SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAkhtar Nazmi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"koi jaise dariyaa pe pyaasaa nahin kitaabein to hain paDhne vaalaa nahin ba-zaahir bahut tez hai raushni magar mere ghar mein ujaalaa nahin mujhe ye khayaal aaj kyon aa gayaa kabhi apne baare mein sochaa nahin sab ik dusre se juDe hain magar kisi ko kisi par bharosaa nahin nigaahon pe hain aisi paabandiyaan ki apni taraf dekh saktaa nahin bahut bhiiD hai lekin is bhiiD mein koi mujh ko chhu kar guzartaa nahin sadaa dijiye dastakein dijiye vo darvaaza andar se khultaa nahin ise meri shohrat samajh lijiye kisi ne miraa naam puchhaa nahin samundar ko 'nazmi' buraa kyon kaho tumhaaraa safina to Duubaa nahin"
Akhtar NazmiAkhtar Nazmi
Quote
"jo bhi mil jaataa hai ghar-baar ko de detaa huun yaa kisi aur talabgaar ko de detaa huun dhuup ko detaa huun tan apnaa jhulasne ke liye aur saaya kisi divaar ko de detaa huun jo duaa apne liye maangni hoti hai mujhe vo duaa bhi kisi gham-khvaar ko de detaa huun mutmain ab bhi agar koi nahin hai na sahi haq to main pahle hi haqdaar ko de detaa huun jab bhi likhtaa huun main afsaanaa yahi hotaa hai apnaa sab kuchh kisi kirdaar ko de detaa huun khud ko kar detaa huun kaaghaz ke havaale aksar apnaa chehra kabhi akhbaar ko de detaa huun meri dukaan ki chizein nahin bikti 'nazmi' itni tafsil kharidaar ko de detaa huun"
Akhtar NazmiAkhtar Nazmi
Quote
"khayaal usi ki taraf baar baar jaataa hai mire safar ki thakan kaun utaar jaataa hai ye us kaa apnaa tariqa hai daan karne kaa vo jis se shart lagaataa hai haar jaataa hai ye khel meri samajh mein kabhi nahin aayaa main jiit jaataa huun baazi vo maar jaataa hai main apni niind davaaon se qarz letaa huun ye qarz khvaab mein koi utaar jaataa hai nasha bhi hotaa hai halkaa saa zahr mein shaamil vo jab bhi miltaa hai ik Dank maar jaataa hai main sab ke vaaste kartaa huun kuchh na kuchh 'nazmi' jahaan jahaan bhi miraa ikhtiyaar jaataa hai"
Akhtar NazmiAkhtar Nazmi
Quote
"ye aane vaalaa zamaana hamein bataaegaa vo ghar baanegaa apnaa ki ghar basaaegaa main saare shahr mein badnaam huun khabar hai mujhe vo mere naam se kyaa faaeda uThaaegaa phir us ke baad ujaale kharidne honge zaraa si der mein suraj to Duub jaaegaa hai sair-gaah ye kachchi munDer saanpon ki yahaan se kaise koi raasta baanegaa sunaai deti nahin ghar ke shor mein dastak main jaantaa huun jo aaegaa lauT jaaegaa main soch bhi nahin saktaa thaa un uDaanon mein vo apne gaanv ki miTTi ko bhuul jaaegaa hazaaron rog to paale hue ho tum 'nazmi' bachaane vaalaa kahaan tak tumhein bachaaegaa"
Akhtar NazmiAkhtar Nazmi
Quote
"likhaa hai mujh ko bhi likhnaa paDaa hai jahaan se haashiya chhoDaa gayaa hai agar maanus hai tum se parinda to phir uDne ko par kyuun toltaa hai kahin kuchh hai kahin kuchh hai kahin kuchh miraa saamaan sab bikhraa huaa hai main jaa baiThun kisi bargad ke niche sukun kaa bas yahi ek raasta hai qayaamat dekhiye meri nazar se savaa neze pe suraj aa gayaa hai shajar jaane kahaan jaa kar lagegaa jise dariyaa bahaa kar le gayaa hai abhi to ghar nahin chhoDaa hai main ne ye kis kaa naam takhti par likhaa hai bahut rokaa hai is ko pattharon ne magar paani ko raasta mil gayaa hai"
Akhtar NazmiAkhtar Nazmi