Quote
"miraa vujud nahin hai faqat jahaan ke liye mujhe khudaa ne banaayaa hai laa-makaan ke liye miraa vujud zamin ki hadon talak hi nahin miraa safar to musalsal hai do-jahaan ke liye ye mere tajrabe hi manzilon ke rahbar hain main sochtaa hi nahin mir-e-kaarvaan ke liye havaa-e-garm ne shaakhein tabaah kar Daalin lagaae the jo shajar ham ne saaebaan ke liye uDaa diye hain na jaane kahaan havaa ne sab jo tinke chun liye the main ne aashiyaan ke liye zamaane ke liye rahbar se kam nahin hai tu tiraa vujud nahin hai faqat fughaan ke liye visaal-e-yaar ki khvaahish mein dil taDaptaa hai zamin jaise taDapti hai aasmaan ke liye miri hayaat to kuchh bhi nahin tumhaare baghair tumhaaraa 'ishq zaruri hai qalb-o-jaan ke liye ye rang-o-bu ye gulistaan ye khushnumaa manzar tumhaaraa husn hi kaafi hai daastaan ke liye main is jahaan mein huun lekin phir ik jahaan hai aur ye zindagi hai haqiqat mein us jahaan ke liye tu rang-o-bu ke nazaaron mein kho na jaa 'ashhar' ye rang-o-bu hain faqat tere imtihaan ke liye"







