Quote
"jahaan-e-rang-o-bu mein thi ye viraani magar kab tak hamaare pyaar ki khushbu na pahunchi thi yahaan jab tak tumhaari maslahat-koshi ko hai meraa salaam ai dil unhein chaahaa unhein puujaa magar dekhaa kahaan ab tak azal ki pyaas honTon par liye phirtaa rahaa naadaan uThaayaa jaam kitnon ne zi-bas pahunchaa kisi lab tak chalo achchhaa huaa tum ne to saare daagh dho Daale mire daaman pe ye dhabbaa rahegaa zau-fishaan kab tak khamoshi ne miri kyaa kah diyaa tujh se ki ai dauraan thame aansu na shabnam ke garebaan-chaak gul kab tak ghalat hai tujh se ummid-e-vafaa ai fitna-e-dauraan yunhi baaqi hain hangaame rahe tu mehrbaan jab tak 'anis' is kaifiyat mein ye ghazal likhnaa qayaamat hai lagegi aag jab dil mein to pahunchegaa dhuaan lab tak"
A
Anees Sultana






