal ki taraf jaaeinge log shokh pahle se bahut rang-e-hinaa hai ab ke ye to sach hai vo isi raah se guzreinge magar koi dekhe na inhein hukm huaa hai ab ke aao ji bhar ke gale mil lein rafiqo ham aaj qatl ki shakl mein inaam-e-vafaa hai ab ke mausam-e-gul tire sadqe tiri aamad ke nisaar dekh mujh se miraa saaya bhi judaa hai ab ke ek qatra nahin deti hai guzar jaati hai jo bhi uThti hai ghaTaa aisi ghaTaa hai ab ke dosto zikr-e-rukh-e-yaar se ghaafil na raho dasht-e-zulmaat mein mahtaab luTaa hai ab ke"
Akhtar LakhnviAkhtar Lakhnvi
Quote
"dil ke har zakhm ko palkon pe sajaayaa to gayaa aap ke naam pe ik jashn manaayaa to gayaa mai-e-kohna na sahi khun-e-tamannaa hi sahi ek paimaana mire saamne laayaa to gayaa khair apnaa nahin baaghi hi samajh kar ham ko teri mahfil mein kisi taur bulaayaa to gayaa ab ye baat aur ki zindaan mein bhi zanjirein hain ham ko gulshan ki balaaon se bachaayaa to gayaa daar pe chaDh ke bhi khush hain ki hamein is dil mein is bahaane hi sahi apnaa banaayaa to gayaa ab ye qismat hi na jaage to kare kyaa koi roz-o-shab ik nayaa tufaan uThaayaa to gayaa kyaa hai manzil se agar ho gae ham duur 'akhtar' rahbaron ke hamein halqe se nikaalaa to gayaa"
Akhtar LakhnviAkhtar Lakhnvi
Quote
"dekho us ne qadam qadam par saath diyaa begaane kaa 'akhtar' jis ne ahd kiyaa thaa tum se saath nibhaane kaa aaj hamaare qadmon mein hai kaahkashaan shahr-e-mahtaab kal tak log kahaa karte the khvaab use divaane kaa tere lab-o-rukhsaar ke qisse tere qad-o-gesu ki baat saamaan ham bhi rakhte hain tanhaai mein dil bahlaane kaa tum bhi sunte to ro dete ham bhi kahte to rote jaan ke ham ne chhoD diyaa hai ik hissa afsaane kaa kuchh to hai jo apnaayaa hai ham ne ku-e-malaamat ko vaise aur tariqa bhi thaa 'akhtar' dil bahlaane kaa"
Akhtar LakhnviAkhtar Lakhnvi
Quote
"dil mein Tisein jaag uThti hain pahlu badalte vaqt bahut apnaa zamaana yaad aataa hai suraj Dhalte vaqt bahut vo parcham vo sar ke turre aur vo safine apne the jin ko dekh ke sho'le bhi roe the jalte vaqt bahut un shishon ke rezon kaa marham hai apne zakhmon par lamha lamha jo TuuTe talvaarein chalte vaqt bahut pal bhar mein paani hote dekhe hain sanam kirdaaron ke ham kaise kah dein lagtaa hai sang pighalte vaqt bahut suune kitne baam hue kitne aangan be-nur hue chaand se chehre yaad aate hain chaand nikalte vaqt bahut ab har ghar ki chaukhaT ham par hansti hai to raaz khulaa phuuT phuuT kar roi thiin kyuun dahlizein chalte vaqt bahut do naslon ki kashti thi vo pichhle dinon jo Duub gai bhige jismon vaalo lagegaa tum ko sanbhalte vaqt bahut"
Akhtar LakhnviAkhtar Lakhnvi