SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBadr Wasti(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"vo jab degaa jo kuchh degaa degaa apne vaalon ko vaise bhi kuchh miltaa kab hai dhuup mein tapne vaalon ko diin dharm mahfuz hain lekin tasviron juzdaanon mein vaqt paDe to le aate hain maalaa japne vaalon ko khvaabon ki baarish to saare zakhm hare kar deti hai niind kahaan se aaegi phir bhige sapne vaalon ko akhbaaron ki surkhi bannaa sab ke bas ki baat nahin unchaa mol chukaanaa paDtaa hai roz ke chhapne vaalon ko jaane kaise aise vaise aage baDhte jaate hain paas se jaa kar kis ne dekhaa 'badr' panapne vaalon ko"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"zehan aur dil mein jo rahti hai chubhan khul jaae aae kaaghaz pe to salmaa-e-sukhan khul jaae qatra-e-dida-e-namnaak masihaai kare fikr ke band darichon ki shikan khul jaae main use roz manaataa huun sahar hone tak mere allaah kisi shab to ye dulhan khul jaae ek khushbu si hai jo ruuh ki gahraai mein lafz mil jaaein to maani kaa chaman khul jaae is tarah jaage kisi roz ghazal kaa jaadu jaise masti mein piyaa se koi jogan khul jaae nim-shab ijz-o-samaajat se karun dast daraaz lafz dhone ke liye aankhon mein saavan khul jaae sar-kashi aur tajaavuz se bachaanaa yaarab mere ehsaas mein gar yaas kaa phan khul jaae"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"dhaani surmai sabz gulaabi jaise maan kaa aanchal shaam kaise kaise rang dikhaae roz labaalab chhaagal shaam charvaahe ko ghar pahunchaae pahre-daar se ghar chhuDvaae aate jaate chheDti jaae darvaaze ki saankal shaam suraj ke paapon ki gaThri sar par laade thaki thaki si khaamoshi se munh laTkaae chal deti hai paidal shaam behis duniyaa-daaron ko ho duniyaa ki har chiiz mubaarak gham-zaadon kaa sarmaayaa hain aansu aahein botal shaam suraj ke jaate hi apne rang pe aa jaati hai duniyaa jaane-bujhe chup rahti hai shab ke moD pe komal shaam saanson ki pur-shor Dagar pe raqs karegaa sannaaTaa chupke se jis roz achaanak chhankaa degi paael shaam 'badr' tumhein kyaa haal sunaain itnaa hi bas kaafi hai tanhaai mein kaT jaati hai jaise-taise makhmal shaam"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"kis ko fursat kaun paDhegaa chehre jaisaa sachchaa sach roz adaalat mein chaltaa hai khoTaa sikka jhuTaa sach unche khvaabon ke taajir se koi nahin ye puchhne vaalaa kaun javaanon ke chehron par likh detaa hai piilaa sach ham se kyaa puchhoge saahab shahr kabhi kaa TuuT chukaa shaam ki maili chaadar par hai TukDe TukDe phailaa sach un aankhon mein mustaqbil ke khvaab bhalaa kyaa utreinge jin aankhon ne dekh liyaa hai vaqt se pahle niilaa sach us ke beTaa beTi college usi taraf se jaate hain raat ko jis ne beach saDak par pheinkaa hai ik giilaa sach sab ne ham ko khush-haali ke khvaab dikhaa kar chhoD diyaa galiyon galiyon ghuum rahaa hai dhuul mein lipTaa nangaa sach 'badr' tumhaari raah mein aa kar duniyaa jaal bichhaaegi jo kahte ho kahte rahnaa chhoD na denaa likhnaa sach"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"phal darakhton se gire the aandhiyon mein thaal bhar mere hisse mein magar aae nahin rumaal bhar pahle saare panchhiyon ko par milein parvaaz ke phir shikaari se kahe koi ki apnaa jaal bhar