Quote
"naa-karda gunaahon ki sazaa jhel rahe hain yuun lagtaa hai ghairon kaa kiyaa jhel rahe hain parvarda-e-vahshat hain magar vaqt ke haathon ik 'umr se shaadaab fazaa jhel rahe hain dil ab bhi tiri or se bad-zan nahin hotaa muddat se tiraa harf-e-du'aa jhel rahe hain kyaa un ki khataaon pe bhi imkaan-e-sazaa hai chup-chaap jo qismat kaa likhaa jhel rahe hain zindaan ki dahliz pe baiThe hue qaidi aazaad-khayaali ki sazaa jhel rahe hain ye daur-e-judaai to bahut sakht hai lekin hai aap ki hasrat to bajaa jhel rahe hain us shakhs se hai dil ko tasalli ki umidein jis ko ye khabar bhi nahin kyaa jhel rahe hain"







