Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Altaf Hussain Hali
junun kaar-farmaa huaa chaahtaa hai
qadam dasht paimaa huaa chaahtaa hai
dam-e-girya kis kaa tasavvur hai dil mein
ki ashk ashk dariyaa huaa chaahtaa hai
· · ·
Altaf Hussain Hali
khubiyaan apne mein go be-intihaa paate hain ham
par har ik khubi mein daagh ik aib kaa paate hain ham
khauf kaa koi nishaan zaahir nahin afaaal mein
go ki dil mein muttasil khauf-e-khudaa paate hain ham
· · ·
Altaf Hussain Hali
kabk o qumri mein hai jhagDaa ki chaman kis kaa hai
kal bataa degi khizaan ye ki vatan kis kaa hai
faisla gardish-e-dauraan ne kiyaa hai sau baar
marv kis kaa hai badakhshaan o khutan kis kaa hai
· · ·
Altaf Hussain Hali
kah do koi saaqi se ki ham marte hain pyaase
gar mai nahin de zahr hi kaa jaam balaa se
jo kuchh hai so hai us ke taghaaful ki shikaayat
qaasid se hai takraar na jhagDaa hai sabaa se
· · ·
Altaf Hussain Hali
dil ko dard-aashnaa kiyaa tu ne
dard-e-dil ko davaa kiyaa tu ne
tab-e-insaan ko di sirisht-e-vafaa
khaak ko kimiyaa kiyaa tu ne
· · ·
Altaf Hussain Hali
vaan agar jaaein to le kar jaaein kyaa
munh use ham jaa ke ye dikhlaaein kyaa
dil mein hai baaqi vahi hirs-e-gunaah
phir kiye se apne ham pachhtaaein kyaa
· · ·
Altaf Hussain Hali
haqiqat mahram-e-asraar se puchh
mazaa angur kaa mai-khvaar se puchh
vafaa aghyaar ki aghyaar se sun
miri ulfat dar o divaar se puchh
· · ·
Altaf Hussain Hali
baat kuchh ham se ban na aai aaj
bol kar ham ne munh ki khaai aaj
chup par apni bharam the kyaa kyaa kuchh
baat bigDi bani banaai aaj
· · ·
Altaf Hussain Hali
go javaani mein thi kaj-raai bahut
par javaani ham ko yaad aai bahut
zer-e-burqaa tu ne kyaa dikhlaa diyaa
jama hain har su tamaashaai bahut
· · ·
Altaf Hussain Hali
dhuum thi apni paarsaai ki
ki bhi aur kis se aashnaai ki
kyuun baDhaate ho ikhtilaat bahut
ham ko taaqat nahin judaai ki
· · ·
Altaf Hussain Hali
jiite ji maut ke tum munh mein na jaanaa hargiz
dosto dil na lagaanaa na lagaanaa hargiz
ishq bhi taak mein baiThaa hai nazar-baazon ki
dekhnaa sher se aankhein na laDaanaa hargiz
· · ·
Altaf Hussain Hali
koi mahram nahin miltaa jahaan mein
mujhe kahnaa hai kuchh apni zabaan mein
qafas mein ji nahin lagtaa kisi tarah
lagaa do aag koi aashiyaan mein
· · ·
Altaf Hussain Hali
dil se khayaal-e-dost bhulaayaa na jaaegaa
siine mein daagh hai ki miTaayaa na jaaegaa
tum ko hazaar sharm sahi mujh ko laakh zabt
ulfat vo raaz hai ki chhupaayaa na jaaegaa
· · ·
Altaf Hussain Hali
haq vafaa ke jo ham jataane lage
aap kuchh kah ke muskuraane lage
thaa yahaan dil mein taan-e-vasl-e-adu
uzr un ki zabaan pe aane lage
· · ·
Altaf Hussain Hali
ishq ko tark-e-junun se kyaa gharaz
charkh-e-gardaan ko sukun se kyaa gharaz
dil mein hai ai khizr gar sidaq-e-talab
raah-rau ko rah-numon se kyaa gharaz
· · ·
Altaf Hussain Hali
hashr tak yaan dil shakebaa chaahiye
kab milein dilbar se dekhaa chaahiye
hai tajalli bhi naqaab-e-ru-e-yaar
us ko kin aankhon se dekhaa chaahiye
· · ·
Altaf Hussain Hali
main to main ghair ko marne se ab inkaar nahin
ik qayaamat hai tire haath mein talvaar nahin
kuchh pataa manzil-e-maqsud kaa paayaa ham ne
jab ye jaanaa ki hamein taaqat-e-raftaar nahin
· · ·
Altaf Hussain Hali
ghar hai vahshat-khez aur basti ujaaD
ho gai ek ik ghaDi tujh bin pahaaD
aaj tak qasr-e-amal hai naa-tamaam
bandh chuki hai baar-haa khul khul ke paaD
· · ·
Altaf Hussain Hali
hai ye takiya tiri ataaon par
vahi israar hai khataaon par
rahein naa-aashnaa zamaane se
haq hai teraa ye aashnaaon par
· · ·
Altaf Hussain Hali
ranj aur ranj bhi tanhaai kaa
vaqt pahunchaa miri rusvaai kaa
umr shaayad na kare aaj vafaa
kaaTnaa hai shab-e-tanhaai kaa
· · ·
Altaf Hussain Hali
ab vo aglaa saa iltifaat nahin
jis pe bhule the ham vo baat nahin
mujh ko tum se e'timaad-e-vafaa
tum ko mujh se par iltifaat nahin
· · ·
Altaf Hussain Hali
buri aur bhali sab guzar jaaegi
ye kashti yunhi paar utar jaaegi
milegaa na gulchin ko gul kaa pataa
har ik pankhuDi yuun bikhar jaaegi
· · ·
Altaf Hussain Hali
gham-e-furqat hi mein marnaa ho to dushvaar nahin
shaadi-e-vasl bhi aashiq ko sazaa-vaar nahin
khub-rui ke liye zishti-e-khu bhi hai zarur
sach to ye hai ki koi tujh saa tarah-daar nahin
· · ·
Altaf Hussain Hali
us ke jaate hi ye kyaa ho gai ghar ki surat
na vo divaar ki surat hai na dar ki surat
kis se paimaan-e-vafaa baandh rahi hai bulbul
kal na pahchaan sakegi gul-e-tar ki surat
· · ·