mausamon ki sakhtiyaan to baadalon si uD gaiin aaj bhi mahfuz kab hai dil kaa shisha baal-bhar dhund hi chhaai rahi aankhon mein tum se kyaa kahein ab to yaaro ek saa rahtaa hai mausam saal-bhar dhuup ki man-maaniyon par muskuraate the kabhi in tanaavar peDon par patte bache hain Daal-bhar ek shai kaa naam jo batlaae us kaa naam ho apni galiyon mein nahin hai mumbai si chaal bhar aur ham se kyaa taqaaza hai tiraa asr-e-ravaan jaan-o-tan kaa naam hai bas haDDiyon par khaal-bhar"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"buraa ho kar bhi vo achchhaa bahut hai vo jaisaa hai nahin bantaa bahut hai namak to kam nahin hai roz-o-shab mein svaad-e-zindagi phikaa bahut hai fareb-e-saadgi hai yaa sharaarat main ye samjhaa ki vo meraa bahut hai tujhe sochaa kiyaa shab-bhar sanvaaraa nahin aisaa nahin vaisaa bahut hai usi se baat karnaa hai ki jis ne hamein samjhaa nahin puchhaa bahut hai hamein kuchh der mein manzil milegi hamaaraa raasta sidhaa bahut hai ye banda kaun hai kuchh 'badr' jaisaa vahi jo bhiiD mein tanhaa bahut hai"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"charaaghon mein andheraa hai andhere mein ujaale hain hamaare shahr mein kaali havaa ne par nikaale hain hamein shab kaaTne kaa fan viraasat mein milaa ham ne kabhi patthar pakaae hain kabhi sapne ubaale hain dilon mein khauf hai us kaa nazar hai us ki rahmat par gunaahgaaron mein shaamil hain magar allaah vaale hain laDe the saath mil kar ham charaaghon ke liye lekin hamaare ghar andhere hain tumhaare ghar ujaale hain tumhaari yaad se achchhaa nahin hotaa koi aalam mayassar jin ko ho jaae baDi taqdir vaale hain mohabbat aakhiri hal hai hamaare sab masaail kaa magar ham ne to nafrat ke sanpole dil mein paale hain bhaDakti aag to do chaar din mein bujh gai thi 'badr' abhi tak shahr ke manzar na jaane kyuun dhuaanle hain"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"iqraar kisi din hai to inkaar kisi din ho jaaegi ab aap se takraar kisi din chaahaa kabhi sochaa kabhi tasvir banaai chhoDaa na tiri yaad ne bekaar kisi din palkon pe sitaare liye raahon mein khaDe hain fursat ho to aa jaaiye sarkaar kisi din duniyaa mein sadaa chalti hai chaahat ki hukumat aa jaao manaa leinge ham itvaar kisi din aayaa hai akelaa tujhe jaanaa hai akelaa bas dekhte rah jaaeinge sab yaar kisi din daulat ke ye ambaar tiraa saath na deinge gir jaaegi naadaan ye divaar kisi din achchhi nahin lagti hamein aadat ye tiri 'badr' har baar kabhi aur to har baar kisi din"
Badr WastiBadr Wasti
Quote
"tumhaare dil mein jo gham basaa hai to main kahaan huun ye main nahin koi dusraa hai to main kahaan huun hamaari palkon ke khvaab aakhir udaas kyuun hain agar ye tum ko hi sochnaa hai to main kahaan huun vo meri tasvir meri khushbu khayaal meraa tumhaaraa kamra sajaa huaa hai to main kahaan huun kisi ne dekhaa to kyaa kahegaa tum hi bataao tumhaare haathon mein aaina hai to main kahaan huun tumhaari chaahat ke zakhm shaayad mahak rahe hain sunaa hai mausam haraa-bharaa hai to main kahaan huun haraa jamegaa ki surkh joDaa ye kaarchobi tumhein ye dil hi se puchhnaa hai to main kahaan huun ye tum bhi socho ki 'badr' aakhir udaas kyuun hai charaagh itnaa bujhaa bujhaa hai to main kahaan huun"
Badr WastiBadr Wasti