SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAnil Sharma Tanha(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"bahut sukun thaa gham thaa mire fasaane mein ye shisha Tuut gayaa dekhne dikhaane mein ye sach hamaare sahaare se chal nahin paayaa tabhi to Tuut gayaa jhuuT ik bahaane mein bahut ghurur thaa in bijliyon ko apne par shikast khaa gai phir bhi is aashiyaane mein hamaare daur mein insaaniyat bhi bebas hai bahut sukun hai phir bhi sharaab-khaane mein bahaarein DhunDh rahi thiin Thikaane gulshan mein juTi thiin titliyaan maahaul ik banaane mein vo baat jis kaa zamaane mein koi zikr nahin vo baat aa gai kaise mire fasaane mein hamaare baa'd hamein DhunDhne chali duniyaa hamaaraa koi badal hi nahin zamaane mein hamaare sach ko koi raasta nahin detaa ye phaT na jaae kahin oDhne bichhaane mein chalo sukun se bad-naamiyaan hi tai kar lein isi hujum ke tum bhi to ho nishaane mein"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"saath ab un ke shaam-o-sahar jaaeinge vo akele nahin apne ghar jaaeinge ab to Dasne lage hain andhere mujhe raushni mein jo nikle to mar jaaeinge ashk yuun to kabhi mere bahte nahin dariyaa dil ke sabhi mere bhar jaaeinge tujh ko to 'aashiqi kaa sahaaraa bhi hai jin kaa kuchh bhi nahin vo bikhar jaaeinge aap to aaj tak itni dahshat mein hain khud bacheinge tabhi to udhar jaaeinge aaina un ko dikhtaa nahin ab kahin 'aks se apne khud vo sanvar jaaeinge maut kaa Dar kahaan maut se kam hai ab aap zinda hi kab hain jo mar jaaeinge un ke jaane kaa manzar tamaasha nahin sochne se mire kyaa Thahar jaaeinge tanhaa ho kar bhi main ek lashkar mein huun jin kaa koi nahin vo to Dar jaaeinge"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"ruuh ke us chhor tak honTon kaa ye til jaaegaa saath chal kar ab mire meraa hi qaatil jaaegaa aa ke din mein kyaa karoge raat mein aanaa kabhi tirgi se aap ko meraa pata mil jaaegaa jab se vo niklaa nahin puuraa chaman hai muntazir main gar us ke saath huun puuraa chaman khil jaaegaa mujh ko samjhaate raheinge log aakhir kab talak kaise bach kar main rahun varna to ye dil jaaegaa doston ne kis liye mujh par kiyaa itnaa karam itnaa gahraa ghaav hai kyaa khud-ba-khud sil jaaegaa"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"ham ko bhi to husn kaa didaar honaa chaahiye gar ho tum bimaar to bimaar honaa chaahiye jhuuT sach ko aaj to pahchaannaa mushkil huaa jhuuT kaa sach kaa alag akhbaar honaa chaahiye buz-dilon ko is jahaan mein puchhtaa koi nahin tujh ko duniyaa se na yuun bezaar honaa chaahiye is mein hai kis ki taraqqi is mein aisaa kyaa hunar har bashar ke paas bas ghar-baar honaa chaahiye apne dushman ke liye bhi hai miraa ye mashvara tiir jab chhoDo jigar ke paar honaa chaahiye tum siyaasat ke bharose aaj tak luTte rahe peD koi ho magar phaldaar honaa chaahiye tum hi 'tanhaa' ab to duniyaa mein akele rah gae tum ko is duniyaa se ab hamvaar honaa chaahiye"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"mire saath rishta banaae hue hain jo duniyaa ke Dar se sataae hue hain kahaani mein rakh kar haqiqat ki baatein ham un ki kahaani sunaae hue hain hamin ne sikhaai hain baatein vafaa ki hamin se vo daaman bachaae hue hain vo hain kitne hairaan ghar mere aa kar ki jaise vo pahle bhi aae hue hain vo samjhaa rahe hain gham-e-zindagi ko jo khud choT siine pe khaae hue hain ye divaane shaayad hain us ki gali ke jo nazron se mujh ko giraae hue hain vo khaamosh nazron ko meraa ishaara sabhi mujh pe nazrein jamaae hue hain main tanhaa thaa pahle bhi tanhaa rahungaa vo mujh se kyon daaman bachaae hue hain"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"khud hi ko aaj khud se milaane mein rah gayaa main un ke naaz nakhre uThaane mein rah gayaa vo bhi to ik savaab thaa kartaa main aur kyaa pyaason ko main sharaab pilaane mein rah gayaa aaina us ne toD diyaa mere saamne main dil ko apne shisha banaane mein rah gayaa kartaa rahaa fuzul hi baatein ghumaav-daar main puuraa qissa us ko sunaane mein rah gayaa thi itni tez aandhiyaan basti mein aaj bhi main aaj phir charaagh jalaane mein rah gayaa tu ne to 'tanhaa' aaj bhi sochaa nahin hai kuchh un ke liye hi ashk bahaane mein rah gayaa"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"mai-kade viraan raaton ke havaale ho gae kaise kaise log ab allaah vaale ho gae jab tumhaare bachchon ne bhi haath hi phailaa diye raaste ke is liye tum khud nivaale ho gae tum ne dekhaa hi nahin un ghar jalaane vaalon ko zulmatein itni baDhin raushan ujaale ho gae teri ulfat mein bahut bhaTkaa huun main to raat-din tere dil ke raaste sab dekhe-bhaale ho gae jin ke chehre par hamesha jhuuT ki baarish rahi vaqt aisaa hai vahi ab baat vaale ho gae tere yaaron ne tujhe kyon vaqt pe dhoka diyaa kyaa bas itni baat hai vo paise vaale ho gae kar rahe ho kyon ishaare mujh ko itni duur se rang ujle hain magar ye dil ke kaale ho gae kyaa khabar thi ham ko bhi vo itne bhole-bhaale hain pair mein uljhe hue makDi ke jaale ho gae tu ne ye lambaa safar tanhaa guzaaraa kis liye itni duuri se mire pairon mein chhaale ho gae"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha
Quote
"baaton baaton mein qasam apni khilaane vaale mauqa milte hi magar tum ko giraane vaale mujhe ye lagtaa hai koi to rahe paas mire apne haathon se parindon ko khilaane vaale ab to maikash bhi nahin jaate hain maikhaane mein shahr mein kam nahin aankhon se pilaane vaale mujh ko is shahr ki tahzib nahin bhaati hai ab yahaan milte nahin haath milaane vaale tujh ko andaaza nahin hai miri barbaadi kaa mujh ko maikhaane ke aadaab sikhaane vaale jo ujaale se bahut duur bahut duur rahe kyaa ghazab shai hai ye aaina dikhaane vaale zindagi tu ne hamein chain se rahne na diyaa ham ko aate nahin andaaz zamaane vaale"
Anil Sharma TanhaAnil Sharma Tanha