Ghazal
The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy
Featured Poets
All Poets →Trending Ghazals
Bayan Ahsanullah Khan
jaadu thi sehr thi balaa thi
zaalim ye tiri nigaah kyaa thi
kidhar hai kahaan hai khush-dili tu
ham se bhi kabhu tu aashnaa thi
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
puchhtaa kaun hai Dartaa hai tu ai yaar abas
qatl karne se mire hai tujhe inkaar abas
kyaa miri aankh adam biich lagi thi ai charkh
kiyaa us khvaab se tu ne mujhe bedaar abas
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
shikva apne taaleon ki naa-rasaai kaa karun
yaa gila ai shokh teri bevafaai kaa karun
vo ki ik muddat talak jis ko bhalaa kahtaa rahaa
aah ab kis munh se zikr us ki buraai kaa karun
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
yaa rab na hind hi mein ye maaTi kharaab ho
jaa kar najaf mein khaak-e-dar-e-bu-turaab ho
saaya kare vo lutf se saaya jise na thaa
jis vaqt roz-e-hashr mein garm aaftaab ho
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
main tire Dar se ro nahin saktaa
gard-e-gham dil se dho nahin saktaa
ashk yuun tham rahe hain mizhgaan par
koi moti piro nahin saktaa
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
le ke dil us shokh ne ik daagh siine par diyaa
jo liyaa us kaa evaz us se mujhe behtar diyaa
duur tujh se saaghar-e-mai par nazar main ne jo ki
kaasa apnaa chashm ne khunaab-e-dil se bhar diyaa
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
kahtaa hai kaun hijr mujhe subh o shaam ho
par vasl mein bhi lutf nahin jo mudaam ho
shikva kiyaa ho mere lab-e-zakhm ne kabhu
to mujh pe aab-e-tegh ilaahi haraam ho
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
ye aarzu hai ki vo naama-bar se le kaaghaz
balaa se phaaD ke phir haath mein na le kaaghaz
vo kaun din hai ki ghairon ko khat nahin likhtaa
qalam ke ban ko lage aag aur jale kaaghaz
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
raat us tunuk-mizaaj se kuchh baat baDh gai
vo ruuTh kar gayaa to ghazab raat baDh gai
ye kahiyo ham-nashin mujhe kyaa kyaa na kah gae
main ghaT gayaa na aap ki kuchh zaat baDh gai
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
zulf teri ne pareshaan kiyaa ai yaar mujhe
teri aankhon ne kiyaa aap saa bimaar mujhe
dil bujhaa jaae hai aghyaar ki shorish pe miraa
sard karti hai tiri garmi-e-baazaar mujhe
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
dil ab us dil-shikan ke paas kahaan
chiil ke ghonsle mein maas kahaan
sabr bimaar-e-ishq ki hai davaa
par tabiat se meri raas kahaan
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
teraa sitam jo mujh se gadaa ne sahaa sahaa
tu baadshah hai jo mujhe tu ne kahaa kahaa
daaman tere se lag luun agar de razaa mujhe
ye naa-tavaan ghubaar agar yaan rahaa rahaa
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
na faqat yaar bin sharaab hai talkh
aish o aaraam o khurd o khvaab hai talkh
miThi baatein kidhar gaiin pyaare
ab to har baat kaa javaab hai talkh
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
mat sataa mujh ko aan aan aziiz
Tuk kahaa bhi kisi kaa maan aziiz
kyunke dil us se pher luun naaseh
jis se rakhtaa nahin huun jaan aziiz
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
jaa kahe ku-e-yaar mein koi
mar gayaa intizaar mein koi
chhoD sau kaam aa pahunch saaqi
jaan-ba-lab hai khumaar mein koi
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
ye khub-ru na chhuri ne kaTaar rakhte hain
nigaah-e-lutf se aalam ko maar rakhte hain
charaagh-e-gor na sham-e-mazaar rakhte hain
bas ek ham ye dil daaghdaar rakhte hain
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
koi kisi kaa kahin aashnaa nahin dekhaa
sivaae us ke in aankhon ne kyaa nahin dekhaa
ye log man' jo karte hain 'ishq se mujh ko
inhon ne yaar ko dekhaa hai yaa nahin dekhaa
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
farhaad kis umiid pe laataa hai ju-e-shir
vaan khuun ki havas hai nahin aarzu-e-shir
hai us javaan ki baat mein ab to lahu ki baas
ve din gae ki aati thi us munh se bu-e-shir
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
ishva hai naaz hai ghamza hai adaa hai kyaa hai
qahr hai sehr hai jaadu hai balaa hai kyaa hai
yaar se meri jo karte hain sifaarish aghyaar
makr hai uzr hai qaabu hai daghaa hai kyaa hai
· · ·
Bayan Ahsanullah Khan
jo zamin par faraagh rakhte hain
aasmaan par dimaagh rakhte hain
saaqi bhar bhar unhin ko de hai sharaab
jo ki labrez ayaagh rakhte hain
· · ·







