SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAshok Mizaj Badr(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"ham log apni raah ki divaar ho gae yaani ki maslahat mein giraftaar ho gae ab to buland aur zaraa hausla karo patthar jo mel ke the vo divaar ho gae tufaan mein ham ko chhoD ke jaane kaa shukriya ab apne haath paanv hi patvaar ho gae ghar ko giraane vaale siyaasi mizaaj the gham mein sharik ho ke vo gham-khvaar ho gae parde ki baat parde pe khul kar jo aa gai bachche samay se pahle samajhdaar ho gae itni zaraa si baat pe hairaan hai mizaaj kaaghaz ke phuul kaise mahak-daar ho gae"
Ashok Mizaj BadrAshok Mizaj Badr
Quote
"vasl ki to kabhi furqat ki ghazal likhte hain ham to shaair hain mohabbat ki ghazal likhte hain paDhiye un ko kisi kaaghaz pe nahin sarhad par apne khuun se jo shahaadat ki ghazal likhte hain rahnumaa apne vatan ke bhi hain kitne shaatir vo shahaadat pe siyaasat ki ghazal likhte hain tum ne mazdur ke chhaale nahin dekhe shaayad apne haathon pe vo mehnat ki ghazal likhte hain mulk aise bhi hain kuchh khaas paDosi apne sarhadon pe jo adaavat ki ghazal likhte hain ham sabhi chain se sote hain magar raaton mein fauj vaale to hifaazat ki ghazal likhte hain shauq likhne kaa bahut ham ko bhi hai lekin ham sone ke pen se ghurbat ki ghazal likhte hain"
Ashok Mizaj BadrAshok Mizaj Badr
Quote
"zindagi thaam liyaa karte hain baDh kar lamhe vaqt aane pe badalte hain muqaddar lamhe aa bhi jaa tujh ko bulaate hain ye kah kar lamhe phir na aaeinge bahaaron ke moattar lamhe har ghaDi ek saa mausam bhi kahaan rahtaa hai hain kahin phuul se komal kahin patthar lamhe sab mein yaari hain yahaan dosti yaari sukh dukh kis ne dekhe hain yahaan umr se baDh kar lamhe zindagi aaj bhi masruf bahut hai lekin ham chale aae tire paas churaa kar lamhe ek naa-chiz ko fankaar banaa dete hain haasil-e-umr huaa karte hain dam-bhar lamhe"
Ashok Mizaj BadrAshok Mizaj Badr
Quote
"kyaa khabar thi ranjishein hi darmiyaan rah jaaeingi ham gale milte raheinge duriyaan rah jaaeingi ye nagar bhi kaar-khaanon kaa nagar ho jaaegaa in darakhton ki jagah kuchh chimniyaan rah jaaeingi dhire dhire shor sannaaTon mein gum ho jaaegaa aur saDkon par chamakti batiyaan rah jaaeingi raat jis dam apne kambal mein chhupaa legi hamein haath malti aur ThiThurti sardiyaan rah jaaeingi ham ne sochaa thaa ki un kaa haath hogaa haath mein kyaa khabar thi haath mein bas chiTThiyaan rah jaaeingi ye tamaasha aur thoDi der tak hogaa abhi phir yahaan bas khaali khaali kursiyaan rah jaaeingi aag thoDi der ko bujh jaaegi lekin mizaaj raakh ke niche dabi chingaariyaan rah jaaeingi"
Ashok Mizaj BadrAshok Mizaj Badr