Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Anwar Ansari
apne hi ghar ke fard agar dushmani karein
kis aasare pe ham ye basar zindagi karein
yaaro qadam qadam pe andhere hain hukmraan
suraj kidhar ugaaein kahaan raushni karein
· · ·
Anwar Ansari
vo jo tere qarib hotaa hai
kis qadar khush-nasib hotaa hai
jis ki khaatir na ho duaa maan ki
vahi sab se gharib hotaa hai
· · ·
Anwar Ansari
kisi ki tum dil-aazaari na karnaa
mohabbat mein adaakaari na karnaa
miri fitrat vafaa par jaan denaa
tiraa sheva vafaadaari na karnaa
· · ·
Anwar Ansari
kam-basirat azaab kahte hain
ziist ko ham savaab kahte hain
ham ne aabaad kar diye sahraa
log khaana-kharaab kahte hain
· · ·
Anwar Ansari
ab 'mir' jaisaa koi sukhan-var na aaegaa
'iqbaal' saa adab mein payambar na aaegaa
husn-e-suluk se mire qaail hue hain dost
ilzaam-e-bevafaai mire sar na aaegaa
· · ·
Anwar Ansari
tiri talaash ne rakhaa hai dar-ba-dar mujh ko
tire sivaa nahin aataa koi nazar mujh ko
main Duub jaataa huun jab bhi tire tasavvur mein
jahaan ki phir nahin rahti hai kuchh khabar mujh ko
· · ·
Anwar Ansari
is tarah tujh ko chaahtaa huun main
zindagi jaise maangtaa huun main
us ke baare mein kyaa bataaungaa
khud ko bhi kam hi jaantaa huun main
· · ·
Anwar Ansari
adaa-e-rasm-e-mohabbat khataa si lagti hai
hamein to apni vafaa bhi sazaa si lagti hai
safar mein dhuup kaa ehsaas tak nahin hotaa
hamaare sar pe kisi ki duaa si lagti hai
· · ·
Anwar Ansari
kabhi su-e-manzil jo ham dekhte hain
tumhaare hi naqsh-e-qadam dekhte hain
tiri aankh mein apnaa gham dekhte hain
zamaane mein aisaa to kam dekhte hain
· · ·







